yirmayah 25:1-38

  • yahova ka raashtron ke saath mukadma (1-38)

    • woh 70 saal baibilon ki gulami kareinge (11)

    • parmeshvar ke krodh ka pyala (15)

    • ek-ek karke raashtron par vipatti (32)

    • yahova ke haathon maare gaye log (33)

25  yirmayah ko yahooda ke sab logon ke baare mein ek sandesh mila. use yah sandesh yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj ke chauthe saal mila.+ tab baibilon mein raja nabookadnessar* ke raaj ka pehala saal tha.  bhavishyavakta yirmayah ne yahooda ke sab logon aur yarooshalem ke sab nivasiyon ke baare mein* yah kaha:  “aamon ke bete aur yahooda ke raja yoshiyah ke raaj ke 13vein saal+ se lekar aaj tak, 23 saal se yahova ka sandesh mujhe milta raha aur main use baar-baar tumhein sunata raha.* magar tum ho ki sunnae se inkar karte rahe.+  yahova apne sabhi sevkon ko, bhavishyavaktaon ko tumhare paas baar-baar bhejta raha,* magar tumne unki nahin suni aur na hi unki baaton par kaan lagaya.+  woh tumse binti karte, ‘tum sab apne bure raaston aur dusht kaamon se palatkar laut aao,+ tab tum is desh mein lambe samay tak reh paaoge, jo yahova ne tumhein aur tumhare purkhon ko muddaton pehale diya tha.  tum doosre devtaon ke peechhe mat jaao, unki seva mat karo, unke aage dandvat mat karo aur moortiyaan banakar mera krodh mat bhadkao, varna main tum par vipatti le aaunga.’  yahova ailan karta hai, ‘magar tumne meri baat maanne ke bajay moortiyaan banakar mera krodh bhadkaya aur khud par vipatti le aaye.’+  isliye senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘“tumne meri aagya nahin maani,  isliye main uttar ke sabhi gharanon ko bulva raha hoon.+ main apne sevak, baibilon ke raja nabookadnessar* ko bulva raha hoon.+ main unse is desh par, iske logon par aur iske aas-paas ke sabhi raashtron par hamla karvaunga.+ main un sabko naash kar doonga aur unka aisa hashra karoonga ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega aur woh mazak udate huye seeti bajaayenge. ye raashtra hamesha ke liye ujde hi raheinge.” yahova ka yah ailan hai. 10  “main in sabka aisa haal kar doonga ki yahaan se na to khushiyaan aur jashna manane ki,+ na hi doolha-dulhan ke saath aanand manane ki aavazen+ aur na hi chakki peesne ki aavaz sunayi degi aur deepak ki raushni bhi nahin dikhayi degi. 11  yah poora desh malbe ka dher ban jaayega aur ise dekhnevalon ka dil dehal jaayega. aur in raashtron ko 70 saal tak baibilon ke raja ki gulami karni hogi.”’+ 12  yahova ailan karta hai, ‘magar jab 70 saal poore ho jaayenge,+ to main baibilon ke raja aur us raashtra se unke gunah ka hisab maangoonga*+ aur main kasdiyon ke desh ko naash karke sada ke liye veerana bana doonga.+ 13  main us desh par woh saari vipattiyaan le aaunga jo mainne batayi thi aur is kitab mein likhi hain aur jinki bhavishyavani yirmayah ne sab raashtron ko sunayi hai. 14  bahot-se raashtra aur mahan raja+ unhein apne gulam bana leinge+ aur main unke kaamon ka unhein sila doonga.’”+ 15  israel ke parmeshvar yahova ne mujhse kaha, “mere haath se krodh ki madira ka yah pyala le aur un sabhi raashtron ko pila jinke paas main tujhe bhej raha hoon. 16  woh ise peeyenge aur ladkhadayenge aur main un par jo talvar bhejoonga, uski vajah se woh paagalon ki tarah bartav kareinge.”+ 17  tab mainne yahova ke haath se woh pyala liya aur un sabhi raashtron ko pilaya jinke paas yahova ne mujhe bheja.