yahoshoo 21:1-45

  • leviyon ko diye shehar (1-42)

    • haaroon ke vanshajon ko (9-19)

    • baaki kahatiyon ko (20-26)

    • gershoniyon ko (27-33)

    • marariyon ko (34-40)

  • yahova ke vaade poore huye (43-45)

21  leviyon ke gharanon ke mukhiyaon ne yaajak eliazar,+ noon ke bete yahoshoo aur israel gotra ke kulon ke mukhiyaon ke paas  kanaan desh ke sheelo+ mein aakaar unse kaha, “yahova ne moosa ke zariye aagya di thi ki hamein rehne ke liye shehar diye jaayen aur hamare jaanvaron ke liye charagah diye jaayen.”+  yahova ke aadesh ke mutabik israeliyon ne apni virasat ki zameen mein se leviyon ko shehar+ aur charagah diye.+  pehali chitthi kahatiyon ke gharanon+ ke naam nikli. aur un leviyon ko jo yaajak haaroon ke vanshaj the, yahooda,+ shimon+ aur binyameen ke ilake mein se 13 shehar diye gaye.*+  baaki kahatiyon ko epraim+ aur daan ke aur manashshe ke aadhe gotra ke ilake mein se das shehar diye gaye.*+  gershoniyon+ ko issakar, aasher aur naptali gotron aur baashaan mein rehnevale manashshe ke aadhe gotra ke ilake mein se 13 shehar diye gaye.+  marariyon+ ko unke gharanon ke hisab se rooben, gaad aur jabooloon gotron ke ilake mein se 12 shehar diye gaye.+  is tarah israeliyon ne chitthiyaan daalkar leviyon ko shehar aur unke charagah diye, theek jaisa yahova ne moosa ko aagya di thi.+  ye un shehron ke naam hain jo unhonne yahooda aur shimon gotron ke ilake se diye.+ 10  ye shehar haaroon ke beton ko mile jo levi gotra ke kahati gharane se the kyonki pehali chitthi unhin ke naam nikli thi. 11  israeliyon ne unhein yahooda ke pahadi pradesh mein kiryat-arba+ (arba, anak ka pita tha) yaani hebron+ aur uske aas-paas ke charagah diye. 12  magar unhonne us shehar ka khet aur uski bastiyaan yapunne ke bete kaaleb ko di taaki woh uski jaageer ban jaayen.+ 13  yaajak haaroon ke beton ko hebron aur uske charagah diye gaye. hebron+ khoon ke doshi insan ke liye sharan nagar tha.+ iske alava unhein libna+ aur uske charagah,  14  yatteer+ aur uske charagah, eshtmoaa+ aur uske charagah,   15  holon+ aur uske charagah, dabir+ aur uske charagah,   16  ain+ aur uske charagah, yutta+ aur uske charagah aur bet-shemesh aur uske charagah bhi diye gaye. shimon aur yahooda ke ilake mein se unhein nau shehar mile. 17  binyameen ke ilake mein se unhein ye shehar diye gaye: gibon+ aur uske charagah, geba aur uske charagah,+ 18  anatot+ aur uske charagah aur almon aur uske charagah; kul chaar shehar. 19  haaroon ke vanshaj jo yaajak the, unhein kul milakar 13 shehar aur unke charagah+ diye gaye. 20  levi gotra mein kahatiyon ke baaki gharanon ke liye chitthiyaan daali gayin aur unhein epraim gotra ke ilake mein se shehar diye gaye. 21  israeliyon ne unhein epraim ke pahadi pradesh mein shekem aur uske charagah diye. shekem+ khoon ke doshi insan ke liye sharan nagar tha.+ iske alava unhein gejer+ aur uske charagah, 22  kibsaim aur uske charagah aur bet-horon+ aur uske charagah bhi diye gaye; kul chaar shehar. 23  daan gotra ke ilake mein se unhein el-take aur uske charagah, gibbaton aur uske charagah, 24  ayyalon+ aur uske charagah aur gat-rimmon aur uske charagah diye gaye; kul chaar shehar. 25  unhein manashshe ke aadhe gotra ke ilake mein se taanak+ aur uske charagah aur gat-rimmon aur uske charagah diye gaye; kul do shehar. 26  kahatiyon ke baaki gharanon ko kul milakar das shehar aur unke charagah mile. 27  leviyon ke kul mein gershoniyon+ ko, manashshe ke aadhe gotra ke ilake mein se (baashaan ka) golan+ aur uske charagah mile. golan khoon ke doshi insan ke liye sharan nagar tha. iske alava, unhein beshtara aur uske charagah bhi mile; kul do shehar. 28  issakar gotra ke ilake mein se+ unhein kishyon aur uske charagah, daabrat+ aur uske charagah, 29  yarmoot aur uske charagah aur en-ganneem aur uske charagah diye gaye; kul chaar shehar. 30  aasher gotra ke ilake mein se+ unhein mishal aur uske charagah, abdon aur uske charagah, 31  helkat+ aur uske charagah aur rahob+ aur uske charagah diye gaye; kul chaar shehar. 32  naptali gotra ke ilake mein unhein galeel mein kedesh+ aur uske charagah diye gaye. kedesh khoon ke doshi insan ke liye sharan nagar tha.+ iske alava, unhein hammot-dor aur uske charagah aur kartan aur uske charagah diye gaye; kul teen shehar. 33  gershoniyon ko unke gharanon ke hisab se kul milakar 13 shehar aur unke charagah diye gaye. 34  baaki leviyon ko yaani marariyon ke gharanon+ ko jabooloon gotra ke ilake mein se+ yoknam+ aur uske charagah, karta aur uske charagah, 35  dimna aur uske charagah aur nahlal+ aur uske charagah diye gaye; kul chaar shehar. 36  rooben gotra ke ilake mein se unhein beser+ aur uske charagah, yahas aur uske charagah,+ 37  kademot aur uske charagah aur mepat aur uske charagah diye gaye; kul chaar shehar. 38  gaad gotra ke ilake mein se+ unhein gilad mein raamot aur uske charagah diye gaye. raamot khoon ke doshi insan ke liye sharan nagar tha.+ iske alava unhein mahnaim+ aur uske charagah, 39  heshbon+ aur uske charagah aur yaajer+ aur uske charagah diye gaye. kul chaar shehar. 40  leviyon ke baaki gharanon yaani marariyon ko unke gharanon ke hisab se kul milakar 12 shehar diye gaye. 41  israeliyon ke beech leviyon ke hisse mein kul milakar 48 shehar aur unke charagah aaye.+ 42  inmein se har shehar ke aas-paas charagah tha. 43  is tarah yahova ne israeliyon ko woh saara desh diya, jise dene ka vaada usne unke purkhon se kiya tha.+ aur israeliyon ne us desh ko apne adhikar mein kar liya aur usmein bas gaye.+ 44  jaise yahova ne unke purkhon se vaada kiya tha,+ usne israeliyon ko chaaron taraf se chain diya aur unka ek bhi dushman unke khilaf khada na reh saka.+ yahova ne unke sab dushmanon ko unke haath kar diya.+ 45  yahova ne israel ke gharane se jitne bhi behtareen vaade kiye the woh sab-ke-sab poore huye, ek bhi vaada bina poora huye nahin raha.+

kai footnote

ya “chitthiyaan daalkar diye gaye.”
ya “chitthiyaan daalkar diye gaye.”