yirmayah 20:1-18

  • pashhoor ne yirmayah ko maara (1-6)

  • yirmayah ne prachar band nahin kiya (7-13)

    • parmeshvar ka sandesh, aag jaisa (9)

    • yahova veer yoddha jaisa hai jisse sab darte hain (11)

  • yirmayah ki shikayat (14-18)

20  jab yirmayah in baaton ki bhavishyavani kar raha tha to immer ka beta yaajak pashhoor sun raha tha. pashhoor yahova ke bhavan ka ek mukhya adhikari tha.  jab pashhoor ne yah sab suna to usne bhavishyavakta yirmayah ko maara aur use yahova ke bhavan mein oopri binyameen faatak ke paasvale kaath mein kas diya.+  magar agle din jab pashhoor ne yirmayah ko kaath se nikaala to yirmayah ne usse kaha, “yahova ne tera naam pashhoor nahin balki ‘chautarfa aatank’ rakha hai.+  kyonki yahova kehta hai, ‘main tujhe tere liye aur tere sab doston ke liye aatank ka kaaran bana doonga. woh sab teri aankhon ke saamne apne dushmanon ki talvar se maare jaayenge.+ main poore yahooda ko baibilon ke raja ke haath mein kar doonga aur woh unhein bandi banakar baibilon le jaayega aur talvar se maar daalega.+  main is shehar ki saari daulat, iski saari jaaydad, saari keemti cheezen aur yahooda ke raajaon ka saara khazana unke dushmanon ke haath mein de doonga.+ woh unhein loot leinge, zabt kar leinge aur baibilon le jaayenge.+  aur hey pashhoor, tu aur tere ghar mein rehnevale sab log bandi bana liye jaayenge. tu baibilon jaayega aur vahaan mar jaayega. tujhe vahin apne doston ke saath dafna diya jaayega kyonki toone unhein jhoothi bhavishyavaniyaan sunayi hain.’”+   hey yahova, toone mujhe moorkh banaya aur main moorkh ban gaya. toone mujh par apna zor aazmaya aur tu jeet gaya.+ main saara din mazak ban jaata hoon,har koi meri khilli udata hai.+   jab bhi main tera sandesh sunata hoon, to mujhe zor-zor se yahi ailan karna padta hai,“maar-kaat aur tabahi machegi!” yahova ka sandesh sunane ki vajah se din-bhar meri beizzati ki jaati hai, meri hansi udayi jaati hai.+   isliye mainne kaha, “ab se main uske baare mein kuch nahin bataunga,uske naam se aur kuch nahin boloonga.”+ lekin parmeshvar ka sandesh mere man mein aag ki tarah jalne laga,yah meri haddiyon mein dhadhakti aag jaisa tha,main use rokte-rokte thak gaya, mujhse aur raha nahin gaya.+ 10  mainne bahot-si jhoothi afvahein sunin,mujhe chaaron taraf se aatank ne aa ghera.+ “chalo uski burai karte hain, uski burai karte hain!” mere liye shaanti ki kaamna karnevala har koi is intazar mein tha ki main kab giroonga.+ woh kehte the, “ho sakta hai woh bevkoofi se koi galti kare,tab hum use daboch sakte hain, usse apna badla le sakte hain.” 11  magar yahova mere saath ek aise veer yoddha ki tarah tha jisse sab darte hain.+ isliye mujhe satanevale gir padeinge aur mujhse nahin jeeteinge.+ unhein buri tarah sharminda kiya jaayega, kyonki woh kaamyab nahin honge. unhein hamesha ke liye beizzat kiya jaayega aur yah kabhi nahin bhulaya jaayega.+ 12  magar hey senaon ke parmeshvar yahova, tu nek insan ko jaanchta hai. tu dil ko aur gehrai mein chhipe vicharon* ko dekhta hai.+ mujhe yah dekhne ka mauka de ki tu unse kaise badla lega,+kyonki mainne apna mukadma tere haath mein chhod diya hai.+ 13  yahova ke liye geet gaao! yahova ki taareef karo! kyonki usne gareeb ko dushton ke haath se chhudaya hai. 14  laanat hai us din par jab main paida hua tha! woh din mubarak na maana jaaye jab meri maa ne mujhe janm diya tha!+ 15  dhikkar ho us aadmi par jisne mere pita ko yah khushkhabri sunayi thi,“tere ladka hua hai, ladka!” jise sunkar mere pita ka dil baag-baag ho gaya tha. 16  us aadmi ki haalaat un shehron jaisi ho jaayejinhein yahova ne naash kar diya, bilkul daya nahin ki. use subah cheekh-pukar aur bhari dopahri mein yuddh ki lalkar sunayi de. 17  mujhe kokh mein hi kyon nahin maar daala gaya,jisse meri maa hi meri kabraa ban jaatiaur main sada uski kokh mein pada rehta?+ 18  main kokh se kyon baahar nikala? bas isliye ki museebatein aur dukh dekhoonapman sehte-sehte mar jaaun?+

kai footnote

ya “gehri bhaavnaon.” shaa., “gurdon.”