+ 18  mainne sabse pehale yarooshalem aur yahooda ke shehron,+ uske raajaon aur haakimon ko pilaya taaki woh is tarah naash ho jaayen ki dekhnevalon ka dil dehal jaaye, woh unka mazak udate huye seeti bajayen aur unhein shaap dein,+ jaisa ki aaj zahir hai. 19  iske baad misra ke raja firaun aur uske sevkon, haakimon, uske sab logon+ 20  aur unke yahaan rehnevale pardesiyon ki mili-juli bheed ko pilaya. fir ooz desh ke sabhi raajaon aur palishtiyon ke desh+ ke sabhi raajaon ko pilaya yaani ashkalon,+ gaaza, ekron aur ashdod ke bache huye logon ke raajaon ko. 21  aur edom,+ moab+ aur ammoni logon ko,+ 22  sor ke sabhi raajaon, seedon ke sabhi raajaon+ aur samundar ke dveep ke raajaon ko pilaya. 23  aur dadan,+ tema, booj aur un sabhi ko jinki kalmein mundi hui hain,+ 24  arbi logon ke sabhi raajaon,+ veerane mein rehnevali mili-juli bheed ke sabhi raajaon, 25  jimri ke sabhi raajaon, elam ke sabhi raajaon,+ maadiyon ke sabhi raajaon+ 26  aur uttar ke sabhi raashtron ke raajaon ko ek-ek karke pilaya, fir chahe woh paas ke hon ya door ke aur dharti ke baaki sabhi raajyon ko pilaya. in sabke baad sheshak*+ ka raja yah pyala peeyega. 27  “tu unse kehna, ‘senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “tum sab ise peeo, itna peeo ki madhosh ho jaao, ulti karo aur aise gir pado ki uth na sako+ kyonki main tumhare beech talvar bhej raha hoon.”’ 28  aur agar woh tere haath se pyala lekar peene se inkar kar dein to tu unse kehna, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “tumhein ise peena hi hoga! 29  kyonki dekho! main jab is shehar par sabse pehale vipatti laa raha hoon jisse mera naam juda hai,+ to tumne kaise soch liya ki tum bach jaaoge?”’+ ‘tum saza se hargiz nahin bachoge, kyonki main dharti ke sabhi nivasiyon par vaar karne ke liye ek talvar bulva raha hoon.’ senaon ke parmeshvar yahova ka yah ailan hai. 30  tu unhein ye bhavishyavaniyaan sunana: ‘yahova unchai se garjega,apne pavitra nivas se buland aavaz mein bolega. apne rehne ki jagah ke khilaf zor se garjega. angoor raundnevalon ki tarah zor-zor se chillayega,dharti ke sab nivasiyon par jeet paakaar khushi se geet gaayega.’ 31  yahova ailan karta hai, ‘dharti ke kone-kone tak shorgul sunayi dega,kyonki yahova ka raashtron ke saath ek mukadma hai. woh khud sab insanon ko faisla sunayega.+ aur talvar se dushton ka ant kar daalega.’ 32  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘dekho! ek-ek karke sab raashtron par vipatti aayegi,+dharti ke bilkul kone se achanak ek bhayankar toofan uthega.+ 33  us din yahova ke haathon maare gaye log dharti ke ek kone se doosre kone tak pade raheinge. unke liye koi maatam nahin manayega. unki laashein na ikatthi ki jaayengi, na hi dafnayi jaayengi. woh khaad ki tarah zameen par padi raheingi.’ 34  charvaho, bilakh-bilakhkar ro-o, cheekho-chillao! jhund ke bade logo, raakh par loto,kyonki tumhein maar daalne aur titar-bitar karne ka samay aa gaya hai,tum mitti ke beshkeemti bartan ki tarah girkar choor-choor ho jaaoge! 35  charvahon ke liye bhaagkar jaane ki koi jagah nahin,jhund ke bade logon ke liye bachne ka koi raasta nahin. 36  charvahon ki cheekh-pukar suno,jhund ke bade logon ka rona-bilakhna suno,kyonki yahova unke charagah ko ujaad raha hai. 37  unki jagah, jahaan woh shaanti se rehte the, sooni bana di gayi hain,kyonki yahova ke krodh ki aag jal rahi hai. 38  woh aise nikaal pada hai jaise ek javan sher apni maand se paayenge hai,+bhayanak talvar ki vajah seaur uske krodh ki jalti aag ki vajah seunke desh ka aisa hashra hua hai ki dekhnevale dehal jaate hain.”

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “se.”
shaa., “tadke uthkar tumse baatein karta raha.”
shaa., “tadke uthkar tumhare paas bhejta raha.”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “ko unke gunah ki saza doonga.”
aisa maaloom padta hai ki yah baabel (ya baibilon) ka ek gupt naam hai.