yakub ki chitthi 5:1-20

  • ameeron ko chetavni (1-6)

  • sabraa rakhne aur dheeraj dharne se parmeshvar ki aasheesh milti hai (7-11)

  • tumhari ‘haan’ ka matlab haan ho (12)

  • vishvas se ki gayi prarthna asar karti hai (13-18)

  • paapi ko lautne mein madad dena (19, 20)

5  are dhanvano, suno, tum par museebatein aanevali hain isliye zor-zor se roo.+  tumhari dhan-daulat sad gayi hai aur tumhare kapde keede* khaa gaye hain.+  tumhare sone-chaandi mein zang lag gaya hai aur unka zang tumhare khilaf gavahi dega aur tumhein khaa jaayega. tumne jo batora hai woh aakhiri dinon mein aag jaisa hoga.+  dekho! jin mazdooron ne tumhare kheton mein katai ki tumne unki mazdoori maar li hai. unki mazdoori tumhare khilaf chilla rahi hai aur madad ke liye unki pukar senaon ke parmeshvar yahova* ke kaanon tak pahunch gayi hai.+  tum duniya mein khoob aisho-aaram se jeeye aur tumne apni har laalsa poori ki. tumne halal karnevale din ke liye apne dilon ko mota kar liya hai.+  tumne us nek jan ko doshi thehrakar maar daala. kya woh tumhara virodh nahin kar raha?  isliye bhaaiyo, hamare prabhu ki maujoodgi tak sabraa rakho.+ dhyan do! ek kisan zameen ki badhiya paidavar paane ke liye intazar karta hai aur shuroo ki baarish aur baad ki baarish hone tak sabraa rakhta hai.+  tum bhi sabraa rakho.+ apne dilon ko mazboot karo kyonki prabhu ki maujoodgi ka vakt paas aa gaya hai.+  bhaaiyo, tum ek-doosre ke khilaf badbadao mat* taaki tum saza na paao.+ dekho! hum sabka nyayi darvaze tak aa pahuncha hai. 10  bhaaiyo, yahova* ke naam se bolnevale bhavishyavaktaon+ ne jis tarah dukh saha aur sabraa rakha,+ use ek namoona maankar chalo.+ 11  dekho! hum maante hain ki jo dheeraj dharte hain woh sukhi* hain.+ tumne suna hai ki ayyoob ne kaise dheeraj dhara tha+ aur yahova* ne use kya inam diya tha,+ jisse tum samajh sakte ho ki yahova* gehra lagav rakhnevala* aur dayalu parmeshvar hai.+ 12  khaaskar mere bhaaiyo, kasmein khaana band karo. na to swarg ki kasam khaana na hi dharti ki aur na hi kisi aur cheez ki. iske bajay, tumhari “haan” ka matlab haan ho aur “na” ka matlab na+ taaki tum saza ke laayak na thahro. 13  kya tumhare beech koi museebatein jhel raha hai? to woh prarthna mein laga rahe.+ kya kisi ka man khush hai? to woh parmeshvar ki taareef mein geet* gaaye.+ 14  kya tumhare beech koi beemar hai? to woh mandli ke pracheenon ko bulaye+ aur woh uske liye prarthna karein aur yahova* ke naam se us beemar par tel malein.+ 15  aur vishvas se ki gayi prarthna us beemar* ko achha kar degi aur yahova* use uthakar khada kar dega. aur agar usne paap kiye hon to use maaf kar diya jaayega. 16  isliye tum ek-doosre ke saamne khulkar apne paap maan lo+ aur ek-doosre ke liye prarthna karo taaki tum achhe ho jaao. ek nek insan ki minnaton ka zabardast asar hota hai.+ 17  eliyah bhi hamari tarah ek insan tha, jismein hamare jaisi bhaavnayen thi. fir bhi jab usne dilo-jaan se prarthna kee ki baarish na ho, to desh mein saadhe teen saal tak baarish nahin hui.+ 18  aur jab usne fir prarthna ki, to aakash se baarish hui aur dharti ne apni paidavar di.+ 19  mere bhaaiyo, tummein se agar koi sachchai ke raaste se bhatak jaaye aur koi us bhatke huye ko vaapas le aaye, 20  to jaan lo ki jo us paapi ko galat raaste se vaapas le aata hai+ woh use marne se bachata hai aur uske dher saare paapon ko dhak deta hai.+

kai footnote

ya “kapad-keede.”
ati. ka5 dekhein.
ya “shikayat mat karo.” shaa., “gehri aahein mat bharo.”
ati. ka5 dekhein.
ya “karuna se bhara.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya “dhanya.”
ya “bhajan.”
ati. ka5 dekhein.
ya shaayad, “thake huye.”
ati. ka5 dekhein.