yashayah 65:1-25

  • yahova ne moorti poojnevalon ko saza sunayi (1-16)

    • saubhagya devta; bhavishya batanevala devta (11)

    • “mere sevak khaayenge” (13)

  • naya aakash aur nayi prithvi (17-25)

    • ghar banana; angooron ke baag lagana (21)

    • kisi ki mehnat bekar nahin jaayegi (23)

65  “jinhonne mere baare mein nahin poochha, unhein main mil gaya,jinhonne mujhe nahin dhoondha, unhonne mujhe paa liya.+ jo raashtra mera naam nahin pukarta, usse mainne kaha, ‘main yahaan hoon!’+   main aise hatheele logon+ ke saamne din-bhar haath failaye raha,jo buri raah par chalte hain+ aur apne man ki karte hain.+   ye log khuleaam meri beizzati karte hain,+bageechon mein balidan chadhate hain,+ inton par bali chadhate hain taaki dhuaan uthe,   kabraon ke beech baithte hain,+chhipne ki jagahon* mein raat bitate hain,sooar ka maans khaate hain+aur apne bartanon mein ashuddh* cheezon ka shorba rakhte hain.+   woh kehte hain, ‘door khada reh, mere paas mat aa,kyonki main tujhse pavitra hoon.’* ye log meri naak mein dhuyen ki tarah hain aur woh din-bhar mujhe gussa dilate hain,jaise koi aag din-bhar jalti rehti hai.   dekho! yah sab mere saamne likha gaya,main chup nahin baithoonga,unke kaamon ka badla unhein chukaunga,+haan, unhein poora-poora badla doonga,   un gunahon ke liye jo unhonne aur unke purkhon ne kiye hain.+ unhonne pahadon par balidan chadhaye ki unse dhuaan uthe,pahadiyon par mera apman kiya,+isliye sabse pehale main unhein unke kaamon ka poora-poora badla doonga.” yah baat yahova ne kahi hai.   yahova kehta hai, “angoor ke guchhe se agar nayi daakh-madira mil sakti hai to log kehte hain,‘use nasht mat karo, usmein ab bhi kuch achha* baaki hai.’ apne sevkon ki khaatir bhi main kuch aisa karoonga,main un sabka naash nahin karoonga.+   main yakub se ek vansh nikaaloongaaur yahooda se apne pahadon ke liye ek vaaris laaunga.+mere chune huye log mere desh ko apne adhikar mein kar leingeaur mere sevak vahaan baseinge.+ 10  shaaron ke maidan+ bhedon ke liye charagah ban jaayenge,aakor ghaati+ gaay-bailon ke aaram karne ki jagah ban jaayegi,yah sab mere un logon ke liye hoga jo meri khoj mein rehte hain. 11  magar tum unmein se ho jinhonne yahova ko chhod diya hai,+tum mere pavitra pahad ko bhool gaye,+tum saubhagya devta ke liye mez sajate ho,bhavishya batanevale devta ke liye masalevali daakh-madira ka pyala bharte ho. 12  main batata hoon tumhara bhavishya kya hoga,tum talvar se maare jaaoge,+ ghaat hone ke liye apna sir jhukaoge,+kyonki mainne tumhein bulaya tha magar tumne koi javab nahin diya,mainne tumhein samjhaya tha magar tumne meri ek na suni.+tum unhin kaamon mein lage rahe jo meri nazar mein bure theaur tumne vahi chuna jo mujhe bilkul pasand nahin.”+ 13  isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “dekho! mere sevak khaayenge, magar tum bhookhe rahoge,+mere sevak peeyenge,+ magar tum pyase rahoge,mere sevak khushiyaan manayenge,+ magar tum sharminda hoge,+ 14  dekho! mere sevak jayjaykar kareinge kyonki unka dil khush hoga,magar tum ro-oge kyonki tumhara dil dukhi hoga,tum zor-zor se rooge kyonki tumhara man nirash hoga. 15  tum apne peechhe aisa naam chhod jaaoge, jise mere chune huye log shaap ki tarah istemal kareinge.saare jahan ka maalik yahova tummein se harek ko maut ke ghaat utaar dega,magar apne sevkon ko main* ek doosre naam se bulaunga.+ 16  isliye dharti par jo koi apne liye aasheesh maangega,woh sachchai ke* parmeshvar se aasheesh paayegaaur dharti par jo koi shapath khaayega,woh sachchai ke* parmeshvar ke naam se shapath khaayega.+ purane dukh bhula diye jaayenge,woh meri aankhon se ojhal ho jaayenge.+ 17  dekho! main naye aakash aur nayi prithvi ki srishti kar raha hoon,+fir purani baatein yaad na aayengi,na hi unka khayal kabhi tumhare dil mein aayega.+ 18  isliye main jo rach raha hoon, us par sada khushi manao aur magan ho. dekho! main yarooshalem ko rach raha hoon ki woh khushi ka kaaran thahreaur uske logon ko bhi ki woh magan hone ka kaaran banein.+ 19  main yarooshalem ke liye khushiyaan manaunga, apne logon ke liye magan hounga,+fir kabhi us nagri mein na rone ki aavaz sunayi degi na dard-bhari pukar.”+ 20  “vahaan aisa nahin hoga ki koi shishu thode din jeekar mar jaaye,boodha bhi apni poori umra jeeyega. agar koi sau saal ki umra mein marega, to kaha jaayega ki woh bhari javani mein hi mar gayaaur ek paapi chahe sau saal ka bhi ho, shaap milne par woh mar jaayega.* 21  woh ghar banakar usmein baseinge,+angooron ke baag lagayenge aur unka fal khaayenge.+ 22  aisa nahin hoga ki woh ghar banayen aur koi doosra usmein rahe,woh baag lagayen aur koi doosra uska fal khaaye, kyonki mere logon ki umra, pedon ke samaan hogi,+mere chune huye apni mehnat ke fal ka poora-poora maza leinge. 23  unki mehnat bekar nahin jaayegi,+na unke bachche dukh uthane ke liye paida honge,kyonki woh aur unke bachche yahova ka vansh* hain,jinhein usne aasheesh di hai.+ 24  unke bulane se pehale hi main unhein javab doongaaur jab woh apni baatein batayenge, to main unki sunoonga. 25  bhediya aur memna saath-saath chareinge,sher, bail ki tarah ghaas-foos khaayega+aur saanp mitti khaaya karega. mere saare pavitra parvat par woh na to kisi ka nuksan kareinge, na hi tabahi machayenge.”+ yah baat yahova ne kahi hai.

kai footnote

ya shaayad, “pehra dene ki jhonpdiyon.”
ya “ghinauni.”
ya shaayad, “varna meri pavitrata tujhe mil jaayegi.”
shaa., “aasheesh.”
shaa., “woh.”
ya “vishvasyogya.” shaa., “aameen ke.”
ya “vishvasyogya.” shaa., “aameen ke.”
ya shaayad, “aur jo sau ki umra tak nahin pahunchta woh shaapit maana jaayega.”
shaa., “beej.”