yashayah 13:1-22

  • baibilon ke khilaf sandesh (1-22)

    • yahova ka din kareeb hai! (6)

    • maadi, baibilon ko hara deinge (17)

    • baibilon fir nahin basegi (20)

13  aamoj ke bete yashayah+ ne ek darshan dekha, jismein baibilon ke khilaf yah sandesh sunaya gaya:+   “veeran pahad par jhanda khada karo,+ aavaz lagao aur haath dikhakar sainikon ko bulaoki woh bade-bade logon ke faatkon se ghus aayen.   mainne jinhein thehraya hai+ unhein* mainne hukm diya hai, apne yoddhaon ko ikattha kiya hai ki woh mera krodh undelein,is par woh ghamand se fool uthe aur bade khush huye.   suno! pahadon se logon ki aavaz aa rahi hai,aisa lagta hai bheed-ki-bheed jama ho rahi hai. raajyon ke ikattha hone ka shor ho raha hai,haan, raashtron ke jama hone ka kolahal sunayi de raha hai.+ senaon ka parmeshvar yahova yuddh ke liye apni sena taiyar kar raha hai.+   woh door desh se, haan, aakash ke chhor se chale aa rahe hain,+yahova aur uske krodh ke hathiyar poori dharti ko ujadne aa rahe hain.+   zor-zor se ro-o kyonki yahova ka din kareeb hai! woh din sarvashaktiman ki taraf se vinash ka din hoga.+   is kaaran sabke haath dheele pad jaayenge,har kisi ka dil kaanp uthega,+   log sudh-budh kho baitheinge,+unke pet mein marod uthegi, woh dard se chhatpatayenge,maano kisi garbhvati ko prasav-peeda uthi ho. woh hakke-bakke hokar ek-doosre ka munh taakeinge,unke chehre par dar aur chinta chhaa jaayegi.   dekho, yahova ka din aa raha hai!yah din krodh aur jaljalahat ke saath aayega,yah din kisi par reham nahin khaayega,desh ka woh haal karega ki dekhnevalon ke hosh ud jaayenge.+woh paapiyon ko usmein se mita dega. 10  aasman ke taare aur taaramandal,*+apni raushni dena band kar deinge.ugta sooraj ujala nahin dega,na chaand apni chaandni bikherega. 11  main dharti ke rehnevalon ko unki burai ka sila doonga+aur dushton ko unke gunahon ki saza doonga. main gustakh logon ka ghamand tod doongaaur taanashahon ka guroor tod doonga.+ 12  main nashvar insan ko shuddh sone se zyada,haan, opeer ke sone+ se zyada durlabh bana doonga.+ 13  yahi vajah hai ki main, senaon ka parmeshvar yahova,aasman ko kanpkanpa doonga aur krodh ke din apni jaljalahat laakaar,dharti ko uski jagah se hila doonga.+ 14  har koi apne logon ke paas laut jaayegaaur apne desh bhaag khada hoga,+jaise chikara apni jaan bachakar bhaagta haiaur bhed-bakriyaan bin charvahe ke titar-bitar ho jaati hain. 15  jo koi milega use bhed diya jaayega,jo pakda jaayega woh talvar se maara jaayega.+ 16  unki aankhon ke saamne unke bachchon ko patak-patakkar maar daala jaayega.+unke ghar loot liye jaayenge,unki patniyon ka balatkar kiya jaayega. 17  main unke khilaf maadiyon ko laaunga,+jinki nazron mein chaandi ka koi mol nahin,jinhein sone se koi lagav nahin. 18  woh apne dhanush se javanon ke tukde-tukde kar deinge,+bachchon par koi reham nahin kareinge,garbh ke fal par koi taras nahin khaayenge. 19  baibilon nagri, jo raajyon mein sabse shaandar nagri hai,+jo kasdiyon ki shobha aur unka ghamand hai,+uska woh haal hoga jo sadom aur amora ka tab hua tha,jab parmeshvar ne unka naash kiya tha.+ 20  woh nagri fir kabhi nahin basegi,peedhi-peedhi tak usmein koi aakaar nahin rahega,+ arab ka koi aadmi vahaan apna tamboo nahin gaadegaaur na koi charvaha apne jhund ko vahaan le jaayega. 21  woh registan ke jangli jaanvaron ka basera ban jaayegi,vahaan ke ghar, ulluon* ka thikana ban jaayenge, vahaan shuturmurg raha kareinge+aur jangli bakre koodeinge-faandeinge. 22  uski meenaron mein jaanvar chillaya kareingeaur uske aaleeshan mahlon mein siyar huaan-huaan kareinge. uska vakt paas aa gaya hai, use aur mohlat nahin di jaayegi.”+

kai footnote

shaa., “mere alag kiye gaye logon ko.”
shaa., “aur kesil.” yahaan shaayad mrigshira aur uske aas-paas ke taaramandal ki baat ki gayi hai.
shaa., “ghugghuon.”