yirmayah 26:1-24

  • yirmayah ko maut ki dhamki (1-15)

  • woh bakhsh diya gaya (16-19)

    • mika ki bhavishyavani ka havala (18)

  • bhavishyavakta ureeyah (20-24)

26  yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj ki shurooat mein yahova ka yah sandesh mere paas pahuncha:+  “yahova kehta hai, ‘tu yahova ke bhavan ke aangan mein khada ho aur yahooda ke shehron ke sab logon ke baare mein* bol, jo yahova ke bhavan mein upasna* ke liye aate hain. unhein woh saari baatein bata jinki main tujhe aagya deta hoon, unmein se ek bhi baat mat chhod.  ho sakta hai woh sunein aur apne bure raaste se palatkar laut aayen. tab main apni soch badal doonga* aur un par vipatti nahin laaunga jo mainne unke dusht kaamon ki vajah se laane ki thaani hai.+  tu unse keh, “yahova kehta hai, ‘agar tum meri baat nahin sunoge, mera diya kaanoon* nahin maanoge aur  mere sevkon, mere bhavishyavaktaon ki baat nahin sunoge jinhein main tumhare paas baar-baar bhej raha hoon,* jaisa ki tum abhi nahin sun rahe ho,+  to main is bhavan ke saath vahi karoonga jo mainne sheelo+ ke saath kiya tha. main is shehar ka aisa hashra karoonga ki dharti ke sabhi raashtra shaap dete vakt iski misal deinge.’”’”+  jab yirmayah yahova ke bhavan mein yah sab keh raha tha, tab yaajak, bhavishyavakta aur sab log sun rahe the.+  jab yirmayah sab logon ko ye saari baatein suna chuka jinki aagya yahova ne use di thi to yaajkon, bhavishyavaktaon aur sab logon ne use pakad liya aur kaha, “hum tujhe maar daaleinge.  toone yahova ke naam se yah bhavishyavani kyon ki, ‘yah bhavan sheelo ki tarah ban jaayega aur yah shehar aisa ujad jaayega ki yahaan ek bhi nivasi nahin rahega’?” yahova ke bhavan mein sab log yirmayah ke chaaron taraf ikattha ho gaye. 10  jab yahooda ke haakimon ne yah sab suna to woh raja ke mahal se nikaalkar yahova ke bhavan mein aaye aur yahova ke bhavan ke naye faatak ke pravesh par baithe.+ 11  yaajkon aur bhavishyavaktaon ne haakimon aur sab logon se kaha, “yah aadmi maut ki saza paane ke laayak hai+ kyonki isne is shehar ke khilaf bhavishyavani ki hai, jo tumne khud apne kaanon se suni hai.”+ 12  tab yirmayah ne sab haakimon aur sab logon se kaha, “mujhe yahova ne hi bheja hai ki main is bhavan aur is shehar ke khilaf in saari baaton ki bhavishyavani karoon jo tumne suni hain.+ 13  isliye tum apne taur-tareeke aur apna chaalchalan sudhaaro aur apne parmeshvar yahova ki aagya maano, tab yahova apni soch badal dega* aur tum par woh vipatti nahin laayega jiske baare mein usne kaha hai.+ 14  jahaan tak meri baat hai, main tumhare haath mein hoon. tumhein jo theek lage, jo sahi lage mere saath karo. 15  magar ek baat jaan lo, agar tumne mujhe maar daala to tum ek begunah ke khoon ka dosh khud par, is shehar par aur iske logon par laaoge, kyonki yah sach hai ki yahova ne hi ye saari baatein sunane ke liye mujhe tumhare paas bheja hai.” 16  tab haakimon aur sab logon ne yaajkon aur bhavishyavaktaon se kaha, “is aadmi ne aisa kuch nahin kiya ki ise maut ki saza di jaaye, kyonki isne hamare parmeshvar yahova ke naam se hamse baat ki hai.” 17  fir desh ke kuch pradhan uthe aur logon ki poori mandli se kehne lage, 18  “moreshet ke rehnevale mika+ ne yahooda ke raja hijkiyah+ ke dinon mein bhavishyavani ki thi aur yahooda ke sab logon se kaha tha, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “siyyon ek khet ki tarah jota jaayega,yarooshalem malbe ka dher ban jaayega,+is bhavan ka pahad* jangal ki pahadiyon jaisa* ban jaayega.”’+ 19  kya yah sunkar yahooda ke raja hijkiyah aur poore yahooda ke logon ne mika ko maar daala tha? kya us raja ne yahova ka dar nahin maana aur yahova se reham ki bheekh nahin maangi? tabhi yahova ne apni soch badal di* aur un par woh vipatti nahin laaya jiske baare mein usne kaha tha.+ isliye agar hum ise maar daaleinge to hum khud par ek badi vipatti laa rahe honge. 20  ek aur aadmi yahova ke naam se bhavishyavani karta tha. uska naam ureeyah tha aur woh kiryat-yaareem+ ke rehnevale shamayah ka beta tha. ureeyah bhi yirmayah ki tarah is shehar aur is desh ke khilaf bhavishyavani karta tha. 21  raja yahoyakeem+ aur uske sabhi shoorveeron aur sabhi haakimon ne uski baatein sunin aur raja ne use maar daalne ki koshish ki.+ jab ureeyah ko is baat ki khabar mili to woh bahot dar gaya aur fauran misra bhaag gaya. 22  tab raja yahoyakeem ne akbor ke bete elnatan+ ko aur uske saath kuch aur aadmiyon ko misra bheja. 23  woh misra se ureeyah ko pakadkar raja yahoyakeem ke paas le aaye. raja ne use talvar se maar daala+ aur uski laash aam logon ki kabraa mein finkva di.” 24  magar shaapan+ ke bete aheekam+ ne yirmayah ka saath diya, isliye yirmayah ko logon ke havale nahin kiya gaya ki woh use maar daalein.+

kai footnote

ya “se.”
ya “dandvat karne.”
ya “pachhtava mehsoos karoonga.”
ya “meri di hidayat.”
shaa., “main tadke uthkar tumhare paas bhejta raha.”
ya “pachhtava mehsoos karega.”
ya “mandir ki pahadi.”
ya “jangal ki unchi jagah jaisi.”
ya “pachhtava mehsoos kiya.”