yirmayah 19:1-15

  • yirmayah ko surahi todne ke liye kaha (1-15)

    • baal ke liye bachchon ki bali (5)

19  yahova ne mujhse kaha, “jaakaar kumhar se mitti ki ek surahi khareedkar laa.+ logon ke kuch mukhiyaon aur yaajkon ke kuch mukhiyaon ko lekar  ‘hinnom ke vanshajon ki ghaati’+ mein jaa aur theekra faatak ke pravesh par khada ho. vahaan tu is sandesh ka ailan karna jo main tujhe bata raha hoon.  tu unse kehna, ‘yahooda ke raajao aur yarooshalem ke nivasiyo, yahova ka sandesh suno. senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “main is jagah ek vipatti laanevala hoon, aisi vipatti ki uske baare mein sunnaevale har kisi ke kaan jhanjhana jaayenge,  kyonki in logon ne mujhe chhod diya hai+ aur is jagah ka aisa haal kar diya hai ki yah pehchan mein nahin aati.+ yahaan woh doosre devtaon ke liye balidan chadhate hain, jinke baare mein na to woh jaante hain, na unke purkhe jaante the aur na yahooda ke raja jaante the. unhonne is jagah ko begunahon ke khoon se bhar diya hai.+  unhonne baal ke liye unchi jagah khadi kin taaki vahaan uske liye aag mein apne beton ki poori hom-bali chadha sakein.+ yah aisa kaam hai jiski mainne kabhi aagya nahin di thi, na mainne is baare mein kabhi baat ki aur na hi kabhi yah khayal mere man mein aaya.”’+  ‘yahova ailan karta hai, “isliye dekho, woh din aa rahe hain jab yah jagah fir kabhi na topet kehlayegi, na hi ‘hinnom ke vanshajon ki ghaati’ balki ‘maar-kaat ki ghaati’ kehlayegi.+  main is jagah yahooda aur yarooshalem ki yojnaon ko naakam kar doonga aur unhein dushmanon ki talvar se marva daaloonga aur un logon se ghaat karvaunga jo unki jaan ke peechhe pade hain. main unki laashein aakash ke pakshiyon aur dharti ke jaanvaron ka nivala bana doonga.+  main is shehar ka aisa hashra kar doonga ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega aur woh mazak udate huye seeti bajaayenge. yahaan se guzarnevala har koi dar ke maare dekhta reh jaayega aur uski saari vipattiyon ki vajah se mazak udate huye seeti bajayega.+  main unhein apne bete-betiyonn ka maans khaane par majboor kar doonga aur woh ek-doosre ka maans khaayenge, kyonki jab unke dushman aur woh log, jo unki jaan ke peechhe pade hain, unhein chaaron taraf se gher leinge to woh har tarah se bebas ho jaayenge.”’+ 10  fir tu un sab aadmiyon ki aankhon ke saamne surahi tod dena, jo tere saath vahaan jaayenge 11  aur unse kehna, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “jaise koi kumhar ke bartan ko aise tod deta hai ki woh dobara jud na sake, usi tarah main in logon ko aur is shehar ko naash kar doonga. woh topet mein tab tak laashein dafnate raheinge jab tak ki vahaan aur jagah na bache.”’+ 12  yahova ailan karta hai, ‘main is jagah aur iske nivasiyon ke saath aisa hi karnevala hoon taaki yah shehar topet jaisa ban jaaye. 13  yarooshalem ke ghar aur yahooda ke raajaon ke mahal is topet ki tarah ashuddh ho jaayenge.+ haan, woh sabhi ghar ashuddh ho jaayenge jinki chhaton par woh aakash ki saari senaon ke liye balidan chadhate+ aur doosre devtaon ke liye argh chadhate the.’”+ 14  jab yirmayah topet se lauta, jahaan yahova ne use bhavishyavani karne bheja tha, to woh yahova ke bhavan ke aangan mein khada hua aur usne sab logon se kaha, 15  “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘dekho, main is shehar aur iske sabhi kasbon par woh saari vipattiyaan laanevala hoon jinke baare mein mainne unhein bataya tha, kyonki unhonne dheeth hokar meri aagya maanne se inkar kar diya hai.’”+

kai footnote