yirmayah 18:1-23

  • kumhar ke haath mein mitti (1-12)

  • yahova ne israel ko peeth dikhayi (13-17)

  • yirmayah ke khilaf saazish; uski duhai (18-23)

18  yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha,  “tu uthkar kumhar ke ghar jaa.+ vahaan main tujhe apna sandesh sunaunga.”  isliye main uthkar kumhar ke ghar gaya. kumhar chaak par kaam kar raha tha.  magar woh mitti se jo bartan bana raha tha, woh uske haath mein bigaad gaya. isliye usne usi mitti se doosra bartan bana diya. use jaisa theek laga vaisa bartan banaya.  fir yahova ka yah sandesh mere paas pahuncha:  “yahova ailan karta hai, ‘hey israel ke gharane, kya main tere saath aisa hi nahin kar sakta jaise is kumhar ne kiya? hey israel ke gharane, dekh! jaise kumhar ke haath mein mitti hai, vaise hi tu mere haath mein hai.+  jab bhi main kisi raashtra ya raajya ke baare mein kahoon ki main use jad se ukhaad doonga, dhaa doonga aur naash kar doonga,+  tab agar woh raashtra apni dushtata chhod de to main apni soch badal doonga* aur us par woh vipatti nahin laaunga jise laane ki mainne thaani thi.+  lekin agar main kisi raashtra ya raajya ke baare mein kahoon ki main use banaunga aur lagaunga 10  aur woh meri nazar mein bure kaam kare aur meri aagya na maane, to main apni soch badal doonga* aur mainne uske saath jo bhalai karne ki thaani thi, woh nahin karoonga.’ 11  ab tu meharbani karke yahooda ke logon aur yarooshalem ke nivasiyon se bol, ‘yahova kehta hai, “main tum par vipatti laane ki taiyari kar raha hoon aur museebat laane ka upay kar raha hoon. meharbani karke apne bure raaste se palatkar laut aao, apne taur-tareeke badlo aur apna chaalchalan sudhaaro.”’”+ 12  magar unhonne kaha, “nahin, aisa nahin ho sakta!+ hum to vahi kareinge jo hamne socha hai. hammein se har koi dheeth hokar apne dusht man ke mutabik kaam karega.”+ 13  isliye yahova kehta hai, “meharbani karke raashtron se poochho. kya kisi ne aisi baat suni hai? israel ki kunvari ne sabse ghinauna kaam kiya hai.+ 14  kya labanon ki pathreeli dhalanon se barf kabhi gaayab hoti hai? ya door se behenevala thanda paani kabhi sookhta hai? 15  magar mere log mujhe bhool gaye hain.+ woh nikammi cheezon ke aage balidan chadhate hain,+logon ko thokar khilakar girate hain,unhein purane zamane ki raahon se hatakar apni raahon par le chalte hain,+kachche raaston par le chalte hain, jo samtal aur seedhe nahin hain* 16  taaki apne desh ka aisa hashra karein ki dekhnevalon ka dil dehal jaaye+aur woh hamesha khauf khaayen.*+ vahaan se guzarnevala har koi dar ke maare dekhta reh jaayega,hairat se sir hilayega.+ 17  poorab se aanevali aandhi ki tarah main unhein dushman ke saamne titar-bitar kar doonga. museebat ke din main unhein apna munh nahin, peeth dikhaunga.”+ 18  unhonne kaha, “chalo, hum yirmayah ke khilaf ek saazish rachte hain,+ kyonki hamare yaajkon ke haath se kaanoon* kabhi nahin mitega, na buddhimanon se salah milni band hogi aur na hi bhavishyavaktaon se sandesh milna band hoga. chalo, hum uske khilaf baat karein* aur woh jo kehta hai us par bilkul dhyan na dein.” 19  hey yahova, mujh par dhyan deaur sun ki mere virodhi kya keh rahe hain. 20  kya achhai ka badla burai se dena sahi hai? unhonne meri jaan lene ke liye ek gaddha khoda hai.+ yaad kar ki main unke baare mein achhi baat kehne ke liye tere saamne khada huataaki teri jaljalahat unse door ho jaaye. 21  isliye unke beton ko akaal ke havale kar de,unhein talvar ke havale kar de.+ unki patniyaan apne bachchon aur pati ko kho baithein.+ unke aadmi jaanleva mahamari se maare jaayen,unke javan ladai mein talvar se maare jaayen.+ 22  jab tu un par achanak luteron se hamla karayega,to unke gharon se cheekh-pukar sunayi de. kyonki unhonne mujhe pakadne ke liye gaddha khoda,mere paanvon ke liye fande bichhaye.+ 23  magar hey yahova, tu achhi tarah jaanta haiki unhonne mujhe maar daalne ke liye kya-kya saazishein rachin.+ unke gunah ko dhaanp na dena,na unke paap ko apne saamne se mitana. jab tu krodh mein aakaar unke khilaf kadam uthayega,to woh ladkhadakar tere saamne gir padein.+

kai footnote

ya “pachhtava mehsoos karoonga.”
ya “pachhtava mehsoos karoonga.”
ya “banaye nahin gaye hain.”
shaa., “seeti bajayen.”
ya “hidayat.”
shaa., “zaban se use maarein.”