yirmayah 12:1-17

  • yirmayah ki shikayat (1-4)

  • yahova ka javab (5-17)

12  hey yahova, tu nek parmeshvar hai.+ jab main apni shikayat tere saamne pesh karta hoon,nyay ke maamlon par tujhse baat karta hoon,to tu insaf karta hai. dusht apne kaam mein kyon kaamyab hote hain?+ dagabaz kyon bekhauf jeete hain?   toone unhein lagaya aur unhonne jad pakdi. woh badh gaye hain aur fal dete hain. tu unki zaban par to hai, magar unke man ki gehrai mein chhipe vicharon* se door hai.+   magar hey yahova, tu mujhe achhi tarah jaanta hai,+ mujhe dekhta hai,toone mera dil jaancha aur paaya ki yah tere saath ekta mein hai.+ tu unhein aise alag kar de jaise bhedon ko halal ke liye alag kiya jaata hai,unhein ghaat kiye jaanevale din ke liye alag thehra de.   aur kab tak yah desh barbad hota rahega? har maidan ke ped-paudhe sookhte jaayenge?+ is desh ke logon ke bure kaamon ki vajah sejaanvaron aur panchhiyon ka safaya kar diya gaya hai. kyonki yahaan ke log kehte hain, “hamare saath jo hoga, use parmeshvar nahin dekh sakta.”   agar tu paidal chalnevalon ke saath daudte-daudte thak gaya hai,to ghodon ke saath kaise daudega?+ agar tujhe aman-chainvale desh mein befikra jeene ki aadat ho gayi hai,to tu yardan kinare ghani jhaadiyon mein kya karega?   kyonki tere apne bhaaiyon ne bhi, tere pita ke gharane ne bhitere saath gaddari ki.+ woh tere khilaf zor se chillaye. tu unki baaton par vishvas na karna,fir chahe woh tujhse achhi baatein kyon na kahein.   “mainne apne gharane ko chhod diya hai,+ apni virasat tyag di hai.+ jise main bahot pyar karta tha, use mainne uske dushmanon ke haathon kar diya hai.+   meri virasat mere liye jangal ka sher ban gayi, woh mujh par garajne lagi,isliye mujhe usse nafrat ho gayi hai.   meri virasat mere liye rangeen* shikari pakshi hai,doosre shikari pakshi use gherkar us par hamla karte hain.+ maidan ke saare jaanvaro, aao, ikattha ho jaao,tum sab khaane ke liye aao.+ 10  bahot-se charvahon ne mere angooron ke baag ko naash kar diya hai,+unhonne mere hisse ki zameen raund daali hai.+ meri manbhavni zameen ko ujaadkar veerana bana diya hai. 11  yah banjar zameen ho gayi hai. yah sookhkar veeran ho gayi hai,*mere saamne ujaad padi hai.+ poora desh ujaad diya gaya hai,magar koi bhi insan is baat par dhyan nahin deta.+ 12  naash karnevale, veerane se jaanevale sabhi raaston se guzarte hain,kyonki yahova ki talvar ek chhor se doosre chhor tak poora desh naash kar rahi hai.+ kisi ko shaanti nahin milti. 13  unhonne gehoon boya, magar kaanton ki fasal kaati.+ woh mehnat karte-karte past ho gaye, magar koi faayda nahin hua. woh apni upaj par sharminda honge,kyonki yahova ke krodh ki jvala un par bhadki hai.” 14  yahova kehta hai, “main apne un sabhi dusht padosiyon ko unke desh se ukhaad doonga,+ jo meri is virasat ko haath lagate hain, jise mainne apni praja israel ke adhikar mein kiya tha.+ aur main unke beech se yahooda ke gharane ko ukhaad doonga. 15  magar unhein ukhaadne ke baad main un par daya karoonga aur unmein se har kisi ko uske desh mein aur uski virasat ki zameen par vaapas le aaunga.” 16  “agar woh raashtra un raahon ke baare mein seekheinge, jin par mere log chalte hain aur mere naam se shapath khaana seekheinge aur kaheinge, ‘yahova ke jeevan ki shapath!’ theek jaise unhonne mere logon ko baal ke naam se shapath lena sikhaya tha, to main unhein apne logon ke beech falne-foolne doonga. 17  lekin agar unmein se koi raashtra meri aagya maanne se inkar karega, to main use ukhaadkar naash kar doonga.” yahova ka yah ailan hai.+

kai footnote

ya “unki gehri bhaavnaon.” shaa., “unke gurdon.”
ya “dhabbedar.”
ya shaayad, “yah maatam manati hai.”