yirmayah 11:1-23

  • yahooda ne parmeshvar se kiya karar toda (1-17)

    • jitne shehar utne devta (13)

  • yirmayah memne jaisa hai jiska halal honevala tha (18-20)

  • uske nagar ke aadmiyon ka virodh (21-23)

11  yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:  “logo, is karar ki baatein suno! ye* baatein yahooda ke logon aur yarooshalem ke nivasiyon ko bata  aur unse keh, ‘israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “aise har insan par shaap pade, jo is karar ki baatein nahin maanta,+  jinki aagya mainne tumhare purkhon ko di thi. jis din mainne unhein misra se, loha pighlanevale bhatthe se nikaala tha,+ us din mainne unse kaha tha, ‘tum meri baat maanna aur woh saare kaam karna jinki main tumhein aagya deta hoon, tab tum mere log hoge aur main tumhara parmeshvar hounga.+  aur main woh vaada poora karoonga jo mainne tumhare purkhon se shapath khaakaar kiya tha ki main unhein woh desh doonga, jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain.+ aur aaj tak tum is desh mein reh rahe ho.’”’” tab mainne javab mein kaha, “hey yahova, aameen.”*  fir yahova ne mujhse kaha, “yahooda ke shehron aur yarooshalem ki galiyon mein in saari baaton ka ailan kar, ‘is karar ki baatein suno aur inka paalan karo.  kyonki jis din mainne tumhare purkhon ko misra se nikaala tha us din mainne unhein samjhakar kaha, “tum meri aagya maanna,” theek jaise aaj main tumhein samjha raha hoon. mainne unhein baar-baar samjhaya,*+  magar unhonne meri nahin suni, meri taraf kaan nahin lagaya. iske bajay, har koi dheeth hokar apne dusht man ki sunta raha.+ isliye mainne unhein karar mein likhi saza di, kyonki mainne unhein jo aagya di thi use unhonne nahin maana.’”  fir yahova ne mujhse kaha, “yahooda ke logon aur yarooshalem ke nivasiyon ne mujhse bagavat karne ki saazish ki hai. 10  ye vahi gunah karte hain jo inke purkhe shuroo se karte aaye the, jinhonne aagyayen maanne se inkar kar diya tha.+ ye log bhi doosre devtaon ke peechhe jaate hain aur unki seva karte hain.+ israel ke gharane aur yahooda ke gharane ne mera woh karar tod diya hai jo mainne unke purkhon se kiya tha.+ 11  isliye yahova kehta hai, ‘ab main un par aisi vipatti laanevala hoon+ jisse woh bach nahin sakeinge. jab woh madad ke liye mujhe pukareinge, to main unki nahin sunoonga.+ 12  tab yahooda ke shehron ke log aur yarooshalem ke nivasi un devtaon ke paas jaayenge jinke liye woh balidan chadhate hain aur unhein madad ke liye pukareinge,+ magar woh devta vipatti ke samay unhein kisi bhi haal mein nahin bacha sakeinge. 13  hey yahooda, tere paas itne devta ho gaye hain jitne ki tere shehar hain aur toone us sharmnak cheez* ke liye itni vediyaan khadi ki hain jitni ki yarooshalem mein galiyaan hain taaki tu baal ke liye balidan chadha sake.’+ 14  tu* in logon ki khaatir prarthna mat karna. inki khaatir duhai mat dena, na hi prarthna karna,+ kyonki jab woh vipatti ke samay mujhe pukareinge tab main nahin sunoonga. 15  mere pyare logon ko mere bhavan mein rehne ka kya hak hai,jab unmein se itne saare log apni saazishon ko anjam dete hain? kya pavitra gosht* se woh aanevali vipatti ko taal paayenge? kya tum us vakt jashna manaoge? 16  ek vakt tha jab yahova ne tujhe falta-foolta jaitoon ka ped kaha tha,badhiya falon se lada khoobsoorat ped kaha tha. magar ek badi gadgadahat hui aur usne ped mein aag laga di,unhonne uski daaliyaan tod daalin. 17  tujhe laganevale, senaon ke parmeshvar yahova+ ne ailan kiya hai ki tujh par ek vipatti toot padegi kyonki israel ke gharane aur yahooda ke gharane ne bure kaam kiye hain aur baal ke liye balidan chadhakar mujhe krodh dilaya hai.”+ 18  yahova ne mujhe khabar di taaki main jaan sakoon,us vakt toone mujhe dikhaya ki woh kya kar rahe the. 19  main ek shaant memne ki tarah tha jise halal karne ke liye laaya jaa raha tha. mujhe maaloom nahin tha ki woh mere khilaf yah saazish kar rahe hain:+ “chalo hum is ped ko falon ke saath naash kar dein,ise kaatkar duniya se mita deintaaki fir kabhi iska naam yaad na kiya jaaye.” 20  magar senaon ka parmeshvar yahova neki se nyay karta hai,woh dilon ko aur gehrai mein chhipe vicharon* ko jaanchta hai.+ hey parmeshvar, mujhe yah dekhne ka mauka de ki tu unse kaise badla lega,kyonki mainne apna mukadma tere haath mein chhod diya hai. 21  isliye anatot+ ke jo log teri jaan ke peechhe pade hain aur tujhse kehte hain, “yahova ke naam se bhavishyavani mat kar,+ varna tu hamare haathon maara jaayega,” unke baare mein yahova kehta hai, 22  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “main un logon se hisab lenevala hoon. unke javan talvar se maar daale jaayenge+ aur unke bete-betiyaan akaal se mar jaayenge.+ 23  unmein se ek bhi nahin bachega, kyonki jis saal main anatot+ ke logon se hisab loonga, us saal main un par vipatti laaunga.”

kai footnote

zahir hai ki yah baat yirmayah se kahi gayi hai.
ya “aisa hi ho.”
shaa., “main tadke uthkar unhein samjhata raha.”
ya “sharmnak devta.”
yaani yirmayah.
yaani mandir mein diye balidanon.
ya “gehri bhaavnaon.” shaa., “gurdon.”