yahoshoo 5:1-15

  • gilgal mein khatna (1-9)

  • fasah manaya gaya; manna milna band (10-12)

  • yahova ki sena ka pradhan (13-15)

5  is tarah yahova ne israeliyon ke saamne yardan ka paani sukha diya taaki woh use paar kar sakein. jab pashchim mein rehnevale emoriyon+ ke sabhi raajaon aur samundar kinare rehnevale kanaaniyon+ ke sabhi raajaon ne yah suna, to israeliyon ki vajah se unke ji mein ji na raha+ aur unki himmat toot gayi.+  tab yahova ne yahoshoo se kaha, “chakmak patthar ki tez chhuriyaan bana aur israeli aadmiyon ka khatna karva.”*+  yahoshoo ne aisa hi kiya. usne chakmak patthar ki tez chhuriyaan banayin aur gibat-haaralot* mein israeli aadmiyon ka khatna karvaya.+  yahoshoo ne unka khatna is vajah se karvaya: misra se nikle jitne bhi aadmi yuddh mein ladne ke kaabil the,* sab-ke-sab misra se nikaalne ke baad veerane mein safar ke dauran hi mar gaye.+  misra chhodnevale sabhi aadmiyon ka khatna hua tha magar vahaan se nikaalne ke baad jitne veerane mein paida huye the, unmein se kisi ka khatna nahin hua tha.  israeli 40 saal tak veerane mein bhatakte fire+ aur is dauran poora raashtra yaani yuddh mein ladne ke kaabil sabhi aadmi, jo misra se nikle the aur jinhonne yahova ki baat nahin maani, mar gaye.+ kyonki yahova ne shapath khaayi thi ki ye log woh desh kabhi nahin dekh paayenge,+ jiska vaada yahova ne unke purkhon se kiya tha+ ki woh apne logon ko* aisa desh dega jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain.+  unki jagah parmeshvar unke beton ko us desh mein laaya.+ yahoshoo ne inhin logon ka khatna karvaya kyonki veerane mein inka khatna nahin hua tha.  israel raashtra ke sab aadmiyon ne khatna hone ke baad, chhaavni mein hi aaram kiya jab tak ki woh theek na ho gaye.  iske baad yahova ne yahoshoo se kaha, “aaj mainne woh badnami door kar di hai jo misra ne tumhari ki thi.” isliye us jagah ka naam gilgal* pada+ jo aaj tak isi naam se jaani jaati hai. 10  israeli gilgal mein hi padav daale rahe. vahaan unhonne yareeho ke veerane mein, maheene ke 14vein din shaam ke vakt fasah ka tyohar manaya.+ 11  fasah ke agle din se woh zameen ki upaj khaane lage. us din unhonne bin-khameer ki roti+ aur bhuna hua anaj khaaya. 12  jis din israeliyon ne zameen ki upaj khaayi, usi din se unhein manna milna band ho gaya. iske baad unhein fir kabhi manna nahin mila+ aur woh us saal se kanaan desh ki paidavar khaane lage.+ 13  jab yahoshoo yareeho ke paas tha to usne nazar uthakar dekha ki saamne ek aadmi khada hai+ aur uske haath mein ek talvar hai.+ yahoshoo ne uske paas jaakaar usse poochha, “tu kiski taraf hai, hamari taraf ya dushmanon ki?” 14  usne yahoshoo se kaha, “jaisa tu samajh raha hai vaisa nahin hai. main yahova ki sena ka pradhan* hoon.”+ yah sunte hi yahoshoo ne munh ke bal girkar use pranam kiya aur usse kaha, “apne is sevak ke liye mere prabhu ki kya aagya hai?” 15  yahova ki sena ke pradhan ne usse kaha, “tu apni jootiyaan utar de kyonki jis jagah tu khada hai woh pavitra hai.” yahoshoo ne turant apni jootiyaan utar di.+

kai footnote

shaa., “doosri baar khatna karva.”
matlab “khaldiyon ka teela.”
ya “jinki umra sainik-seva ki thi.”
shaa., “hamein.”
matlab “ludhkana; ludhkakar door kar dena.”
ya “haakim.”