yirmayah 14:1-22

  • sookha, akaal aur talvar (1-12)

  • jhoothe bhavishyavaktaon ko saza sunayi (13-18)

  • yirmayah ne logon ke paap kabool kiye (19-22)

14  yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha, jo sookha padne ke baare mein hai:+   yahooda maatam mana raha hai,+ uske faatak dhah gaye hain. woh hatash hokar zameen par gir pade hain,yarooshalem se cheekhna-chillana sunayi de raha hai.   vahaan ke maalik naukron* ko paani laane bhejte hain. woh kundon* ke paas jaate hain aur paate hain ki paani bilkul nahin hai. woh khaali bartan liye lautte hain. woh sharminda aur nirash hain,apna sir dhaanp lete hain.   zameen par dararein pad gayi hain,kyonki desh mein kahin baarish nahin hoti,+kisan maayoos hain, apna sir dhaanp lete hain.   maidan ki hirni bhi apne naye janme bachche ko chhodkar chali jaati hai,kyonki kahin bhi ghaas nahin hai.   jangli gadhe sooni pahadiyon par khade,geedadon ki tarah ek-ek saans ke liye haanfte hain, unki aankhein dhundhla gayi hain kyonki ped-paudhe kahin nahin hain.+   maana ki hamare gunah hamare khilaf gavahi dete hain,fir bhi hey yahova, apne naam ki khaatir kuch kar,+ hamne kitni baar tere saath vishvasghat kiya hai, uska koi hisab nahin,+hamne tere hi khilaf paap kiya hai.   hey israel ki aasha, sankat ke samay uske uddharkarta,+tu kyon aise pesh aa raha hai maano tu desh mein koi ajnabi ho,koi musafir ho jo sirf raat kaatne ke liye rukta hai?   tu kyon aise aadmi ki tarah pesh aa raha hai jo sakte mein hai,aise soorma ki tarah jo bachane mein bebas hai? kyonki hey yahova, tu hamare beech hai+aur hum tere naam se jaane jaate hain.+ hamein na thukra. 10  yahova in logon ke baare mein kehta hai, “unhein idhar-udhaar bhatakna bahot pasand hai.+ unhonne apne kadmon ko nahin roka.+ isliye yahova unse khush nahin hai.+ ab woh unke gunah par dhyan dega aur unse unke paapon ka hisab lega.”+ 11  fir yahova ne mujhse kaha, “tu yah prarthna mat karna ki in logon ka bhala ho.+ 12  jab woh upvas karte hain, to main unka gidgidana nahin sunta,+ jab woh poori hom-baliyaan aur anaj ke chadhave chadhate hain to main unse khush nahin hota.+ main unhein talvar, akaal aur mahamari* se mita doonga.”+ 13  tab mainne kaha, “hey saare jahan ke maalik yahova, yah kitne afsos ki baat hai! bhavishyavakta logon se keh rahe hain, ‘tumhein talvar ka munh nahin dekhna padega aur na hi tum par akaal padega, iske bajay parmeshvar is jagah tumhein sachchi shaanti dega.’”+ 14  fir yahova ne mujhse kaha, “bhavishyavakta mere naam se jhoothi bhavishyavani kar rahe hain.+ mainne na to unhein bheja, na unhein aagya di aur na hi unse baat ki.+ woh tum logon ko jhoothe darshan sunate hain, bekar ki bhavishyavani batate hain aur man mein chhal ki baatein gadhkar sunate hain.+ 15  isliye ye bhavishyavakta jo mere na bhejne par bhi mere naam se bhavishyavani karte hain aur kehte hain ki desh mein na to talvar chalegi na akaal padega, unke baare mein yahova kehta hai, ‘ye bhavishyavakta talvar aur akaal se maare jaayenge.+ 16  aur jin logon ko woh bhavishyavani suna rahe hain woh bhi akaal aur talvar se maare jaayenge aur unki laashein yarooshalem ki sadkon par feink di jaayengi. unhein, unki patniyon aur unke bete-betiyonn ko dafnanevala koi na hoga+ kyonki main un par aisi vipatti laaunga jiske woh laayak hain.’+ 17  tu unse kehna, ‘meri aankhon se din-raat aansuon ki dhaara behti rahe, use thamne na de,+kyonki mere logon ki kunvari beti ko poori tarah choor-choor kar diya gaya hai, tod diya gaya hai,+use gehre zakhm diye gaye hain. 18  agar main maidan mein jaata hoon,to mujhe talvar se maare gaye logon ki laashein nazar aati hain!+ agar main shehar ke andar jaata hoon,to aise log nazar aate hain jinhein akaal ne rogi bana diya hai!+ kyonki bhavishyavakta aur yaajak, donon aise desh mein bhatakte-firte hain jise woh nahin jaante.’”+ 19  hey parmeshvar, kya toone yahooda ko poori tarah thukra diya hai? kya tujhe siyyon se ghin ho gayi hai?+ toone hamein aisa ghaav kyon diya jise bhara nahin jaa sakta?+ hamne shaanti ki aasha ki thi, magar kuch bhala nahin hua. theek hone ki ummeed ki thi, magar khauf chhaaya raha!+ 20  hey yahova, hum apni dushtataaur apne purkhon ka gunah kabool karte hain,kyonki hamne tere khilaf paap kiya hai.+ 21  apne naam ki khaatir hamein na thukra,+apni gauravshali raajgaddi ko tuchh na samajh. hamare saath kiya karar yaad kar, use na tod.+ 22  kya raashtron ki ek bhi nikammi moorat paani barsa sakti hai? kya aasman apne aap bauchhar kar sakta hai? hey hamare parmeshvar yahova, kya sirf tu hi nahin jo aisa kar sakta hai?+ hamne tujh par aasha rakhi hai,kyonki sirf toone ye saare kaam kiye hain.

kai footnote

ya “chhote logon.”
ya “khaaiyon.”
ya “beemari.”