yashayah 12:1-6

  • dhanyavad ka geet (1-6)

    • “yaah yahova meri taakat hai” (2)

12  us din tu yah zaroor kahega, “hey yahova, tera laakh-laakh shukriya! bhale hi tera krodh mujh par bhadak utha tha,par ab tera krodh tham gaya hai aur toone mujhe dilasa diya hai.+   dekho, parmeshvar mera uddharkarta hai,+main us par bharosa rakhoonga aur mujhe koi dar nahin satayega.+ yaah* yahova meri taakat hai, mera bal hai,vahi mera uddharkarta hai.”+   tum khushi-khushi uddhaar ke soton se paani bharoge.+   us din tum kahoge,“yahova ka shukriya ada karo, uska naam pukaro,uske kaamon ke baare mein desh-desh ke logon ko batao!+ ailan karo ki uska naam kitna mahan hai.+   yahova ki taareef mein geet gaao*+ kyonki usne shaandar kaam kiye hain,+ yah khabar poori duniya mein failao.   hey siyyon ki rehnevali,* khushi ke maare jayjaykar kar,kyonki tere beech israel ka pavitra parmeshvar mahan hai.”

kai footnote

“yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
ya “sangeet bajao.”
yahaan siyyon ke logon ko ek aurat bataya gaya hai.