yahoshoo 19:1-51

  • shimon ki virasat (1-9)

  • jabooloon ki virasat (10-16)

  • issakar ki virasat (17-23)

  • aasher ki virasat (24-31)

  • naptali ki virasat (32-39)

  • daan ki virasat (40-48)

  • yahoshoo ki virasat (49-51)

19  fir doosri chitthi+ shimon gotra+ ke gharanon ke naam nikli aur unhein yahooda ke ilake mein hi virasat ki zameen di gayi.+  unke hisse mein ye jagah aayin: sheeba ke saath bersheba,+ molada,+  hasar-shooaal,+ baalah, esem,+  eltolad,+ batool, horma,  siklag,+ bet-markabot, hasar-soosa,  bet-labaot+ aur shaaroohen, 13 shehar aur unki bastiyaan;  ain, rimmon, eter aur aashaan,+ chaar shehar aur unki bastiyaan;  in shehron ke aas-paas aur baalat-ber ya dakshin ke raamah tak jitni bhi bastiyaan thi, unhein milin. yah shimon gotra ke saare gharanon ki virasat thi.  unhein yah virasat yahooda ke hisse se di gayi thi. kyonki yahooda ka ilaka uske logon ke liye bahot bada tha. is tarah shimon ke vanshajon ko yahooda ke ilake mein hi zameen mili.+ 10  teesri chitthi+ jabooloon ke vanshajon+ ke gharanon ke naam nikli. unki sarhad saareed tak thi. 11  unki sarhad pashchim mein marla aur dabbeshet ko jaati thi aur fir yoknam ke saamnevali ghaati tak pahunchti thi. 12  saareed se yah sarhad poorab mein kislot-taabor ki seema ko chhoote huye daabrat+ par nikaalti thi aur fir yaapi tak jaati thi. 13  vahaan se aage badhti hui yah poorab mein gat-heper+ aur et-kaaseen ko jaati thi. fir rimmon par nikaalkar nea tak pahunchti thi. 14  uttar mein yah sarhad hannaton ki taraf mudti thi aur yiftah-el ghaati mein jaakaar khatm hoti thi. 15  iske alava kattat, nahlal, shimron,+ yidla aur betlehem+ bhi unhein diya gaya. kul milakar 12 shehar aur unki bastiyaan. 16  ye shehar aur unki bastiyaan jabooloon ke saare gharanon+ ki virasat thi. 17  chauthi chitthi+ issakar+ ke vanshajon ke gharanon ke naam nikli. 18  unki sarhad par ye jagah thi: yijrel,+ kasullot, shoonem,+ 19  haparaim, sheeon, anahrat, 20  rabbit, kishyon, ebes, 21  remet, en-ganneem,+ enahdda aur bet-passes. 22  fir unki sarhad taabor,+ shahsooma aur bet-shemesh se hote huye yardan par khatm hoti thi. kul milakar 16 shehar aur unki bastiyaan. 23  ye shehar aur unki bastiyaan issakar gotra ke saare gharanon+ ki virasat thi. 24  paanchvin chitthi+ aasher+ gotra ke gharanon ke naam nikli. 25  unki sarhad par ye jagah thi: helkat,+ hali, beten, akshap, 26  allam-melek, amad aur mishal. yah sarhad pashchim ki taraf karmel+ aur sheehor-libnat tak jaati thi. 27  yah sarhad poorab ki or bet-daagon ko jaati thi aur jabooloon ki seema ko chhoote huye yiftah-el ghaati ke uttar mein jaati thi. vahaan se yah bet-emek aur niel par nikaalti aur aage badhti hui kaabool ke baayin taraf pahunchti thi. 28  aur yah ebron, rahob, hammon, kaanah aur mehangar seedon+ tak jaati thi. 29  fir yah raamah ki taraf jaati thi aur mazboot gadhvale shehar sor+ tak pahunchti thi. yah hosa ki taraf badhti hui saagar par khatm hoti thi, jiske aas-paas akjeeb, 30  umma, apek+ aur rahob+ the. kul milakar 22 shehar aur unki bastiyaan. 31  ye shehar aur unki bastiyaan aasher gotra ke saare gharanon+ ki virasat thi. 32  chhathi chitthi+ naptali ke vanshajon ke gharanon ke naam nikli. 33  unki sarhad helep aur saananneem mein bade ped+ se lekar adami-nekeb tak aur yabnel se hokar lakkoom tak jaati thi aur yardan par khatm hoti thi. 34  fir yah sarhad pashchim ki taraf ajnot-taabor tak jaati thi aur vahaan se badhti hui hukkok aur dakshin mein jabooloon tak pahunchti thi. naptali ke ilake ki pashchimi seema aasher tak jaati thi. aur poorvi seema yardan ke paas yahooda* tak. 35  unke mazboot gadhvale shehar ye the: siddeem, ser, hammat,+ rakkat, kinneret, 36  adama, raamah, haasor,+ 37  kedesh,+ edrei, en-haasor, 38  yiron, mig-dalel, horem, betnat aur bet-shemesh.+ kul milakar 19 shehar aur unki bastiyaan. 39  ye shehar aur unki bastiyaan naptali gotra ke saare gharanon+ ki virasat thi. 40  saatvin chitthi+ daan+ gotra ke gharanon ke naam nikli. 41  unki sarhad par ye jagah thi: sora,+ eshtaol, irshemesh, 42  shaalabbeen,+ ayyalon,+ yitla, 43  elon, timna,+ ekron,+ 44  el-take, gibbaton,+ baalat, 45  yahood, banebarak, gat-rimmon,+ 46  me-yarkon aur rakkon. yah sarhad yaafa+ ke saamne se hokar jaati thi. 47  lekin daan ka ilaka unke liye kam pad raha tha.+ isliye unhonne jaakaar leshem+ par hamla bola aur uske logon ko talvar se maar daala. fir unhonne us par kabza kiya aur usmein bas gaye. unhonne leshem ka naam badalkar daan rakha jo unke purkhe ka naam tha.+ 48  ye shehar aur unki bastiyaan daan gotra ke saare gharanon ki virasat thi. 49  is tarah unhonne desh ko baantne aur israeliyon ko apni-apni virasat ki zameen dene ka kaam poora kiya. fir israeliyon ne apne beech noon ke bete yahoshoo ko uske hisse ki zameen di. 50  yahova ke hukm par unhonne yahoshoo ko woh shehar diya jo usne maanga tha. use epraim ke pahadi pradesh mein timnat-serah+ diya gaya aur yahoshoo us shehar ko dobara banakar usmein rehne laga. 51  yah sab virasat ki woh zameen thi jise yaajak eliazar, noon ke bete yahoshoo aur israel ke sabhi gotra ke kulon ke mukhiyaon ne sheelo+ mein yahova ke saamne, bheint ke tamboo ke dvar+ par chitthiyaan daalkar baanta tha.+ is tarah unhonne desh ko baantne ka kaam khatm kiya.

kai footnote

zahir hai ki yahaan yahooda gotra ki nahin balki us aadmi ke gharane ki baat ki gayi hai jo yahooda gotra se tha.