yirmayah 1:1-19

  • yirmayah, bhavishyavakta thehraya gaya (1-10)

  • baadam ke ped ka darshan (11, 12)

  • ek hande ka darshan (13-16)

  • yirmayah ko mazboot kiya gaya (17-19)

1  ye yirmayah* ke shabd hain, jo binyameen ke anatot mein+ rehnevale ek yaajak hilkiyah ka beta hai:  yahova ka sandesh aamon+ ke bete aur yahooda ke raja yoshiyah+ ke raaj ke 13vein saal mere paas pahuncha.  parmeshvar ka sandesh mujhe yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke dinon mein+ bhi mila aur yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja sidkiyah+ ke raaj ke 11vein saal tak milta raha. uska sandesh mujhe tab tak milta raha jab tak ki paanchvein maheene mein yarooshalem ke log bandhuai mein na chale gaye.+  yahova ka yah sandesh mere paas pahuncha:   “main tujhe garbh mein rachne se pehale hi jaanta* tha,+tere paida hone se pehale hi mainne tujhe pavitra thehraya tha,*+ mainne tujhe raashtron ke liye ek bhavishyavakta thehraya hai.”   magar mainne kaha, “hey saare jahan ke maalik yahova, mujhe to bolna bhi nahin aata,+ main bas ek ladka* hoon.”+   tab yahova ne mujhse kaha, “yah mat keh ki main bas ek ladka hoon,kyonki tujhe un sabke paas jaana hoga jinke paas main tujhe bhej raha hoon,tujhe unse har woh baat kehni hogi jiski main tujhe aagya deta hoon.+   tu unhein dekhkar darna mat,+kyonki yahova kehta hai, ‘main tujhe bachane ke liye tere saath hoon.’”+  fir yahova ne apna haath badhakar mera munh chhua.+ yahova ne mujhse kaha, “mainne apne shabd tere munh mein daale hain.+ 10  dekh, aaj mainne tujhe raashtron aur raajyon par adhikar diya hai taaki tu jad se ukhaade aur giraye, naash kare aur dhaaye, banaye aur lagaye.”+ 11  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha, “yirmayah, tujhe kya dikhayi de raha hai?” mainne kaha, “mujhe ek baadam ke ped* ki daali dikhayi de rahi hai.” 12  yahova ne kaha, “toone sahi dekha hai kyonki main apne vachan ke mutabik kaam karne ke liye bilkul jaaga hua hoon.” 13  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha, “tujhe kya dikhayi de raha hai?” mainne kaha, “mujhe ubaalta hua ek handa* dikhayi de raha hai aur uska munh uttar se dakshin ki taraf jhuka hua hai.” 14  fir yahova ne mujhse kaha,“uttar se vipatti desh ke sab logon par toot padegi.+ 15  kyonki yahova ailan karta hai, ‘main uttar ke raajyon ke sab kulon ko bula raha hoon,+woh aayenge aur har koi yarooshalem ke faatak ke pravesh parapni raajgaddi par baithega,+woh uske chaaron taraf ki sheharpanah paraur yahooda ke sabhi shehron par hamla kareinge.+ 16  main unke sabhi dusht kaamon ki vajah se unhein saza sunaunga,kyonki unhonne mujhe chhod diya hai+aur woh doosre devtaon ke aage balidan chadhate hain taaki uska dhuaan uthe,+apne hi haath ki banayi cheezon ke aage dandvat karte hain.’+ 17  magar tu kadam uthane ke liye taiyar ho jaa,*tujhe jaakaar unhein har woh baat batani hogi jiski main tujhe aagya deta hoon. tu unse khauf na khaana+taaki aisa na ho ki main tujhe unke saamne dahshat mein daal doon. 18  aaj main tujhe ek kileband shehar jaisa banata hoon,lohe ke khambhe aur tambe ki deevaron jaisa banata hoon taaki tu poore desh ka,+yahooda ke raajaon aur haakimon ka,yaajkon aur desh ke aam logon ka datkar saamna kar sake.+ 19  woh tujhse ladeinge to zaroor magar jeet nahin paayenge,*kyonki yahova kehta hai, ‘main tujhe bachane ke liye tere saath hoon.’”+

kai footnote

shaayad iska matlab hai, “yahova uncha uthata hai.”
ya “chun liya.”
ya “alag kiya tha.”
ya “javan.”
shaa., “ek jaagnevale.”
ya “chaude munhvala handa.”
shaa., “apni kamar kas le.”
ya “tujhe hara nahin paayenge.”