yahoshoo 18:1-28
18 israeliyon ki poori mandli sheelo mein ikattha hui+ aur unhonne vahaan par bheint ka tamboo khada kiya.+ us samay tak kanaan desh unke adheen ho chuka tha.+
2 lekin abhi-bhi saat gotron ko virasat ki zameen nahin di gayi thi.
3 isliye yahoshoo ne israeliyon se kaha, “yah desh jo tumhare purkhon ke parmeshvar yahova ne tumhein diya hai, tum kab tak is par poori tarah kabza karne mein dhilai karoge?+
4 har gotra mein se mere liye teen aadmi chuno. woh poore desh ka daura karein aur ilake ki poori jaankari ikattha karein taaki ise har gotra mein baanta jaa sake. iske baad woh mere paas aayen.
5 woh desh ko saat hisson mein baant dein.+ yahooda ka gotra dakshin mein apne ilake mein hi rahega+ aur yoosuf ka gharana uttar mein apne ilake mein.+
6 isliye jaao desh ka daura karke use saat hisson mein baanto aur uska naksha mere paas laao. main hamare parmeshvar yahova ke saamne chitthiyaan daaloonga+ ki kaun-saa hissa kise milna chahiye.
7 lekin leviyon ko tumhare beech koi hissa nahin diya jaayega.+ kyonki mandir mein yahova ki seva karna* hi unki virasat hai.+ gaad, rooben aur manashshe ke aadhe gotra+ ko yahova ke sevak moosa ne yardan ke poorab mein unke hisse ki zameen pehale hi de di thi.”
8 tab un aadmiyon ne jaane ki taiyari ki. yahoshoo ne unhein aagya di, “poore desh ka daura karo aur ilake ki poori jaankari lekar aao. fir main sheelo mein yahova ke saamne tum logon ke liye chitthiyaan daaloonga.”+
9 tab woh aadmi nikaal pade. unhonne poore desh ka daura kiya aur dastavez mein likha ki vahaan kaun-kaun-se shehar hain. unhonne desh ko saat hisson mein baanta. iske baad woh sheelo ki chhaavni mein yahoshoo ke paas laut aaye.
10 tab yahoshoo ne sheelo mein yahova ke saamne israeliyon ke liye chitthiyaan daalin+ aur unhein unke hisse ki zameen baanti.+
11 pehali chitthi binyameen gotra ke naam nikli. unke gharanon ko jo ilaka diya gaya, woh yahooda+ aur yoosuf ke ilakon ke beech padta tha.+
12 unki uttari sarhad yardan se shuroo hoti thi aur yareeho+ ki uttari dhalan se hote huye pashchim ki taraf oopar pahad par nikaalti thi. fir bet-aaven+ ke paas veerane ko jaati thi.
13 vahaan se yah sarhad badhti hui looj yaani betel+ ki dakshini dhalan tak pahunchti thi. fir pahad par base atarot-addar+ tak jaati thi, jo nichle bet-horon+ ke dakshin mein padta tha.
14 bet-horon ke saamne ke pahad se yah sarhad dakshin ki taraf mudti thi aur kiryat-baal yaani kiryat-yaareem+ par khatm hoti thi, jo yahooda ka shehar tha. yah binyameen gotra ki pashchimi sarhad thi.
15 dakshin mein unki sarhad kiryat-yaareem ke chhor se shuroo hokar pashchim ki taraf jaati thi. yah neptoh ke sote+ par bhi jaati thi.
16 fir yah sarhad rapai+ ghaati ke uttari chhor par pahad ke neeche tak jaati thi. is pahad ke saamne ‘hinnom ke vanshajon ki ghaati’+ thi. pahad se yah sarhad hinnom ghaati mein utarti thi aur yaboosi+ shehar ki dakshini dhalan se hokar neeche en-rogel+ tak jaati thi.
17 vahaan se yah uttar ki taraf en-shemesh ko jaati thi aur galeelot par nikaalti thi jo adummeem ki chadhai ke saamne tha.+ yah sarhad bohan ke patthar+ par pahunchti thi. bohan, rooben ka vanshaj tha.
18 fir yah sarhad arba ke saamne uttari dhalan se hote huye neeche arba ki or jaati thi.
19 vahaan se yah bet-hogla+ ki uttari dhalan se aage badhte huye lavan saagar* ki uttari khaadi aur yardan ke dakshini muhane par khatm hoti thi.+ yah unki dakshini sarhad thi.
20 unki poorvi sarhad yardan thi. yah binyameen ke vanshajon ke gharane ka ilaka aur uske chaaron taraf ki sarhad thi. yahi ilaka unki virasat thehra.
21 binyameen gotra ke gharanon ko ye shehar mile: yareeho, bet-hogla, emek-kasees,
22 bet-arba,+ samaraim, betel,+
23 avveem, paara, opra,
24 kapar-ammoni, opni aur geba,+ 12 shehar aur unki bastiyaan.
25 gibon,+ raamah, baerot,
26 mispe, kapeera, mosah,
27 rekem, yirpel, tarla,
28 sela,+ elep, yaboosi shehar yaani yarooshalem,+ giba+ aur kiryat, 14 shehar aur unki bastiyaan.
yah binyameen ke vanshajon ke saare gharanon ki virasat thi.