yashayah 41:1-29

  • jeet paanevala poorab se ubhra (1-7)

  • israel ko parmeshvar ka sevak chunna (8-20)

    • ‘mera dost abraham’ (8)

  • doosre ishvaron ko di chunauti (21-29)

41  “hey dveepo, chupchap meri baat suno!* hey desh-desh ke logo, nayi taakat se bhar jaao,mere saamne aakaar apni baat kaho.+ aao hum ikattha hon ki main tumhein apna faisla sunaun.   woh kaun hai jisne use poorab se udhaara?+ nyay karne ke liye use apne paanv ke paas* bulaya? woh kaun hai jo raashtron ko uske havale kar dega? raajaon ko uske adheen kar dega?+ uski talvar ke aage unhein dhool mein mila degaaur uske dhanush ke aage unhein bhoose ki tarah uda dega?   woh unka peechha karega, bina ruke aage badhega,un raaston se hokar jaayega, jahaan aaj tak uske kadam nahin pade.   kisne yah sabkuch kiya, ise anjam diya? kisne shurooat se ek-ek peedhi ko hukm dekar bulaya? main yahova, jo sabse pehala tha,+aakhiri peedhi ke liye bhi vaisa hi rahoonga.”+   dveep yah dekhkar ghabra gaye, prithvi ke door-door ke ilake kaanpne lage,woh ekjut ho gaye.   harek apne saathi ki madad kar raha haiaur apne bhaai se keh raha hai, “himmat rakh.”   kaareegar, sunar ka hausla badha raha hai+aur hathauda peetnevala, nihai par kaam karnevale ka. woh taankon ke baare mein kehta hai, “jod to achha hai.” fir keelein thonkkar moorat ko khada kiya jaata hai ki woh na gire.   “lekin hey israel, tu mera sevak hai,+hey yakub, tujhe mainne chuna hai,+tu mere dost abraham ka vansh* hai.+   main tujhe prithvi ke chhor se laaya hoon,+mainne tujhe dharti ke door-door ke ilakon se bulaya hai. mainne tujhse kaha, ‘tu mera sevak hai,+mainne tujhe chuna hai, tujhe thukraya nahin.+ 10  dar mat kyonki main tere saath hoon,+ghabra mat kyonki main tera parmeshvar hoon.+ main teri himmat bandhaunga, teri madad karoonga,+neki ke daayen haath se tujhe sambhaale rahoonga.’ 11  dekh! jo tujh par bhadak uthte hain unko sharminda aur neecha kiya jaayega,+ jo tujhse jhagadte hain unka naamo-nishan mita diya jaayega.+ 12  jo tujhse ladte hain unhein dhoondhne par bhi tu unhein na paayega,kyonki tujhse yuddh karnevalon ka naash ho jaayega, woh mit jaayenge.+ 13  main tera parmeshvar yahova, tera daayaan haath thaame huye hoon,main tujhse kehta hoon, ‘mat dar, main teri madad karoonga.’+ 14  hey yakub, bhale hi tu keede jaisa kamzor hai,+ magar dar mat.hey israel ke logo, main tumhari madad karoonga.”yah ailan israel ke pavitra parmeshvar yahova ne kiya hai, jo tumhara chhudanevala hai.+ 15  “dekh, mainne tujhe daanvne ki patiya banaya hai,+ekdam nayi aur paini daanvne ki patiya. tu pahadon ko daanvega aur unhein choor-choor kar dega,tu pahadiyon ko bhoosa bana dega. 16  tu unhein fatkegaaur hava unhein uda le jaayegi,aandhi unhein chhitra degi. tu yahova ke kaaran magan hoga+aur israel ke pavitra parmeshvar ke baare mein garv se baat karega.”+ 17  “zarooratmand aur gareeb paani ki talash mein hain,magar unhein paani nahin milta,unki jeebh pyas ke maare sookh gayi hai.+ main yahova unki duhai sunoonga,+main israel ka parmeshvar unhein nahin tyagoonga.+ 18  main sookhi pahadiyon par nadiyaan bahaunga,+ghaati ke maidanon mein paani ke sote nikaaloonga.+ main veerane ko narkatonvale taalab meinaur sookhe desh ko paani ke sote mein badal doonga.+ 19  main banjar ilake mein devdar, babool, meinhadi aur cheed ke ped lagaunga.+ sookhe maidanon mein sanovar, esh aur saro ke ped lagaunga+ 20  taaki sab log dekhein aur jaan lein,dhyan dein aur samajh jaayenki ye yahova ke haath ke kaam hain,israel ke pavitra parmeshvar ne yah sab kiya hai.”+ 21  yahova kehta hai, “apna mukadma pesh karo.” yakub ka raja kehta hai, “apni daleelein pesh karo, 22  saboot laao aur batao ki kya honevala hai. jo baatein pehale ho chuki hain, woh hamein bataoki hum un par sochein aur unke nateejon par dhyan dein,ya jo baatein aage honevali hain, woh hamein batao.+ 23  batao ki bhavishya mein kya honevala haiki hum jaan jaayen ki tum ishvar ho.+ achha ya bura, kuch to karoki use dekhkar hum hairat mein pad jaayen.+ 24  suno, tum nikamme ho! tumhare kaam bhi bekar hain,+jo koi tumhein chunta hai woh ghinauna hai.+ 25  mainne uttar se kisi ko udhaara hai, woh aa raha hai,+poorab se aanevala woh shakhs+ mere naam ki mahima karega. woh shaaskon* ko mitti ki tarah raund dega,+jaise kumhar geeli mitti ko raundta hai. 26  kisne yah baat shurooat se batayi ki hum ise jaan sakein? kisne bahot pehale hi yah bata diya thaki hum kahein, ‘usne sahi kaha tha’?+ kisi ne nahin! na kisi ne iska ailan kiya. tumne hamein kuch nahin bataya.”+ 27  mainne hi sabse pehale siyyon ko bataya, “dekh, yah sab honevala hai.”+ aur yah khushkhabri sunane ke liye yarooshalem mein ek doot bheja.+ 28  mainne idhar-udhaar dekha magar vahaan koi na tha,ek bhi nahin jo salah de sake, baar-baar poochhne par bhi mujhe koi javab nahin mila. 29  woh sab bekar hain,* unke kaam bhi vyarth hain, unki dhali hui moortein sirf hava hain, dhokha hain.+

kai footnote

ya “mere saamne khaamosh raho.”
yaani apni seva mein.
shaa., “beej.”
ya “maathat adhikariyon.”
ya “maano vajood mein hi nahin.”