yahoshoo 9:1-27
9 yah khabar hittiyon, emoriyon, kanaaniyon, parijjiyon, hivviyon aur yaboosiyon+ ke raajaon ne suni, jo yardan ke pashchim ke pahadi pradeshon par,+ shafelah aur mahasagar*+ ke saare tatvarti ilakon par aur labanon ke saamnevale ilakon par raaj karte the.
2 tab un sabne yahoshoo aur israeliyon se ladne ke liye aapas mein sandhi ki.+
3 gibon ke logon+ ne bhi suna ki yahoshoo ne yareeho aur ai ka kya haal kiya hai.+
4 tab giboniyon ne hoshiyari se kaam liya. unhonne fati-purani boriyon mein khaane ki kuch cheezen daalin aur boriyon ko apne gadhon par laad diya. unhonne kuch purani, marammat ki hui mashkein lin,
5 ghisi hui jootiyaan pehnin jin par paivand lage huye the aur fate-purane kapde pehne. unhonne jitni bhi rotiyaan lin, woh sab sookhi aur bhurbhuri thi.
6 fir woh gilgal aaye jahaan israeli chhaavni daale huye the+ aur yahoshoo aur israeli aadmiyon se kehne lage, “hum door desh se aaye hain. hum chahte hain ki tum log hamare saath shaanti ka karar karo.”
7 magar israeliyon ne un hivvi logon+ se kaha, “hum tumhare saath karar kaise kar lein?+ kya pata tum yahin aas-paas se aaye ho!”
8 unhonne yahoshoo se kaha, “tu hamein apna daas bana le.”
yahoshoo ne unse poochha, “tum log kaun ho aur kahaan se aaye ho?”
9 unhonne kaha, “tere ye daas ek door desh ke rehnevale hain.+ hum isliye aaye hain kyonki hamne tere parmeshvar yahova ke naam ke baare mein suna hai. hamne yah bhi suna hai ki woh kitna mahan hai aur usne misra mein kaise bade-bade kaam kiye.+
10 aur yardan ke us paar* emoriyon ke donon raajaon ka kya haal kiya, kaise usne heshbon ke raja seehon aur baashaan ke raja og ka naash kiya,+ jo ashtarot mein rehta tha.
11 isliye hamare mukhiyaon aur desh ke sabhi logon ne hamse kaha, ‘tum safar ke liye khaane ka saaman baandho aur jaakaar israeliyon se milo. tum unse kehna, “hum tumhare daas banne ko taiyar hain.+ meharbani karke hamare saath shaanti ka karar karo.”’+
12 dekh, ye rotiyaan hamne ghar se nikaalte vakt li thi. tab ye garam aur taazee thi magar ab sookhkar bhurbhuri ho gayi hain.+
13 ye mashkein nayi thi jab hamne inhein bhara tha, lekin ab ye fat gayi hain.+ hamare kapde aur jootiyaan bhi fat gayi hain kyonki hum bahot lamba safar karke aaye hain.”
14 tab israeli aadmiyon ne unki khaane-peene ki cheezon ko gaur se dekha. magar is baare mein unhonne yahova se kuch nahin poochha.+
15 yahoshoo ne unke saath shaanti ka karar kiya+ aur unse vaada kiya ki woh unka naash nahin karega. israel ki mandli ke pradhanon ne bhi yahi shapath khaayi.+
16 teen din baad israeliyon ko pata chala ki woh kisi door desh se nahin balki paas ke ilake se hain.
17 tab israeli unke shehar gibon,+ kapeera, baerot aur kiryat-yaareem+ ke liye ravana huye aur teesre din vahaan pahunche.
18 magar israeliyon ne un par hamla nahin kiya kyonki unki mandli ke pradhanon ne israel ke parmeshvar yahova ki shapath khaakaar unse vaada kiya tha+ ki woh unka naash nahin kareinge. tab poori mandli apne pradhanon par kudkudane lagi.
19 is par pradhanon ne israeliyon ki mandli se kaha, “hamne israel ke parmeshvar yahova ki shapath khaayi hai isliye hum unka naash nahin kar sakte.
20 hum unhein chhod deinge. agar hamne apni shapath tod di, to parmeshvar ka krodh hum par bhadak uthega.”+
21 aur jaisa pradhanon ne giboniyon se vaada kiya tha, unhonne yah bhi kaha, “hum unhein zinda chhod deinge, magar ab se woh poori mandli ke liye lakdiyaan beeneinge aur paani bhareinge.”
22 yahoshoo ne giboniyon ko bulaya aur unse kaha, “tumne hamare saath yah chaal kyon chali? tumne kyon kaha ki hum door desh se aaye hain jabki tum yahin paas mein rehte ho?+
23 ab se tum shaapit ho+ aur tum hamesha ke liye daas bane rahoge aur mere parmeshvar ke bhavan ke liye lakdiyaan beenoge aur paani bharoge.”
24 giboniyon ne yahoshoo se kaha, “maalik, hamne suna tha ki tere parmeshvar yahova ne apne sevak moosa ko aagya di thi ki woh yahaan ke sabhi nivasiyon ko mitakar poora ilaka tum logon ko de de.+ hamein maaloom tha ki tum hamein bhi jaan se maar doge. hum bahot dar gaye the+ iseeliye hamne yah sab kiya.+
25 ab hum tere rehmo-karam par hain. tujhe jo sahi lage woh kar.”
26 yahoshoo ne vaisa hi kiya. usne unhein israeliyon ke haath se chhudaya aur israeliyon ne unhein nahin maara.
27 lekin us din yahoshoo ne unse kaha ki ab se woh israeliyon ki mandli ke liye aur yahova ki thehrayi jagah+ par uski vedi ke liye lakdiyaan beeneinge aur paani bhareinge.+ aaj tak woh log yahi kaam karte hain.+