yirmayah 17:1-27

  • yahooda ka paap gehrai tak samaya hua (1-4)

  • yahova se milnevali aasheeshein (5-8)

  • dhokhebaz dil (9-11)

  • yahova, israel ki aasha (12, 13)

  • yirmayah ki prarthna (14-18)

  • sabt ko pavitra maanna (19-27)

17  “yahooda ka paap lohe ki kalam se likha gaya hai. heere ki nok se unke dil ki patiya paraur unki vediyon ke singon par gadh diya gaya hai,   unke bete bhi unki vediyon aur pooja-laathon* ko yaad karte hain,+jo ek ghane ped ke paas, unchi pahadiyon par+   aur khule dehat mein pahadon par thi. teri daulat, tera saara khazana main loot mein de doonga,+haan, teri unchi jagah loot mein de doonga kyonki toone apne saare ilakon mein paap kiya hai.+   tu apne hi dosh ke kaaran meri di hui virasat kho baithega.+ main tujhe ek anjan desh mein bhej doonga jahaan tu apne dushmanon ki gulami karega,+kyonki toone mere krodh ki aag bhadka di hai.*+ yah hamesha jalti rahegi.”   yahova kehta hai, “shaapit hai woh insan* jo adna insanon par bharosa karta hai,+jo insani taakat ka sahara leta hai,+jiska dil yahova se door ho jaata hai.   woh us ped ki tarah ban jaayega jo veerane mein akela khada rehta hai. woh kabhi bhalai nahin dekhega,woh veerane ki sookhi jagahon mein hi rahega,namakvali jagah mein, jahaan koi nahin reh sakta.   us insan* par parmeshvar ki aasheesh hoti hai,jo yahova par bharosa rakhta hai,jo yahova par aasha rakhta hai.+   woh us ped ki tarah ban jaayega jise paani ke soton ke paas lagaya gaya hai,jo apni jadein behte paani tak failata hai. use tapti garmi ka ehsas nahin hoga,uske patte hamesha hare raheinge.+ sookhe ke saal mein use koi chinta nahin hogi,na hi woh fal dena chhodega.   dil sabse bada dhokhebaz* hai aur yah utavla* hota hai.+ ise kaun jaan sakta hai? 10  main yahova dil ko jaanchta hoon,+gehrai mein chhipe vicharon* ko parakhta hoontaaki harek ko uske chaalchalanaur uske kaamon ke nateeje ke mutabik fal doon.+ 11  jaise ek teetar un andon ko seti hai jo usne nahin diye,vaise hi woh insan hota hai jo beimani se daulat kamata hai.*+ daulat use uski adhed umra mein chhod degiaur aakhir mein woh moorkh saabit hoga.” 12  jis gauravshali raajgaddi ki shurooat se mahima hui hai,vahi hamara pavitra-sthan hai.+ 13  hey yahova, israel ki aasha,tujhe chhodnevale sab sharminda kiye jaayenge. tujhse* bagavat karnevalon ke naam dhool par likhe jaayenge,+kyonki unhonne yahova ko chhod diya hai, jo jeevan ka jal deta hai.+ 14  hey yahova, mujhe changa kar, tab main changa ho jaaunga. mujhe bacha le, tab main bach jaaunga,+kyonki main teri hi taareef karta hoon. 15  dekh! woh mujhse kehte hain, “yahova ka vachan ab tak poora kyon nahin hua?”+ 16  magar main ek charvahe ke naate tere peechhe chalna chhodkar door nahin bhaaga,na hi mainne museebat ke din ki kaamna ki. tu achhi tarah jaanta hai ki mere honthon ne kya-kya kaha,yah sab tere saamne hi hua hai! 17  tu mere liye khauf ki vajah na ban. tu vipatti ke din meri panah hai. 18  mujhe satanevale sharminda ho jaayen,+magar mujhe sharminda na hone de. un par khauf chhaa jaaye,magar mujh par khauf na chhaane de. un par vipatti ka din le aa+aur unhein kuchalkar poori tarah naash kar de.* 19  yahova ne mujhse kaha, “jaakaar in logon ke beton ke faatak ke paas khada ho, jahaan se yahooda ke raja aate-jaate hain aur yarooshalem ke sabhi faatkon ke paas khada ho.+ 20  tu unse kehna, ‘yahooda ke raajao, yahooda ke sab logo aur yarooshalem ke sabhi nivasiyo, tum jo in faatkon se daakhil hote ho, yahova ka sandesh suno. 21  yahova kehta hai, “tum is baat ka dhyan rakhna: sabt ke din koi bojh mat dhona, na hi use yarooshalem ke faatkon se andar laana.+ 22  sabt ke din tum apne gharon se koi bojh baahar mat laana aur koi bhi kaam mat karna.+ sabt ke din ko pavitra maanna, theek jaise mainne tumhare purkhon ko aagya di thi.+ 23  magar unhonne meri baat nahin suni thi aur us par kaan nahin lagaya tha. unhonne dheeth hokar meri aagya maanne aur meri shiksha kabool karne se inkar kar diya tha.”’+ 24  ‘yahova ailan karta hai, “lekin agar tum sakhti se meri baat maanoge aur sabt ke din is shehar ke faatkon se koi bojh dhokar nahin laaoge aur sabt ke din koi bhi kaam nahin karoge aur is tarah use pavitra maanoge,+ 25  to daavid ki raajgaddi+ par baithnevale raja aur haakim, rath aur ghodon par savaar hokar is shehar ke faatkon se andar aa paayenge. raja aur unke haakim, yahooda ke log aur yarooshalem ke nivasi andar aa paayenge+ aur yah shehar sada logon se aabad rahega. 26  yahooda ke shehron, yarooshalem ke aas-paas ki jagahon, binyameen ke ilake,+ nichle pradesh,+ pahadi pradesh aur negeb* se log aa paayenge. woh apne saath poori hom-baliyaan,+ balidan,+ anaj ke chadhave,+ loban aur dhanyavad-baliyaan lekar yahova ke bhavan mein aa paayenge.+ 27  lekin agar tum meri aagya todkar sabt ke din ko pavitra nahin maanoge aur sabt ke din bojh dhooge aur use yarooshalem ke faatkon se andar laaoge, to main uske faatkon par aag laga doonga aur yah aag yarooshalem ki kileband meenaron ko zaroor bhasm kar degi+ aur yah bujhayi nahin jaayegi.”’”+

kai footnote

shabdavli dekhein.
ya shaayad, “mere krodh ki vajah se tujhe aag ki tarah jalaya gaya hai.”
ya “taakatvar aadmi.”
ya “taakatvar aadmi.”
ya “dagabaz.”
ya shaayad, “laailaj.”
ya “gehri bhaavnaon.” shaa., “gurdon.”
ya “jo daulat kamata hai magar nyay se nahin.”
shaa., “mujhse,” zahir hai ki yahaan yahova ki baat ki gayi hai.
ya “do baar naash kar de.”
ya “dakshin.”