yahoshoo 8:1-35

  • yahoshoo, ai ke khilaf ghaat bithata hai (1-13)

  • ai par kabza (14-29)

  • ebal pahad par kaanoon padha gaya (30-35)

8  iske baad yahova ne yahoshoo se kaha, “tu darna mat aur na hi khauf khaana.+ apne sabhi sainikon ko saath lekar ai par chadhai kar. dekh, mainne ai ke raja, uske logon, uske shehar aur uske saare ilake ko tere haath mein kar diya hai.+  tu ai aur uske raja ka naash kar dena, theek jaise toone yareeho aur uske raja ka kiya tha.+ magar vahaan se milnevala loot ka maal aur maveshi apne liye rakh lena. ai par hamla karne ke liye apne sainikon ko shehar ke peechhe ki taraf ghaat mein bithana.”  is par yahoshoo aur uske sabhi sainikon ne ai par hamla karne ki taiyari ki. yahoshoo ne 30,000 veer yoddhaon ko chuna aur unhein raat ko ravana kar diya.  usne unhein aagya di, “tumhein shehar ke peechhe ki taraf ghaat lagakar baithna hai. shehar se zyada door mat jaana aur hamla karne ke liye sab-ke-sab taiyar rehna.  main apne sab saathiyon ko lekar saamne se shehar ki taraf badhoonga. jab shehar ke log pichhli baar ki tarah hamse mukabla karne aayenge,+ to hum unhein peeth dikhakar bhaagne lageinge.  woh yah sochkar hamara peechha kareinge ki hum pichhli baar ki tarah unse darkar bhaag rahe hain.+ hum tab tak bhaagte raheinge jab tak ki hum unhein shehar se bahot door na le jaayen.  tab tum log jo ghaat lagaye baithe hoge, uthkar shehar par kabza kar lena. tumhara parmeshvar yahova use tumhare haath mein kar dega.  shehar par kabza karte hi tum usmein aag laga dena.+ yahova ne jaisa kaha hai tum vaisa hi karna. yah tumhare liye mera aadesh hai.”  fir yahoshoo ne unhein us jagah bheja jahaan unhein ghaat lagaye baithna tha. woh ai shehar ke pashchim mein yaani ai aur betel ke beech ghaat lagakar baith gaye. jabki yahoshoo saari raat sainikon ke saath raha. 10  yahoshoo subah-subah utha aur usne apne sainikon ko ikattha kiya. fir yahoshoo aur israel ke mukhiya unki aguvai karte huye unhein ai tak le gaye. 11  yahoshoo ke saath jitne bhi sainik the,+ unka poora dal shehar ki taraf gaya aur unhonne shehar ke uttar mein padav daala. unke aur ai shehar ke beech sirf ek ghaati thi. 12  is beech yahoshoo ne 5,000 aadmiyon ko ghaat lagane ke liye bhej diya tha.+ woh ai shehar ke pashchim mein yaani ai aur betel+ ke beech ghaat lagakar baithe the. 13  is tarah sainikon ka bada dal shehar ke uttar mein tainat tha+ jabki ghaat mein baithe sainik shehar ke peechhe ki taraf pashchim mein the.+ aur yahoshoo us raat ghaati ke beech gaya. 14  jab ai ke raja ne israeli sena ko dekha, to woh subah-subah apne aadmiyon ko lekar unse ladne nikaal pada. woh us jagah aaye jahaan saamne ki taraf veerana tha. magar ai ka raja nahin jaanta tha ki israeli sainik shehar ke peechhe ki taraf bhi ghaat lagaye baithe hain. 15  jab ai ke aadmiyon ne hamla bola to yahoshoo aur uske sainik aise bhaagne lage maano unse haarkar bhaag rahe hon. woh veerane ki taraf jaanevale raaste par bhaagne lage.+ 16  unka peechha karne ke liye ai ke sabhi aadmiyon ko bulaya gaya. woh yahoshoo aur uski sena ka peechha karte-karte shehar se door nikaal gaye. 17  ai aur betel mein ek bhi aadmi nahin bacha, sab-ke-sab israeliyon ka peechha karne chale gaye. woh shehar ko khula chhod gaye, uski raksha karne ke liye koi nahin raha. 18  fir yahova ne yahoshoo se kaha, “tere paas jo barchhi hai use ai ki taraf dikha.