yirmayah 21:1-14

  • yahova ne sidkiyah ki guzarish thukrayi (1-7)

  • logon ko zindagi ya maut chunni thi (8-14)

21  yahova ka yah sandesh yirmayah ko tab mila jab raja sidkiyah+ ne malkiyah ke bete pashhoor+ aur maanseyah ke bete yaajak sapanyah+ ko uske paas bheja aur usse yah poochhne ki guzarish ki:  “meharbani karke hamari taraf se yahova se poochh ki aage kya hoga, kyonki baibilon ka raja nabookadnessar* hamse yuddh karne aaya hai.+ ho sakta hai yahova hamari taraf se koi aashcharya ka kaam kare jaise usne guzre zamane mein kiya tha aur nabookadnessar hamein chhodkar chala jaaye.”+  yirmayah ne unse kaha, “tum sidkiyah se kehna,  ‘israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “tum log jo hathiyar lekar baibilon ke raja aur sheharpanah ke baahar ghernevale kasdiyon se lad rahe ho,+ un hathiyaron se main tumhin par hamla karaunga.* main unhein shehar ke beechon-beech ikattha karoonga.  main apna shaktishali haath badhakar khud tumse yuddh karoonga.+ main gusse, bade krodh aur jaljalahat mein aakaar tumse ladoonga.+  main is shehar mein rehnevale sabko maar daaloonga, insan aur jaanvar donon ko. woh badi mahamari* se mar jaayenge.”’+  ‘yahova ailan karta hai, “iske baad main yahooda ke raja sidkiyah aur uske sevkon ko aur is shehar ke logon ko, jo mahamari, talvar aur akaal se zinda bacheinge, baibilon ke raja nabookadnessar* ke haath mein kar doonga. unke dushmanon aur un logon ke haath mein kar doonga jo unki jaan ke peechhe pade hain.+ woh unhein talvar se maar daalega. woh un par taras nahin khaayega, un par karuna ya daya nahin karega.”’+  aur in logon se tu kehna, ‘yahova kehta hai, “dekho, main tumhein zindagi ya maut ki raah chunne ka mauka deta hoon.  jo koi is shehar mein hi rahega woh talvar, akaal aur mahamari se maar daala jaayega. lekin jo koi baahar jaakaar khud ko un kasdiyon ke havale kar dega jo tumhein ghere huye hain woh zinda rahega, apni jaan bacha lega.”’*+ 10  ‘yahova ailan karta hai, “mainne is shehar ko thukra diya hai. main is par vipatti le aaunga, iske saath koi bhalai nahin karoonga.+ yah shehar baibilon ke raja ke haath mein de diya jaayega+ aur woh ise aag se foonk dega.”+ 11  yahooda ke raja ke gharane se kehna, yahova ka sandesh sun. 12  hey daavid ke gharane ke logo, yahova tumse kehta hai, “har subah nyay karo,jo lut raha hai, use dhokhebaz ke haath se chhudao+taaki aisa na ho ki tumhare dusht kaamon ki vajah semere krodh ki aag bhadak uthe+aur use koi bujha na sake.”’+ 13  yahova ailan karta hai, ‘hey ghaati ke nivasi,hey samtal zameen ki chattan, main tumhein saza denevala hoon.’ ‘aur tum jo kehte ho, “hamse ladne kaun aayega? hamare gharon par kaun hamla karega?” yah jaan lo, 14  main tumhare kaamon ke mutabiktumse hisab maangoonga.’+ yahova ka yah ailan hai. ‘main tumhare jangal mein aag laga doonga,jo tumhare aas-paas ki har cheez bhasm kar degi.’”+

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “ko ulta ghumaunga.”
ya “beemari.”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “loot mein use apni jaan milegi.”