yirmayah 24:1-10

  • achhe aur kharab anjeer (1-10)

24  jab baibilon ka raja nabookadnessar,* yahoyakeem ke bete+ aur yahooda ke raja yakonyah* ko aur uske saath yahooda ke haakimon, kaareegaron aur dhaatu-kaareegaron* ko bandi banakar yarooshalem se baibilon le gaya,+ to uske baad yahova ne mujhe anjeeron se bhari do tokriyaan dikhayin. ye tokriyaan yahova ke mandir ke saamne rakhi hui thi.  ek tokri mein bahot achhe anjeer the, jaise shuroo ki fasal ke anjeer hote hain. doosri tokri mein kharab anjeer the, itne kharab ki woh khaaye nahin jaa sakte the.  fir yahova ne mujhse poochha, “yirmayah, tujhe kya dikhayi de raha hai?” mainne kaha, “mujhe anjeer dikhayi de rahe hain. achhe anjeer to bahot badhiya hain, magar kharab anjeer itne kharab hain ki woh khaaye nahin jaa sakte.”+  tab yahova ka yah sandesh mere paas pahuncha:  “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘yahooda ke jin logon ko mainne yahaan se kasdiyon ke desh mein bandhuai mein bhej diya hai, woh mere liye in achhe anjeeron jaise hain. main unke saath bhala karoonga.  main unke achhe ke liye un par nazar rakhoonga aur unhein is desh mein lauta le aaunga.+ main unhein banaunga aur nahin dhaaunga, main unhein lagaunga aur jad se nahin ukhaadoonga.+  main unhein aisa dil doonga jisse woh jaanein ki main yahova hoon.+ woh mere log honge aur main unka parmeshvar hounga,+ kyonki woh poore dil se mere paas lauteinge.+  magar in kharab anjeeron ke baare mein, jo itne kharab hain ki woh khaaye nahin jaa sakte,+ yahova kehta hai, “main yahooda ke raja sidkiyah,+ uske haakimon, is desh mein bache huye yarooshalem ke logon aur misra mein rehnevalon ko in kharab anjeeron jaisa samjhoonga.+  main un par aisi vipatti laaunga aur unka aisa hashra karoonga ki dharti ke sab raajya dekhkar dehal jaayenge.+ main unhein jin jagahon mein titar-bitar karoonga,+ vahaan unka mazak udaya jaayega, un par kahavat banayi jaayegi, unki khilli udayi jaayegi aur unhein shaap diya jaayega.+ 10  main un par tab tak talvar,+ akaal aur mahamari*+ bhejta rahoonga jab tak ki woh is desh se mit nahin jaate, jo mainne unhein aur unke purkhon ko diya tha.”’”

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
yahoyakeen aur konyah bhi kehlata tha.
ya shaayad, “suraksha-deevar bananevalon.”
ya “beemari.”