yashayah 9:1-21
9 lekin yah andhkar vaisa nahin hoga jaisa us vakt tha jab desh par museebat aayi thi, jab beete samay mein jabooloon ke desh aur naptali ke desh ko neecha dikhaya gaya tha.+ magar baad mein parmeshvar us desh ka maan badhayega, jo samundar ke raaste par aur yardan ke ilake mein aata hai aur gair-yahoodiyon ka galeel kehlata hai.
2 andhkar mein chalnevalon ne tez raushni dekhi hai,
jis desh mein ghup andhera chhaaya tha,vahaan ke rehnevalon par raushni chamki hai.+
3 toone us raashtra ke logon ki ginti badhayi hai,toone unhein bahot khushiyaan di hain.
woh tere saamne aise magan hain, jaise katai ke samayaur loot ka maal baantte samay log magan hote hain,
4 kyonki toone unke bojh ke juye ko, unke kandhon par rakhe chhad ko,unse kaam lenevale jalladon ki laathi ko tod diya hai,jaisa toone midyaniyon ke dinon mein kiya tha.+
5 zameen ko hilakar rakh denevale fauji jooteaur khoon se sane kapde aag mein bhasm kar diye jaayenge.
6 hamare liye ek ladka paida hua hai,+hamein ek beta diya gaya hai,use raaj karne ka adhikar* saunpa jaayega,*+
use* bejod salahkar,+ shaktishali ishvar,+ yug-yug ka pita aur shaanti ka shaasak kaha jaayega.
7 uski hukoomat* badhti jaayegiaur shaanti ka ant nahin hoga.+
woh apne raaj mein daavid ki raajgaddi par baithega,+woh apna raaj mazbooti se kaayam karega,+woh ab se hamesha taknyay aur neki se use sambhaale rahega.+
senaon ka parmeshvar yahova apne josh ke kaaran aisa zaroor karega.
8 yahova ne yakub ke khilaf paigam bheja hai,israel ke khilaf sandesh bheja hai+
9 aur yah baat epraim aur saamriya ke rehnevale,haan, sab log jaan leinge,jo ghamand mein choor hokar aur dil ki dhithai se kehte hain,
10 “kachchi inton ka ghar gir gaya to kya hua,hum tarashe huye pattharon se iski deevar khadi kareinge.+
goolar ke ped kaat daale gaye to kya hua,hum unki jagah devdar ke ped lagayenge.”
11 yahova raseen ke dushmanon ko uske khilaf khada karegaaur israel ke dushmanon ko hamla karne ke liye udhaarega.
12 poorab se seeriya aur pashchim se palishti aayenge,+woh munh faade israel par toot padeinge aur use khaa jaayenge.+
fir bhi parmeshvar ka krodh shaant nahin hoga,use maarne ke liye woh apna haath badhaye rakhega,+
13 kyonki ye log apne maarnevale ke paas nahin laut rahe,senaon ke parmeshvar yahova ko nahin dhoondh rahe.+
14 isliye yahova ek hi din mein israel ka sir aur dum,uski tahni aur lambee-lambee ghaas* kaat dega.+
15 mukhiya aur izzatdar log uska sir hainaur jhoothi baatein sikhanevale bhavishyavakta uski dum.+
16 uske aguve logon ko galat raah par le jaate hainaur unke peechhe chalnevale uljhan mein hain.
17 yahova unke javan aadmiyon se khush nahin hoga,anathon* aur vidhvaon par koi reham nahin karega,kyonki sab-ke-sab dusht ho gaye hain,unhonne parmeshvar se munh mod liya hai,+jise dekho, woh besir-pair ki baatein karta hai.
yahi vajah hai ki parmeshvar ka krodh shaant nahin hoga,balki unhein maarne ke liye woh apna haath badhaye rakhega.+
18 dushtata dhadhakti aag ki tarah hai,jo kanteeli jhaadiyon aur jangli paudhon ko bhasm kar deti hai,
jangal ki ghani jhaadiyon mein aag laga deti hai,jiska dhuaan aasman ki taraf uthne lagta hai.
19 senaon ke parmeshvar yahova ke krodh ne poore desh mein aag laga di hai.
logon ko indhan ki tarah is aag mein daala jaayega,aisa haal hoga ki bhaai, bhaai ko nahin chhodega.
20 woh apne daayin taraf maans ka tukda kaatkar khaayenge,fir bhi bhookhe reh jaayenge.apne baayin taraf maans ka tukda nocheinge,fir bhi unka pet nahin bharega.
har koi apne hi haath ka maans kaatkar khaayega.
21 manashshe epraim ko ujaadegaaur epraim manashshe ko.
magar woh donon milkar yahooda se ladeinge.+
yahi vajah hai ki parmeshvar ka krodh shaant nahin hoga,balki unhein maarne ke liye woh apna haath badhaye rakhega.+
kai footnote
^ ya “sarkar.”
^ shaa., “uske kandhon par hoga.”
^ shaa., “uska naam.”
^ ya “sarkar.”
^ ya shaayad, “khajoor ki daali aur narkat.”
^ ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”