yahoshoo 20:1-9

  • sharan nagar (1-9)

20  fir yahova ne yahoshoo se kaha,  “israeliyon ko bata ki jaisa mainne moosa se kehalvaya tha, woh apne liye sharan nagar+ chun lein  taaki jo insan anjane mein ya galti se kisi ka khoon kar de, woh in nagron mein bhaag sake. vahaan use khoon ka badla lenevale se hifazat milegi.+  use un nagron mein se kisi ek mein bhaagna hoga+ aur nagar ke faatak par+ aakaar vahaan ke mukhiyaon ke saamne apna maamla pesh karna hoga. tab woh use nagar mein le leinge aur use rehne ki jagah deinge aur woh unke saath rahega.  agar khoon ka badla lenevala uska peechha karte huye vahaan aata hai, to mukhiya us aadmi ko badla lenevale ke haath mein nahin saunpeinge kyonki usne anjane mein apne saathi ka khoon kiya tha, na ki nafrat ki vajah se.+  use usi nagar mein rehna hoga jab tak ki woh mandli ke saamne mukadme ke liye pesh nahin hota.+ aur nirdosh saabit hone ke baad bhi use nagar mein tab tak rehna hoga jab tak mahayajak ki maut nahin ho jaati.+ iske baad woh chahe to apne shehar aur apne ghar laut sakta hai jahaan se woh bhaaga tha.”+  isliye israeliyon ne ye sabhi nagar alag* thehraye: naptali ke pahadi pradesh mein galeel ka kedesh,+ epraim ke pahadi pradesh mein shekem+ aur yahooda ke pahadi pradesh mein kiryat-arba+ yaani hebron.  yareeho ke paas yardan ke poorab mein unhonne ye nagar chune: rooben gotra ke pathari ilake ke veerane mein beser,+ gaad gotra ke gilad mein raamot+ aur manashshe gotra ke baashaan mein golan.+  ye woh nagar the jo israeliyon aur unke beech rehnevale pardesiyon ke liye chune gaye taaki agar koi anjane mein kisi ka khoon kar de, to woh bhaagkar in nagron mein sharan le sake+ aur mandli ke saamne mukadme ke liye pesh hone se pehale, khoon ka badla lenevala use maar na daale.+

kai footnote

ya “pavitra.”