yahoshoo 17:1-18

  • pashchim mein manashshe ki virasat (1-13)

  • yoosuf ke vanshajon ko aur zameen mili (14-18)

17  fir manashshe+ gotra ko chitthiyaan daalkar zameen di gayi+ kyonki manashshe, yoosuf ka pehalautha tha.+ maakeer,+ manashshe ka pehalautha beta aur gilad ka pita tha. woh ek veer yoddha tha isliye use gilad aur baashaan ka ilaka mila.+  manashshe ke baaki vanshajon ke alag-alag gharanon ko bhi chitthiyaan daalkar zameen di gayi. ye vanshaj the: abiejer ke bete,+ helek ke bete, asriel ke bete, shekem ke bete, heper ke bete aur shameeda ke bete. ye yoosuf ke bete manashshe ke vansh se aaye alag-alag gharane ke aadmi the.+  manashshe ka beta maakeer tha, maakeer ka gilad, gilad ka heper aur heper ka beta salofad+ tha. salofad ke koi beta nahin tha sirf betiyaan thi, jinke naam the mahla, noa, hogla, milka aur tirsa.  isliye unhonne yaajak eliazar, noon ke bete yahoshoo aur pradhanon ke paas aakaar kaha,+ “yahova ne moosa ko aagya di thi ki hamare pita ke bhaaiyon ke saath hamein bhi virasat ki zameen di jaaye.”+ yahova ke aadesh par salofad ki betiyonn ko apne pita ke bhaaiyon ke saath virasat ki zameen di gayi.+  yardan ke poorab mein gilad aur baashaan+ ke alava, manashshe gotra ko yardan ke is paar* bhi zameen ke das hisse mile.  isliye manashshe gotra mein beton ke saath-saath betiyonn ko bhi virasat mili. manashshe ke baaki vanshajon ko gilad ka ilaka diya gaya.  manashshe gotra ki sarhad aasher se lekar mikmatat tak thi+ jo shekem+ ke saamne padta tha. fir yah sarhad dakshin ki taraf en-tappooh ke logon ke ilake tak jaati thi.  tappooh+ ka ilaka manashshe ko mila magar tappooh shehar jo manashshe ki sarhad par tha, epraim ke vanshajon ke hisse mein aaya.  fir manashshe ki sarhad neeche utaarkar dakshin ki taraf kaanah ghaati tak jaati thi aur uske uttar se hote huye saagar par khatm hoti thi.+ manashshe ke ilake mein epraim ke bhi shehar the.+ 10  sarhad ka dakshini ilaka epraim ka tha aur uttari ilaka manashshe ka. manashshe ke ilake ki ek sarhad saagar thi.+ unki* uttari sarhad aasher ke ilake tak aur poorvi sarhad issakar ke ilake tak thi. 11  issakar aur aasher ke ilakon mein manashshe ko ye shehar aur unke log diye gaye: bet-shan, yiblam,+ dor,+ endor,+ taanak+ aur magiddo. in shehron ke saath-saath unke aas-paas ke nagar bhi unhein diye gaye. inmein se teen shehar pahadi ilake mein base the. 12  lekin manashshe ke vanshaj in shehron par kabza nahin kar paaye kyonki kanaani log is ilake ko nahin chhod rahe the.+ 13  fir jab israeli taakatvar ho gaye, to woh kanaaniyon se jabran mazdoori karvane lage.+ magar unhonne kanaaniyon ko poori tarah nahin khadeda.+ 14  yoosuf ke vanshajon ne yahoshoo se kaha, “hum ginti mein bahot hain kyonki yahova ki aasheesh hum par rahi hai.+ itna bada gotra hone par bhi hamein* ek hi hissa* kyon mila?”+ 15  yahoshoo ne unse kaha, “agar tum ginti mein itne zyada ho ki epraim ka pahadi pradesh+ tumhare liye kam pad raha hai, to jaao, parijji+ aur rapai logon+ ke janglon ko kaatkar vahaan ka ilaka le lo.” 16  tab yoosuf ke vanshajon ne kaha, “toone sach kaha, yah pahadi pradesh hamare liye kaafi nahin. magar ghaati mein rehnevale kanaani jo bet-shan+ aur uske aas-paas ke nagron mein aur yijrel ghaati+ mein rehte hain, un sabke paas aise yuddh-rath+ hain jinke pahiyon mein talvarein lagi hui hain.”* 17  tab yahoshoo ne yoosuf ke gharane, epraim aur manashshe se kaha, “tum ginti mein bahot ho aur tum shaktishali bhi ho. tumhein zameen ka sirf ek hissa nahin milega+ 18  balki poora pahadi pradesh tumhara ho jaayega.+ haalanki yah ilaka jangal hai magar tum ise kaatkar rehne ki jagah banaoge aur yah ilaka tumhari sarhad thehrega. tum yahaan se kanaaniyon ko zaroor khaded doge, fir chahe woh kitne hi taakatvar kyon na hon aur unke paas aise yuddh-rath kyon na hon jinke pahiyon mein talvarein lagi hui hain.”*+

kai footnote

yaani pashchim mein.
yaani manashshe ke logon ya unke ilake ki.
shaa., “mujhe.”
shaa., “chitthi daalkar aur naapkar desh ka ek hi hissa.”
shaa., “lohe ke rath hain.”
shaa., “lohe ke rath kyon na hon.”