yashayah 1:1-31

  • pita aur uske baagi bete (1-9)

  • dikhave ki upasna se yahova ko nafrat (10-17)

  • ‘aao hum maamla suljha lein’ (18-20)

  • siyyon dobara vishvasyogya nagri banegi (21-31)

1  yahooda aur yarooshalem ke baare mein yashayah* ka darshan.+ aamoj ke bete yashayah ne yah darshan yahooda ke raja ujjiyah,+ yotam,+ aahaj+ aur hijkiyah+ ke dinon mein dekha tha.+   hey aakash sun, hey prithvi kaan laga!+ yahova kehta hai, “jin beton ko mainne paal-poskar bada kiya,+woh mere hi khilaf ho gaye.+   bail apne maalik ko pehchanta haiaur gadha apne maalik ki charni ko,lekin israel mujhe* nahin pehchanta,+mere apne log samajh se kaam nahin lete.”   hey paapi raashtra, dhikkar hai tujh par!+ hey bure kaam se lade huye logo,hey bhrasht bachcho aur dushton ki toli, dhikkar hai tum par! tumne yahova ko chhod diya hai,+israel ke pavitra parmeshvar ka apman kiya hai,usse munh fer liya hai.   tum bagavat karne se baaz nahin aate,ab main tumhein aur kahaan maaroon?+ tumhara poora sir ghaav se bhara haiaur dil poori tarah beemar hai.+   sir se paanv tak aisi ek bhi jagah nahin jahaan tumhein chot na lagi ho. jagah-jagah zakhm, chot aur sade huye ghaav hain,na to unka mavad nikaala gaya,* na un par patti baandhi gayiaur na hi tel lagakar unhein naram kiya gaya.+   tumhara desh ujaad diya gaya hai,tumhare shehar jala diye gaye hain,pardesi tumhare saamne tumhari fasal khaa rahe hain.+ desh veeran ho gaya hai jaise dushmanon ne ise tabah kar diya ho.+   siyyon shehar ko aisa chhod diya gaya hai maano woh angooron ke baag ka chhappar,kheere ke khet mein jhonpadiaur sena se ghira hua shehar ho.+   agar senaon ke parmeshvar yahova ne hammein se kuch ko rehne na diya hota,to hum sadom ki tarah ban gaye hote,hamara haal amora jaisa ho gaya hota.+ 10  hey sadom ke taanashaho,* yahova ka sandesh suno!+ hey amora ke logo,+ hamare parmeshvar ke kaanoon* par dhyan do! 11  yahova kehta hai, “tumhare dheron balidan mere kis kaam ke?+ medhon ki hom-bali+ aur mote-taaze jaanvaron ki charbi+ se main ukta chuka hoon,ab mujhe tumhare bailon aur bhed-bakriyon+ ke khoon+ se koi khushi nahin milti. 12  tumse kisne kaha ki mere saamne aao,+mere aanganon ko yoon raundo?+ 13  tum anaj ka apna vyarth chadhava laana band karo! tumhara dhoop jalana mujhe ghinauna lagta hai.+ tum naya chaand+ aur sabt manate ho+ aur pavitra sabhayen rakhte ho.+ lekin mujhse yah bardasht nahin hota ki khaas sabhayen rakhne ke saath-saath tum jaadoo-tona karo.+ 14  mujhe tumhare naye chaand ke dinon aur tyoharon se nafrat hai, ye mujhe bojh lagne lage hain, inhein dhote-dhote main thak gaya hoon. 15  jab tum mere aage haath failaoge,to main apni aankhein fer loonga.+ tum chahe jitni bhi prarthna kar lo,+main tumhari ek na sunoonga,+kyonki tumhare haath khoon se range hain.+ 16  khud ko dho-o aur shuddh karo,+mere saamne se apne dusht kaam door karo,burai karna band karo.+ 17  bhalai karna seekho, nyay karo,+zulm karnevalon ko sudhaaro,anathon* ke hak ke liye ladoaur vidhvaon ko insaf dilao.”+ 18  yahova kehta hai, “aao hum aapas mein maamla suljha lein,+chahe tumhare paap surkh laal rang ke hon,to bhi woh barf ke samaan safed ho jaayenge.+ chahe woh gehre laal rang ke hon,to bhi woh oon ki tarah ujle ban jaayenge. 19  agar tum meri baat maanne ko raazee ho,to tum desh ki badhiya-badhiya cheezen khaaoge.+ 20  lekin agar tum nahin maanoge aur mere khilaf ho jaaoge,to tum talvar ki bheint chadh jaaoge.+yah baat yahova ne kahi hai.” 21  dekho, yah vishvasyogya nagri+ kaisi veshya ban gayi hai!+ jis nagri mein nyay ka bolbala tha,+neki ka basera tha,+ab vahaan hatyare rehte hain.+ 22  tumhari chaandi, dhaatu ka mail ban gayi hai,+tumhari sharab* mein paani mil gaya hai. 23  tumhare haakim adiyal hain aur choron se mile huye hain,+ sab-ke-sab ghoos khaate hain, tohfe ke peechhe bhaagte hain,+ anathon ko nyay nahin deteaur vidhvaon ke mukadme ki sunvai nahin karte.+ 24  isliye sachcha prabhu, senaon ka parmeshvar yahova,israel ka shaktishali parmeshvar ailan karta hai, “ab main apne dushmanon ko khadedoonga,apne bairiyon se badla loonga.+ 25  main tumhare khilaf apna haath uthaungaaur jaise chaandi ko pighlakar uska mail sajji* se door kiya jaata hai,vaise hi main tumhari saari ashuddhta door karoonga.+ 26  fir main pehale ki tarah,tum par nyayi aur salahkar thehraunga.+ iske baad tum nek nagri aur vishvasyogya nagri kehlaoge.+ 27  siyyon nyay ke dam par chhudayi jaayegi+aur uske lautnevale log neki se chhudaye jaayenge. 28  magar baagiyon aur paapiyon ka ek-saath naash ho jaayega+aur yahova ko chhod denevalon ka ant ho jaayega.+ 29  jo unche-unche ped tumhein pyare the, unki vajah se tumhein sharminda hona padega.+apne chune huye bageechon* ki vajah se tumhein beizzat hona padega.+ 30  tum us bade ped jaise ban jaaoge jiske patte murjha rahe hain,+us bageeche ke samaan ho jaaoge jismein paani nahin. 31  taakatvar aadmi alsi ke dhaage jaisa ban jaayegaaur uske kaam chingari jaise ho jaayenge,donon ek saath jaleinge,unhein bujhanevala koi na hoga.”

kai footnote

matlab “yahova uddhaar hai.”
ya “apne maalik ko.”
shaa., “ghaav dabaye gaye.”
ya “ke shaasko.”
ya “ki shiksha.”
ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”
ya “gehoon se bani sharab.”
ek tarah ka saabun.
zahir hai ki ye ped aur bageeche moortipooja se jude hain.