yahoshoo 24:1-33

  • yahoshoo ne israel ka itihas dohraya (1-13)

  • yahova ki seva karne ka badhava diya (14-24)

    • “mainne aur mere gharane ne thaan liya hai ki hum yahova ki seva kareinge” (15)

  • israel ke saath yahoshoo ka karar (25-28)

  • yahoshoo ki maut aur use dafnana (29-31)

  • yoosuf ki haddiyaan shekem mein dafnayin (32)

  • eliazar ki maut aur use dafnana (33)

24  iske baad, yahoshoo ne israel ke sabhi gotron ko shekem mein ikattha kiya aur unke mukhiyaon, pradhanon, nyayiyon aur adhikariyon ko bulaya.+ aur woh aakaar sachche parmeshvar ke saamne khade huye.  yahoshoo ne un sabse kaha, “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘bahot arse pehale tumhare baap-daada+ mahanadi ke us paar* rehte the+ aur doosre devtaon ki upasna karte the,+ jinmein se ek abraham aur naahor ka pita tirah tha.  fir main tumhare purkha abraham+ ko mahanadi* ke us paar se le aaya aur use poore kanaan desh ka daura karvaya. mainne uske vansh ko badhaya.+ meri aasheesh se woh ishaak ka pita bana.+  mainne ishaak ko do bete diye, yakub aur esav.+ aage chalkar mainne esav ko seir pahad ka ilaka diya ki woh uski jaageer ban jaaye.+ aur yakub aur uske bete misra chale gaye.+  fir mainne moosa aur haaroon ko bheja+ aur misra par tarah-tarah ke kehar dhaaye+ aur tum israeliyon ko vahaan se nikaal le aaya.  jab tumhare baap-daada misra se nikaalkar+ laal saagar ke paas aaye, to misri sena apne rathon aur ghudsavaaron ke saath unka peechha karte huye vahaan aa gayi.+  tab woh mujh yahova ko zor-zor se pukarne lage.+ isliye mainne unke aur misriyon ke beech ek kaala baadal thehraya. fir mainne saagar ka paani misriyon par chhod diya aur unhein duba diya.+ israeliyon ne khud dekha tha ki mainne misra mein kya-kya kiya.+ iske baad tum kai saalon* tak veerane mein rahe.+  fir main tumhein yardan ke us paar* le aaya jahaan emori log rehte the aur unhonne tumse yuddh kiya.+ lekin mainne unhein tumhare haath kar diya taaki tum unke ilake par kabza karke usmein bas jaao. mainne unhein tumhare saamne se mita daala.+  iske baad, sippor ka beta aur moab ka raja baalak, israel se ladne ke liye tumhare khilaf utha. usne baor ke bete bilam ko bulaya ki woh tumhein shaap de.+ 10  magar mainne bilam ki nahin suni.+ mainne usi ke munh se tumhein baar-baar aasheervad dilvaya+ aur tumhein uske haath se chhudaya.+ 11  fir tum yardan paar karke yareeho mein aaye.+ yareeho ke aguvon,* emoriyon, parijjiyon, kanaaniyon, hittiyon, girgashiyon, hivviyon aur yaboosiyon ne tumse yuddh kiya. magar mainne unhein tumhare havale kar diya.+ 12  tumhare vahaan jaane se pehale hi mainne unka hausla tod diya.* aur jaise tumne emoriyon ke donon raajaon ko khadeda tha usi tarah tumne unhein bhi khaded daala.+ magar yah jeet tumhein apni talvar aur dhanush ke dam par nahin mili.+ 13  is tarah mainne tumhein aisa desh diya jiske liye tumne koi mehnat nahin ki aur na hi tumne iske shehar khade kiye.+ tum sirf yahaan aaye aur rehne lage. aur angooron aur jaitoon ke jo baag tumne nahin lagaye, unke fal khaane lage.’+ 14  isliye yahova se daro, nirdosh aur vishvasyogya bane rehkar* uski seva karo.+ un devtaon ki moorton ko nikaal feinko jinki upasna tumhare baap-daada mahanadi * ke us paar aur misra mein karte the.+ aur yahova ki upasna karo. 15  lekin agar tum yahova ki seva nahin karna chahte, to aaj chun lo ki tum kiski seva karoge.