yashayah 48:1-22

  • israel ko fatkaarna; shuddh karna (1-11)

  • yahova baibilon ke khilaf uthega (12-16k)

  • parmeshvar ki shiksha faaydemand (16kh-19)

  • “baibilon se nikaal jaao!” (20-22)

48  hey yakub ke gharane ke logo, suno!tum jo khud ko israel kehte ho+aur yahooda ke soton se* nikle ho.tum jo yahova ke naam se shapath khaate ho+aur israel ke parmeshvar ko pukarte ho,par yah sab tum sachchai aur neki se nahin karte.+   ye log khud ko pavitra shehar ke nivasi batate hain+aur israel ke parmeshvar ka sahara lete hain,+jiska naam senaon ka parmeshvar yahova hai.   woh tumse kehta hai, “pichhli baaton ke baare mein mainne bahot pehale hi bata diya tha,woh mere hi munh se nikli thi aur mainne hi woh baatein batayi thi.+ mainne turant kadam uthaya aur woh poori huin.+   main jaanta tha ki tum bahot dheeth ho,tumhari gardan lohe ki tarah aur tumhara maatha tambe ki tarah kada hai.+   isliye mainne bahot pehale hi woh baatein bata di thi, unke poora hone se pehale hi tumhein bata diya thataaki tum yah na keh sako, ‘yah hamare devta* ka kaam hai,hamari tarashi hui aur dhali hui moorat ki aagya par yah hua hai.’   tumne ye saari baatein suni aur dekhi hain,kya inhein sareaam nahin bataoge?+ ab main nayi baaton ka ailan kar raha hoon,+chhipe huye raaz khol raha hoon.   ek nayi rachna karne jaa raha hoon jo mainne pehale kabhi nahin ki thi,jiske baare mein aaj se pehale tumne kabhi nahin suna thataaki tum yah na keh sako, ‘are! yah to hum pehale se jaante hain.’   par tum to sunnaa hi nahin chahte,+ na jaanna chahte ho,tumne pehale se hi apne kaan band kar liye hain, mujhe pata hai tum dagabaz ho+aur janm se baagi ho.+   magar main apne naam ki khaatir apna krodh roke rahoonga,+apni mahima ki khaatir khud ko roke rahoonga,main tera naamo-nishan nahin mitaunga.+ 10  dekh, mainne tujhe shuddh kiya hai magar chaandi ki tarah nahin.+ mainne tujhe dukh ki bhatthi mein tapakar parakh* liya hai.+ 11  main apni khaatir, haan, apne naam ki khaatir aisa karoonga.+ bhala main apne naam ko apavitra kaise hone doon?+ main apni mahima kisi aur ko na doonga.* 12  hey yakub, meri sun! hey israel, meri sun! tujhe mainne bulaya hai, main vahi hoon, main badla nahin.+ main hi pehala aur main hi aakhiri hoon.+ 13  mainne apne haathon se prithvi ki ninv daali,+apne daayen haath se aakash ko taana.+ mere bulane par woh ek-saath mere saamne haazir ho jaate hain. 14  tum sab ikattha ho aur suno,tumhare devtaon mein se* aisa kaun hai jisne in baaton ka ailan kiya hai? jis shakhs se yahova pyar karta hai,+woh baibilon ke khilaf uski marzee poori karega,+aur uska haath kasdiyon par uthega.+ 15  mainne khud yah kaha hai, mainne hi use bulaya hai+ aur main hi usko laaya hoon. uska har kaam safal hoga.+ 16  mere paas aao aur suno! shuroo se hi mainne yah baat khulkar batayi,+jab yah poori hone lagi to main vahin tha.” ab saare jahan ke maalik yahova ne mujhe bheja hai aur apni pavitra shakti bhi di hai.* 17  yahova, jo tera chhudanevala aur israel ka pavitra parmeshvar hai, woh kehta hai,+ “main hi tera parmeshvar yahova hoon,jo tujhe tere bhale ke liye sikhata hoon+aur jis raah par tujhe chalna chahiye usi par le chalta hoon.+ 18  meri aagyaon ko dhyan se sun, unhein maan!+ tab teri shaanti nadi ke samaan+aur teri neki samundar ki lehron ke samaan hogi.+ 19  tera vansh baaloo ke samaan anginat hogaaur tere vanshaj baaloo ke kinkon ki tarah behisab honge.+ tera naam mere saamne se na kabhi mitaya jaayega, na kabhi khaak mein milaya jaayega.” 20  baibilon se nikaal jaao!+ kasdiyon se door bhaag jaao! khushi ke maare ailan karo, zor-zor se chillao,+dharti ke kone-kone tak yah khabar sunao,+“yahova ne apne sevak yakub ko chhuda liya hai.+ 21  ujaad jagahon se laate vakt usne unhein pyasa nahin marne diya,+ usne unke liye chattan se paani nikaala,chattan ko cheer diya aur paani bah nikala.”+ 22  yahova kehta hai, “dushton ko kabhi shaanti nahin milti.”+

kai footnote

ya shaayad, “yahooda se.”
ya “hamari moorat.”
ya shaayad, “chun.”
ya “kisi aur ke saath na baantoonga.”
shaa., “unmein se.”
ya “mujhe apni pavitra shakti dekar bheja hai.”