yirmayah 22:1-30

  • bure raajaon ke khilaf sandesh (1-30)

    • shalloom ke baare mein (10-12)

    • yahoyakeem ke baare mein (13-23)

    • konyah ke baare mein (24-30)

22  yahova kehta hai, “yahooda ke raja ke mahal mein jaa aur yah sandesh suna:  ‘hey daavid ki raajgaddi par baithe yahooda ke raja, tu aur tere sevak aur tere log, jo in faatkon se hokar jaate hain, yahova ka yah sandesh sunein.  yahova kehta hai, “nyay karo. jo lut raha hai, use dhokhebaz ke haath se chhudao. kisi pardesi ke saath badsalooki mat karo aur anath* ya vidhva ka bura mat karo.+ is jagah kisi begunah ka khoon mat bahao.+  agar tum in baaton ka sakhti se paalan karoge, to daavid ki raajgaddi par baithnevale raja,+ rathon aur ghodon par savaar hokar is bhavan ke faatkon se andar aa paayenge. woh apne sevkon aur apne logon ke saath andar aa paayenge.”’+  ‘lekin agar tum in baaton ka paalan nahin karoge, to main apni shapath khaakaar kehta hoon ki yah bhavan ujaad diya jaayega.’+ yahova ka yah ailan hai.  yahooda ke raja ke mahal ke baare mein yahova kehta hai, ‘tu mere liye gilad jaisa hai,labanon ki choti jaisa hai. magar main tujhe ek veerana bana doonga,tera ek bhi shehar aabad nahin rahega.+   main naash karnevalon ko thehrakar tere khilaf bhejoonga,unmein se har koi hathiyaron se lais hoga.+ woh tere shaandar devdaron ko kaat daaleingeaur aag mein jhonk deinge.+  bahot-se raashtra is shehar ke paas se guzreinge aur ek-doosre se poochheinge, “yahova ne is mahan shehar ke saath aisa kyon kiya?”+  fir woh kaheinge, “kyonki unhonne apne parmeshvar yahova ka karar tod diya aur doosre devtaon ko dandvat karke unki seva ki.”’+ 10  jo mar gaya hai uske liye mat ro-o,uske liye shok mat manao. iske bajay, jo bandhuai mein jaa raha hai uske liye fut-futkar ro-o,kyonki woh fir kabhi yah desh nahin dekhega jahaan woh paida hua tha. 11  kyonki yahooda ke raja shalloom*+ ke baare mein, jo apne pita yoshiyah ki jagah raja bana+ aur yahaan se bandhuai mein chala gaya hai, yahova kehta hai, ‘woh yahaan fir kabhi nahin lautega. 12  use jis jagah bandi banakar le jaaya gaya hai, woh vahin mar jaayega. woh yah desh fir kabhi nahin dekhega.’+ 13  dhikkar hai us par jo andher karke apna mahal banvata hai,anyay se apne oopri kamre banvata hai,jo apne saathi se muft mein kaam karvata hai,uski mazdoori dene se inkar karta hai,+ 14  jo kehta hai, ‘main apne liye ek aaleeshan mahal banvaunga,jiske oopri kamre bade-bade honge. main usmein khidkiyaan lagvaungaaur devdar se takhtabandi karoonga aur sindoori* rang se putvaunga.’ 15  tujhe kya lagta hai, tera raaj bas isliye kaayam rahegakyonki toone devdar ka istemal karne mein doosron ko maat di hai? tera pita bhi khaata-peeta tha,magar usne nyay kiya+ aur uske saath bhala hua. 16  usne sataye huon aur gareebon ke hak ke liye unki taraf se fariyad ki,isliye uske saath bhala hua. yahova ailan karta hai, ‘kya is tarah usne nahin dikhaya ki woh mujhe jaanta tha?’ 17  ‘magar teri aankhein aur tera dil sirf beimani ki kamai par lage rehte hain,begunah ka khoon bahane par,dhokhadhadi aur lootpat par lage rehte hain.’ 18  isliye yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem+ ke baare mein yahova kehta hai, ‘jis tarah log yah kehkar maatam manate hain,“haay! mere bhaai. haay! meri behen.” us tarah koi yah kehkar uske liye maatam nahin manayega,“haay! mere maalik! tera vaibhav kaise mit gaya hai!” 19  uski laash ke saath vahi kiya jaayega+jo gadhe ki laash ke saath kiya jaata hai,uski laash ghaseetkar yarooshalem ke faatkon ke baahar feink di jaayegi.’+ 20  oopar labanon jaa aur cheekh-cheekhkar ro,baashaan mein chilla-chillakar ro,abareem se haay-haay kar,+kyonki tere sabhi yaaron ko kuchal diya gaya hai jo tujh par marte the.+ 21  jab tu chain se rehti thi, tab mainne tujhe samjhaya. magar toone kaha, ‘main teri aagya nahin maanoongi.’+ javani se teri yahi aadat rahi hai,toone meri baat kabhi nahin maani.+ 22  aandhi tere sabhi charvahon ko uda le jaayegi,+tujh par marnevale tere yaar bandhuai mein chale jaayenge. tab tujh par aanevali saari vipattiyon ki vajah se tujhe sharminda kiya jaayega, neecha dikhaya jaayega. 23  hey labanon ki rehnevali,+devdaron ke beech basera karnevali,+jab tujhe dard uthega tab tu kaise karahegi,tu bachcha jannevali aurat ki tarah kitna tadpegi!”+ 24  “yahova ailan karta hai, ‘hey yahoyakeem+ ke bete aur yahooda ke raja konyah,*+ main apne jeevan ki shapath khaakaar kehta hoon ki agar tu mere daayen haath ki muharvali angoothi hota, to bhi main tujhe nikaal feinkta! 25  main tujhe un logon ke haath mein kar doonga jo teri jaan ke peechhe pade hain, unke haath mein jinse tu darta hai. main tujhe baibilon ke raja nabookadnessar* ke haath mein aur kasdiyon ke haath mein de doonga.+ 26  main tujhe aur teri maa ko, jisne tujhe janm diya, paraye desh mein feink doonga jahaan tu paida nahin hua aur tu vahin mar jaayega. 27  woh us desh mein kabhi nahin lauteinge jiske liye woh taraste hain.+ 28  kya yah konyah ek tuchh aur toota hua ghada nahin hai? aisa bartan jise koi rakhna nahin chahta? use aur uske vanshajon ko kyon feink diya gaya hai? kyon unhein aise desh mein feink diya gaya hai jise woh nahin jaante?’+ 29  hey dharti,* hey dharti, hey dharti, yahova ka sandesh sun. 30  yahova kehta hai, ‘is aadmi ke baare mein likh ki yah beaulad hai,jo jeete-ji kabhi kaamyab nahin hoga,kyonki uske vanshajon mein se koi bhi daavid ki raajgaddi par baithneaur yahooda par dobara raaj karne mein kaamyab nahin hoga.’”+

kai footnote

ya “jiske pita ki maut ho gayi hai.”
yahoahaj bhi kehlata tha.
ya “laal.”
yahoyakeen aur yakonyah bhi kehlata tha.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “desh.”