+ kya un devtaon ki jinhein tumhare baap-daada mahanadi * ke us paar poojte the?+ ya emoriyon ke devtaon ki, jinke ilake mein tum reh rahe ho?+ magar mainne aur mere gharane ne thaan liya hai ki hum yahova ki seva kareinge.” 16  is par logon ne kaha, “hum yahova ko chhod doosre devtaon ki upasna karne ki soch bhi nahin sakte. 17  hamare parmeshvar yahova ne hi hamein aur hamare baap-daada ko gulami ke ghar, misra desh se aazad kiya.+ usne hamari aankhon ke saamne bade-bade chamatkar kiye.+ woh poore raaste hamari hifazat karta raha aur hum jin-jin logon ke beech se hokar gaye, unse hamein bachata raha.+ 18  is desh mein hamse pehale jitne bhi emori aur doosre log rehte the, yahova ne un sabko khaded diya. isliye hum bhi yahova ki seva kareinge kyonki vahi hamara parmeshvar hai.” 19  tab yahoshoo ne logon se kaha, “kya tum sachmuch yahova ki seva kar paaoge? woh ek pavitra parmeshvar hai+ aur maang karta hai ki sirf usi ki bhakti ki jaaye.+ woh tumhare apradhon* aur paapon ko maaf nahin karega.+ 20  agar tum yahova ko chhod paraye devtaon ki upasna karne lago, to woh tumhare khilaf ho jaayega aur tumhein poori tarah mita daalega, fir chahe usne tumhare liye bhalai kyon na ki ho.”+ 21  logon ne yahoshoo se kaha, “hum sirf yahova ki seva kareinge.”+ 22  tab yahoshoo ne unse kaha, “tum is baat ke gavah ho ki tumne khud apni marzee se yahova ki seva karne ka chunav kiya hai.”+ unhonne kaha, “haan, hum is baat ke gavah hain.” 23  “to fir paraye devtaon ki moortein nikaal feinko aur apna man israel ke parmeshvar yahova ki or lagao.” 24  tab logon ne yahoshoo se kaha, “hum apne parmeshvar yahova ki seva kareinge aur usi ki baat maaneinge.” 25  us din shekem mein yahoshoo ne logon ke saath ek karar kiya aur is karar ko maanne ke liye unhein kuch niyam aur nyay-siddhaant diye. 26  yahoshoo ne ye baatein parmeshvar ke kaanoon ki kitab+ mein likhin. fir usne ek bada patthar liya+ aur use yahova ki pavitra jagah ke paas ek bade ped ke neeche khada kiya. 27  yahoshoo ne logon se kaha, “dekho, yah patthar gavah hai+ kyonki yahova ne isi ke saamne hamse ye saari baatein kahi hain. agar tum apne parmeshvar ko thukra doge, to yah patthar tumhare khilaf gavah thehrega.” 28  fir yahoshoo ne logon ko vida kiya aur woh apne-apne ilake mein laut gaye.+ 29  iske baad yahova ke sevak, noon ke bete yahoshoo ki maut ho gayi. woh 110 saal ka tha.+ 30  logon ne use timnat-serah mein dafnaya. yah jagah epraim ke pahadi pradesh mein gaash pahad ke uttar mein thi aur yahoshoo ko diye ilake mein aati thi.+ 31  israeli, yahoshoo ke jeete-ji yahova ki upasna karte rahe aur un mukhiyaon ke dinon mein bhi karte rahe, jo yahoshoo ke baad zinda the aur jaante the ki yahova ne israeliyon ke liye kya-kya kaam kiye hain.+ 32  israeli misra se yoosuf ki jo haddiyaan laaye the,+ woh unhonne shekem mein zameen ke ek tukde mein dafna di. yah zameen yakub ne hamor ke beton (hamor ke ek bete ka naam shekem tha) se chaandi ke 100 tukdon mein khareedi thi.+ yah zameen yoosuf ke beton ki jaageer ban gayi.+ 33  haaroon ke bete eliazar ki bhi maut ho gayi.+ aur logon ne use ‘finehas ki pahadi’ par dafnaya, jo uske bete finehas+ ko epraim ke pahadi pradesh mein di gayi thi.

kai footnote

yaani farat nadi ke poorab mein.
yaani farat nadi.
shaa., “dinon.”
yaani poorab mein.
ya shaayad, “zamindaron.”
ya shaayad, “unmein dar; aatank faila diya.”
ya “sachchai se.”
yaani farat nadi.
yaani farat nadi.
ya “tumhari bagavat.”