yirmayah 15:1-21

  • yahova apna faisla nahin badlega (1-9)

  • yirmayah ki shikayat (10)

  • yahova ka javab (11-14)

  • yirmayah ki prarthna (15-18)

    • parmeshvar ka sandesh khaane se khushi mili (16)

  • yirmayah ko yahova ne mazboot kiya (19-21)

15  fir yahova ne mujhse kaha, “agar moosa aur shamooel bhi mere saamne khade hote,+ tab bhi main in logon par reham nahin karta. in logon ko mere saamne se nikaal de. woh yahaan se chale jaayen.  aur agar woh poochhein, ‘hum kahaan jaayen?’ to unse kehna, ‘yahova kehta hai, “jinke liye jaanleva mahamari tay hai, woh mahamari ke paas jaayen! jinke liye talvar tay hai, woh talvar ke paas jaayen!+ jinke liye akaal tay hai, woh akaal ke paas jaayen! jinke liye bandhuai tay hai, woh bandhuai mein jaayen!”’+  yahova ailan karta hai, ‘main un par chaar kehar dhaaunga:*+ ghaat karne ke liye talvar, unki laashein ghaseetkar le jaane ke liye kutte aur unhein khaa jaane aur naash karne ke liye aakash ke pakshi aur dharti ke jaanvar.+  hijkiyah ke bete aur yahooda ke raja manashshe ne yarooshalem mein jo kaam kiye the,+ unki vajah se main in logon ka aisa hashra karoonga ki dharti ke sab raajya dekhkar dehal jaayenge.+   hey yarooshalem, kaun tujh par karuna karega?kaun tujhse hamdardi jatayega?kaun teri khairiyat poochhne ke liye rukega?’   yahova ailan karta hai, ‘toone mujhe chhod diya hai,tu baar-baar mujhe peeth dikhata hai.*+ isliye main apna haath badhakar tujhe naash kar doonga.+ main tujh par taras khaate-khaate* thak gaya hoon.   main desh ke shehron* mein unhein kaante se usaunga. unke bachchon ko maarkar unhein beaulad kar doonga.+ main apne logon ko naash kar doonga,kyonki unhonne apne taur-tareeke badalne se inkar kar diya hai.+   mere saamne unki vidhvaon ki ginti samundar ki baaloo se zyada hogi. main bhari dopahri mein ek naash karnevale se un par hamla karvaunga,unki maaon aur javanon par hamla karvaunga. main achanak unke beech halchal macha doonga, unmein dar faila doonga.   jis aurat ne saat bachchon ko janm diya tha, woh kamzor ho gayi hai,mushkil se saans le rahi hai. uska sooraj din rehte hi dhal gaya hai,jisse sharmindagi aur apman hua hai.’* yahova ailan karta hai, ‘unmein se jo thode log bach gaye,main unhein dushmanon ki talvar ke havale kar doonga.’”+ 10  hey meri maa, dhikkar hai mujh par! toone mujhe kyon janm diya,+poore desh ke log mujhse ladte-jhagadte hain. mainne na to kisi se udhaar liya, na hi kisi ko udhaar diya,fir bhi sab mujhe koste hain. 11  yahova kehta hai, “main beshak tere saath bhalai karoonga,vipatti ke samay main teri taraf se baat karoonga,museebat ki ghadi mein main dushman se baat karoonga. 12  kya koi lohe ke tukde-tukde kar sakta hai?uttar disha ke lohe aur tambe ke tukde kar sakta hai? 13  tumne apne sabhi ilakon mein jitne paap kiye hain,unki vajah se main tumhari daulat aur tumhara khazana loot mein de doonga,+bina daam liye de doonga. 14  main unhein tumhare dushmanon ko de doongataaki woh unhein aise desh mein le jaayen jise tum nahin jaante.+ mere gusse ki aag bhadak uthi hai,jo tumhein bhasm kar rahi hai.”+ 15  hey yahova, tu meri takaleefein jaanta hai,mujhe yaad kar, mujh par dhyan de. mere satanevalon se meri taraf se badla le.+ kahin main naash na ho jaaun* kyonki tu krodh karne mein dheema hai. jaan le ki main teri khaatir yah badnami jhel raha hoon.+ 16  tera sandesh mujhe mila aur mainne use khaaya,+tera sandesh mere liye khushi ka kaaran ban gaya aur mera dil magan ho gaya,kyonki hey senaon ke parmeshvar yahova, main tere naam se jaana jaata hoon. 17  main mauj-masti karnevalon ke saath baithkar aanand nahin manata.+ tera haath mere oopar hai, isliye main akela baithta hoon,toone mujhe jaljalahat* se bhar diya hai.+ 18  mera dard kyon nahin jaata, mera ghaav kyon nahin bharta? yah theek hone ka naam hi nahin leta. kya tu mere liye dhokha denevale sote jaisa hoga,jisse paani milne ka koi bharosa nahin? 19  isliye yahova kehta hai, “agar tu mere paas laut aayega, to main tujhe bahaal kar doonga,tu mere saamne khada rahega. agar tu keemti cheezon ko bekar cheezon se alag karega,to tu mere munh jaisa* banega. unhein mudkar tere paas lautna padega,magar tu unke paas nahin jaayega.” 20  yahova ailan karta hai, “main tujhe in logon ke liye tambe ki mazboot deevar banata hoon.+ woh tujhse ladeinge to zaroor,magar tujhse jeet nahin paayenge,*+kyonki main tujhe bachane aur chhudane ke liye tere saath hoon.” 21  “main tujhe dushton ke haath se chhuda loonga,bereham logon ke changul se nikaal loonga.”

kai footnote

ya shaayad, “chaar tarah ki sazayen thehraunga.”
ya shaayad, “peechhe ki taraf chalta rehta hai.”
ya “main pachhtava mehsoos karte-karte.”
shaa., “faatkon.”
ya shaayad, “woh sharminda aur beizzat hui.”
shaa., “mujhe utha na lena.”
ya “saza ke sandesh.”
ya “meri taraf se bolnevala.”
ya “tujhe hara nahin paayenge.”