yahoshoo 22:1-34

  • poorab se aaye gotra ghar laute (1-8)

  • yardan ke paas vedi bani (9-12)

  • vedi ka maksad samjhaya gaya (13-29)

  • jhagda niptaya gaya (30-34)

22  fir yahoshoo ne roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ko bulaya  aur unse kaha, “yahova ke sevak moosa ne tumhein jo-jo aagyayen di thi,+ un sabka tumne paalan kiya aur tumne meri baat bhi maani.+  tumne ab tak apne bhaaiyon ka saath diya+ aur apne parmeshvar yahova ki aagyayen maankar apna farz achhi tarah nibhaya.+  ab tumhare parmeshvar yahova ne tumhare bhaaiyon ko chain diya hai, theek jaisa usne unse vaada kiya tha.+ isliye ab tum ghar laut jaao, yardan ke us paar* apne ilake mein laut jaao, jo yahova ke sevak moosa ne tumhein diya tha.+  magar haan, is baat ka dhyan rakhna ki tum us aagya aur kaanoon ko maante raho, jo yahova ke sevak moosa ne tumhein diya tha.+ yaani tum apne parmeshvar yahova se pyar karna,+ uski batayi sab raahon par chalna,+ uske niyamon ka paalan karna,+ usse lipte rehna+ aur poore dil aur poori jaan se uski seva karna.”+  iske baad, yahoshoo ne unhein aasheervad diya aur unhein ravana kiya. woh apne-apne ghar laut gaye.  manashshe ke aadhe gotra ko moosa ne baashaan mein virasat ki zameen di thi+ jabki baaki aadhe gotra ko yahoshoo ne yardan ke pashchim mein unke israeli bhaaiyon ke saath zameen di.+ yahi nahin, yahoshoo ne unhein ghar bhejte vakt aasheervad diya  aur unse kaha, “apne deron mein vaapas laut jaao aur apne saath beshumar daulat, dher saare maveshi, sona-chaandi, taamba, loha aur bahot saare kapde le jaao.+ dushmanon se loota gaya yah maal tum apne bhaaiyon ke saath baant lena.”+  iske baad roobeni, gaadi aur manashshe ke aadhe gotra ne kanaan ke sheelo mein apne israeli bhaaiyon se vida li. woh gilad ke liye nikaal pade+ jo unki virasat ki zameen thi aur jismein basne ka aadesh yahova ne moosa ke zariye unhein diya tha.+ 10  jab roobeni, gaadi aur manashshe ka aadha gotra kanaan ke ilake mein yardan ke paas pahuncha, to unhonne vahaan ek badi aur shaandar vedi banayi. 11  jab baaki israeliyon ko pata chala+ to unhonne kaha, “israeliyon ke ilake mein roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ne yah kya kiya? unhonne yardan ke paas, kanaan ki seema par ek vedi khadi ki.” 12  is par israel ki poori mandli sheelo mein ikattha hui+ ki unse yuddh karne ke liye jaaye. 13  tab israeliyon ne eliazar ke bete yaajak finehas+ ko gilad ke ilake mein roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ke paas bheja. 14  finehas ke saath das pradhan bhi gaye, har gotra se ek pradhan. ye sabhi apne-apne pita ke kul ke mukhiya the, jo kul hazaron israeliyon se milkar bana tha.+ 15  jab woh roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ke paas gilad mein aaye to unhonne kaha, 16  “yahova ki saari mandli keh rahi hai ki tumne israel ke parmeshvar yahova ke saath yah kaisa vishvasghat kiya?+ tumne vedi khadi karke dikhaya hai ki tum baagi ho aur yahova ke peechhe nahin chalna chahte.+ 17  kya por mein hamne jo paap kiya woh kam tha? bhool gaye, yahova ki mandli par kitna bada kehar toota tha! aaj tak hum uska anjam bhugat rahe hain.+ 18  tum yahova ke peechhe chalna chhodkar achha nahin kar rahe ho. agar aaj tumne yahova se bagavat ki, to kal israel ki poori mandli par uska krodh bhadak uthega.+ 19  agar tumhein lagta hai ki tumhara ilaka ashuddh hai, to is paar yahova ke ilake mein aao+ jahaan yahova ka pavitra dera hai+ aur hamare saath bas jaao. magar yahova ke khilaf bagavat mat karo, na hi parmeshvar yahova ki vedi ke alava koi doosri vedi banakar hamein uske saamne baagi banao.