+ main ai ko tere haath mein kar doonga.”+ tab yahoshoo ne haath uthakar woh barchhi shehar ki taraf dikhayi. 19  jaise hi usne apna haath uthaya, ghaat mein baithe sainik uth khade huye aur bhaagkar shehar mein gaye aur us par kabza kar liya. unhonne fauran shehar mein aag laga di.+ 20  jab ai ke aadmiyon ne peechhe mudkar dekha to unhein shehar se dhuaan uthta dikhayi diya, jo aasman tak pahunch raha tha. tab woh kisi bhi taraf bhaag na sake. jo israeli sainik veerane ki taraf bhaag rahe the, woh palatkar un par toot pade. 21  is tarah jab yahoshoo aur uske saathvale sainikon ne dekha ki ghaat laganevale sainikon ne shehar par kabza kar liya hai aur shehar se dhuaan uth raha hai, to unhonne palatkar ai ke aadmiyon par hamla bol diya. 22  unhein maarne ke liye doosre sainik bhi shehar se baahar aa gaye. ab ai ke aadmi buri tarah fans gaye, kuch israeli sainik is taraf the to kuch us taraf. unhonne ai ke sabhi aadmiyon ko maar daala, ek ko bhi zinda nahin chhoda aur na hi bhaagne diya.+ 23  lekin woh ai ke raja ko zinda pakadkar yahoshoo ke paas le aaye.+ 24  jab israeliyon ne ai ke sabhi logon ko, jo veerane mein unka peechha kar rahe the, talvar se maar daala aur unmein se ek ko bhi na chhoda, tab woh sab ai shehar ki taraf mude. woh shehar mein gaye aur vahaan jitne log the, unhein talvar se maar daala. 25  us din ai ke jitne aadmi-aurat maare gaye unki ginti 12,000 thi. 26  yahoshoo apni barchhi tab tak uthaye raha+ jab tak ki ai ke sabhi logon ka naash nahin kar diya gaya.+ 27  israeliyon ne loot ka saara maal aur saare maveshi apne liye le liye, theek jaise yahova ne yahoshoo ko hidayat di thi.+ 28  fir yahoshoo ne ai ko jalakar raakh kar diya aur woh shehar hamesha ke liye malbe ka dher ban gaya+ aur aaj tak woh aisa hi hai. 29  usne ai ke raja ko maarkar kaath* par latka diya aur use shaam tak vahin rehne diya. jab sooraj doobnevala tha to yahoshoo ne aagya di ki uski laash kaath se utar di jaaye.+ unhonne laash shehar ke faatak ke saamne feink di aur us par pattharon ka ek bada dher laga diya, jo aaj tak vahaan hai. 30  iske baad yahoshoo ne israel ke parmeshvar yahova ke liye ebal pahad par ek vedi banayi,+ 31  theek jaise yahova ke sevak moosa ne israeliyon ko aagya di thi aur moosa ke kaanoon ki kitab+ mein bhi likha tha, “tum aise pattharon se ek vedi banana, jin par lohe ka auzar na chalaya gaya ho.”+ us vedi par israeliyon ne yahova ke liye hom-baliyaan aur shaanti-baliyaan chadhayin.+ 32  fir yahoshoo ne vahaan pattharon par us kaanoon ko likh diya+ jo moosa ne israeliyon ke saamne likha tha.+ 33  sabhi israeli, unke mukhiya, unke adhikari aur nyayi do samoohon mein batkar levi yaajkon ki taraf munh karke khade huye jo yahova ke karar ka sandook liye huye the. us bheed mein paidaishi israeliyon ke saath pardesi bhi the.+ ek samooh garijjeem pahad ke saamne khada tha aur doosra ebal pahad ke saamne,+ (theek jaise yahova ke sevak moosa ne aagya di thi)+ taaki israel ke logon ko aasheervad diya jaaye. 34  iske baad yahoshoo ne kaanoon ki kitab mein batayi saari aasheesh+ aur shaap+ padhkar sunaye.+ 35  yahoshoo ne woh saari baatein israel ki poori mandli ke saamne padhkar sunayin, theek jaise moosa ne use aagya di thi.+ ek bhi aisi baat nahin thi jo usne na sunayi ho. israeliyon ki us mandli mein aurtein, bachche aur unke beech rehnevale pardesi bhi the.+

kai footnote

ya “ped.”