yirmayah 27:1-22

  • baibilon ka jua (1-11)

  • sidkiyah ko baibilon ke adheen ho jaane ke liye kaha gaya (12-22)

27  yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj ki shurooat mein yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:  “yahova ne mujhse kaha, ‘tu apne liye bandhan aur juye bana aur apni gardan par rakh.  fir edom,+ moab,+ ammoni logon,+ sor+ aur seedon+ ke raajaon ke paas un dooton ke haath ye juye bhej, jo yahooda ke raja sidkiyah ke paas yarooshalem aaye hain.  un dooton ko aagya de ki woh apne maalikon se yah kahein: “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, tum apne maalikon se yah kehna,  ‘mainne hi apna haath badhakar apni mahashakti se dharti aur insanon ko aur dharti par rehnevale jaanvaron ko banaya hai. aur main jise chahoon use yah sab deta hoon.+  ab mainne ye saare desh apne sevak, baibilon ke raja nabookadnessar ke haath mein kar diye hain.+ yahaan tak ki maidan ke jangli jaanvaron ko bhi uske adheen kar diya hai.  saare raashtra uski aur uske bete aur pote ki seva kareinge. woh tab tak uski seva karte raheinge jab tak ki uske desh ka ant hone ka samay nahin aata.+ tab bahot-se raashtra aur bade-bade raja use apna daas bana leinge.’+  yahova ailan karta hai, ‘agar koi raashtra ya raajya baibilon ke raja nabookadnessar ki seva karne aur uska jua apni gardan par rakhne se inkar kar deta hai, to main us raashtra ko talvar, akaal aur mahamari* se tab tak saza deta rahoonga+ jab tak ki main raja ke haathon use mita na doon.’  ‘isliye tum apne bhavishyavaktaon, jyotishiyon, sapne dekhnevalon, jaadoogaron aur tona-totka karnevalon ki baat mat suno jo tumse kehte hain, “tumhein baibilon ke raja ki seva nahin karni padegi.” 10  woh tumhein jhoothi bhavishyavaniyaan suna rahe hain. agar tum unki sunoge to tumhein apne desh se bahot door le jaaya jaayega. main tumhein titar-bitar kar doonga aur tum naash ho jaaoge. 11  magar jo raashtra apni gardan par baibilon ke raja ka jua rakhega aur uski seva karega, main use uske desh mein rehne doonga taaki woh vahaan ki zameen jote aur usmein basa rahe.’ yahova ka yah ailan hai.”’” 12  mainne yahooda ke raja sidkiyah+ se bhi yahi baat kahi, “tum log apni-apni gardan par baibilon ke raja ka jua rakho aur uski aur uske logon ki seva karo, tab tum zinda rahoge.+ 13  tu aur tere log kyon talvar,+ akaal+ aur mahamari+ se marna chahte hain? yahova ne kaha hai ki jo raashtra baibilon ke raja ki seva nahin karega, use yahi anjam bhugatna padega. 14  tum un bhavishyavaktaon ki baat mat suno jo tumse kehte hain, ‘tumhein baibilon ke raja ki seva nahin karni padegi.’+ woh tumhein jhoothi bhavishyavani suna rahe hain.+ 15  yahova ailan karta hai, ‘mainne unhein nahin bheja hai. woh mere naam se jhoothi bhavishyavani karte hain. agar tum unki sunoge, to main tumhein titar-bitar kar doonga aur tum aur woh bhavishyavakta bhi naash ho jaayenge jo tumhein bhavishyavani suna rahe hain.’”+ 16  aur yaajkon aur sab logon se mainne kaha, “yahova kehta hai, ‘tum apne bhavishyavaktaon ki baatein mat suno jo tumhein yah bhavishyavani sunate hain, “dekho, yahova ke bhavan ke bartan bahot jald baibilon se vaapas laaye jaayenge!”+ woh tumhein jhoothi bhavishyavani suna rahe hain.+ 17  tum unki mat suno. baibilon ke raja ki seva karo, tab tum zinda rahoge.+ varna yah shehar khandhar ban jaayega. 18  agar woh sachmuch bhavishyavakta hain aur unhein yahova se sandesh mila hai, to woh senaon ke parmeshvar yahova se gidgidakar minnat karein ki jo bartan yahova ke bhavan mein, yahooda ke raja ke mahal mein aur yarooshalem mein bache huye hain, unhein baibilon na le jaaya jaaye.’ 19  kyonki senaon ke parmeshvar yahova ne bhavan ke khambhon,+ tambe ke bade haud,*+ hath-gaadiyon+ aur is shehar mein bache huye bartanon ke baare mein ek sandesh diya hai. 20  un bartanon ke baare mein, jinhein baibilon ka raja nabookadnessar us samay nahin le gaya jab woh yahoyakeem ke bete aur yahooda ke raja yakonyah ko aur yahooda aur yarooshalem ke sabhi rutbedar logon ko yarooshalem se bandi banakar baibilon le gaya tha.+ 21  haan, senaon ke parmeshvar aur israel ke parmeshvar yahova ne un bartanon ke baare mein, jo yahova ke bhavan mein, yahooda ke raja ke mahal mein aur yarooshalem mein bache hain, yah sandesh diya hai: 22  ‘yahova ailan karta hai, “ye bartan baibilon le jaaye jaayenge+ aur ye tab tak vahin raheinge jab tak ki main in par dhyan na doon. fir main inhein nikaalkar vaapas is jagah le aaunga.”’”+

kai footnote

ya “beemari.”
shaa., “saagar.”