+ 20  yaad hai, jab jerah ke bete aakan+ ne naash ke laayak thehrayi cheezen churakar aagya todi, to parmeshvar ka krodh israel ki poori mandli par kitna bhadak utha tha.+ uske gunah ki vajah se na sirf use balki doosron ko bhi apni jaan ganvani padi.”+ 21  tab roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ne un aadmiyon se, jo hazaron israeliyon se bane alag-alag kul ke mukhiya the, kaha,+ 22  “sab ishvaron se mahan ishvar yahova! haan, sab ishvaron se mahan ishvar yahova+ jaanta hai ki sach kya hai aur saara israel bhi jaan jaayega. agar hamne sachmuch yahova se bagavat ki hai, usse vishvasghat kiya hai to woh hamein na bachaye. 23  agar hamne yahova se munh modne ke liye yah vedi khadi ki hai aur is irade se ise banaya hai ki hum us par hom-baliyaan, anaj ka chadhava aur shaanti-baliyaan chadhayen, to yahova hamein saza de.+ 24  magar bhaaiyo, hamne yah vedi isliye banayi hai kyonki hamein dar tha ki kahin aage chalkar tumhare bete hamare beton se yah na kahein ki ‘israel ke parmeshvar yahova se tumhara kya vaasta? 25  hey roobeniyo aur gaadiyo, yahova ne hamare aur tumhare beech yardan ko seema thehraya hai. yahova se tumhara koi lena-dena nahin.’ yah kehkar kahin tumhare bete hamare beton ko yahova ki upasna karne* se na rok dein. 26  isliye hamne socha ki hum ek vedi banayen. hom-baliyaan ya balidan chadhane ke liye nahin, 27  balki isliye ki yah hamare aur tumhare beech aur hamari aanevali peedhiyon ke beech ek gavah thahre+ ki hum yahova ki seva karte raheinge aur uske liye hom-baliyaan, shaanti-baliyaan aur doosre balidan chadhate raheinge.+ kahin aisa na ho ki aage chalkar tumhare bete hamare beton se kahein, ‘yahova se tumhara koi lena-dena nahin.’ 28  hamne socha ki agar woh kabhi hamse ya hamare bachchon se aisa kahein to hum unse kaheinge, ‘yah vedi dekho jo bilkul yahova ki vedi jaisi dikhti hai aur jise hamare purkhon ne banaya tha. unhonne ise hom-baliyaan ya balidan chadhane ke liye nahin banaya tha, yah to is baat ki nishani hai ki hamara tumse rishta hai.’ 29  hum apne parmeshvar yahova se bagavat karne aur usse munh modne ki soch bhi nahin sakte!+ jab yahova ke pavitra dere ke saamne uski vedi pehale se maujood hai, to bhala hum doosri vedi banakar us par yahova ke liye hom-baliyaan, anaj ka chadhava aur doosre balidan kaise chadha sakte hain?”+ 30  jab yaajak finehas aur mandli ke pradhanon ne, jo hazaron israeliyon se bane alag-alag kul ke mukhiya the rooben, gaad aur manashshe ke vanshajon ki yah baat suni to unhein tasalli hui.+ 31  fir eliazar ke bete yaajak finehas ne rooben, gaad aur manashshe ke vanshajon se kaha, “aaj hamein yakeen ho gaya hai ki yahova hamare beech hai kyonki tumne yahova se vishvasghat nahin kiya. ab yahova hum israeliyon ko saza nahin dega.” 32  iske baad, eliazar ka beta yaajak finehas aur sabhi pradhan, gilad ke ilake mein roobeniyon aur gaadiyon ke paas se lautkar kanaan aaye. unhonne baaki israeliyon ko saara haal keh sunaya. 33  yah khabar sunkar israeli khush huye aur unhonne parmeshvar ki badai ki. unhonne roobeniyon aur gaadiyon se yuddh karne aur unke ilakon ko tabah karne ka vichar chhod diya. 34  is tarah roobeniyon aur gaadiyon ne us vedi* ko ek naam diya aur kaha, “yah vedi hum sabke liye is baat ki gavah hai ki yahova hi sachcha parmeshvar hai.”

kai footnote

yaani poorab mein.
shaa., “ka dar maanne.”
aas-paas ki aayton se aisa maaloom hota hai ki us vedi ka naam shaayad “gavah” rakha gaya.