yashayah 19:1-25

  • misra ke khilaf sandesh (1-15)

  • misra yahova ko jaan jaayega (16-25)

    • misra mein yahova ke liye ek vedi (19)

19  misra ke khilaf yah sandesh sunaya gaya:+ dekho! yahova baadlon par savaar hokar tezee se misra aa raha hai,misra ke nikamme devta uske saamne thar-thar kaanpeinge+aur misra ke logon ka dil dehal uthega.   “main misriyon ko ek-doosre ke khilaf bhadkaunga,woh ek-doosre se ladeinge,bhaai bhaai se, padosi padosi se,shehar shehar se aur ek raajya doosre raajya se.   misriyon ki mati maari jaayegi,main unki yojnayen naakam kar doonga.+ woh nikamme devtaon, tona-totka karnevalon,mare huon se sampark karnevalon aur jyotishiyon se poochhtachh kareinge.+   main misra ko ek bereham maalik ke havale kar doonga,ek zalim raja us par raaj karega.”+ yah ailan sachche prabhu aur senaon ke parmeshvar yahova ne kiya hai.   samundar ka paani sookh jaayega,nadi ka paani sookhkar khaali ho jaayega.+   nadiyaan badboo maareingi,misra mein neel ki nahrein patli hote-hote sookh jaayengi, narkat aur paani ke paudhe sad jaayenge.+   neel nadi ke kinare, uske muhane par saari hariyaliaur aas-paas ke saare khet+ sookh jaayenge,+ hava unhein yahaan-vahaan uda le jaayegi, kuch nahin bachega.   machhuvare shok manayenge,neel nadi mein kaanta daalnevale dukh manayenge,paani par jaal feinknevalon ki ginti kam ho jaayegi.   badhiya alsi ke dhaage se kaam karnevale,+karghe par safed kapda bunnevale sharminda kiye jaayenge. 10  misra ke julahe maayoos ho jaayenge,dihadi ke sab mazdoor dukh manayenge. 11  soan+ ke haakim moorkh hain,firaun ke buddhiman salahkar bhi moorkhta-bhari salah dete hain.+ aise mein tum firaun se kaise keh sakte ho, “hum buddhimanon ke bachche hain,pracheen samay ke raajaon ke vanshaj hain”? 12  hey firaun, tere buddhiman salahkar kahaan gaye?+ agar woh jaante hain ki senaon ke parmeshvar yahova ne misra ke baare mein kya thaana hai, to unse keh ki tujhe batayen. 13  soan ke haakimon ne moorkhta ka kaam kiya hai,nop* ke haakimon+ ne khud ko dhokhe mein rakha hai,misra ke gotra ke mukhiyaon ne misra ko gumrah kar diya hai. 14  yahova ne misra ke man ko uljhan mein daal diya hai,+uske aguve har kaam mein use aise gumrah kar rahe hainki woh sharabee ki tarah apni hi ulti mein ladkhada raha hai. 15  misra kuch nahin kar paayega,na uska sir, na uski dum,na uski tahni, na hi lambee-lambee ghaas* kuch kar paayegi. 16  us din misra ke log aurton ke samaan ho jaayenge. woh thar-thar kaanpeinge aur khauf khaayenge kyonki senaon ka parmeshvar yahova unke khilaf apna haath badhayega.+ 17  misra, yahooda se khauf khaayega. uska naam sunte hi misriyon ki jaan sookh jaayegi kyonki senaon ke parmeshvar yahova ne unke khilaf faisla suna diya hai.+ 18  us din misra mein paanch shehar aise honge jahaan kanaan ki bhasha boli jaayegi.+ woh senaon ke parmeshvar yahova se vafa nibhane ki kasam khaayenge. unmein se ek shehar dhaa denevala shehar kehlayega. 19  us din misra ke beechon-beech yahova ke liye ek vedi hogi aur misra ki sarhad par yahova ke liye ek khambha hoga. 20  ye is baat ki nishani thehreinge ki log senaon ke parmeshvar yahova ko yaad rakhein. atyachariyon ke zulm sehte huye jab woh yahova se fariyad kareinge, to parmeshvar ek uddharkarta bhejega jo bahot mahan hoga aur unhein museebaton se bachayega. 21  us din yahova khud ko misriyon par prakat karega aur woh yahova ko jaan jaayenge. woh yahova ke liye balidan chadhayenge, bheint laayenge, usse mannat maaneinge aur apni mannat poori kareinge. 22  yahova misra ko saza dega,+ woh use maarega aur changa karega. woh yahova ke paas laut aayenge aur parmeshvar unki binti sunkar unhein changa karega. 23  us din misra se ek raajmarg+ ashshoor ko jaayega. tab ashshoori, misra aayenge aur misri, ashshoor jaayenge. misra, ashshoor ke saath milkar parmeshvar ki seva karega. 24  us din israel bhi misra aur ashshoor se jaa milega+ aur poori dharti ke liye ek aasheesh thehrega. 25  senaon ka parmeshvar yahova unhein aasheesh dega aur kahega, “hey misra, hey mere logo, tum dhanya ho. hey ashshoor, mere haath ke kaam aur hey israel, meri virasat, tum dhanya ho.”+

kai footnote

ya “memfis.”
ya shaayad, “na khajoor ki daali, na hi narkat.”