yirmayah 28:1-17

  • yirmayah ka saamna jhoothe bhavishyavakta hananyah se (1-17)

28  usi saal yaani yahooda ke raja sidkiyah ke raaj+ ki shurooat mein, chauthe saal ke paanchvein maheene, gibon ke rehnevale+ ajjoor ke bete bhavishyavakta hananyah ne yahova ke bhavan mein yaajkon aur sab logon ke saamne mujhse kaha,  “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main baibilon ke raja ka jua tod daaloonga.+  do saal ke andar main yahova ke bhavan ke woh saare bartan vaapas is jagah le aaunga jinhein baibilon ka raja nabookadnessar yahaan se apne desh le gaya tha.’”+  “yahova ailan karta hai, ‘aur main yahoyakeem+ ke bete aur yahooda ke raja yakonyah+ ko aur yahooda ke un sabhi logon ko yahaan vaapas le aaunga jinhein bandi banakar baibilon le jaaya gaya hai,+ kyonki main baibilon ke raja ka jua tod daaloonga.’”  tab bhavishyavakta yirmayah ne yahova ke bhavan mein khade yaajkon aur sab logon ke saamne bhavishyavakta hananyah se kaha,  “aameen!* yahova aisa hi kare! yahova teri yah bhavishyavani poori kare aur baibilon se yahova ke bhavan ke saare bartanon ko aur bandi banaye gaye sab logon ko vaapas is jagah le aaye!  magar meharbani karke yah sandesh sun jo main tujhe aur in sab logon ko sunane jaa raha hoon.  mujhse aur tujhse pehale jo bhavishyavakta lambe arse se the, woh kai deshon aur bade-bade raajyon ke baare mein bhavishyavani karte the ki woh yuddh, vipatti aur mahamari* ke shikar honge.  lekin aise mein agar koi bhavishyavakta shaanti ki bhavishyavani karta, to woh tabhi yahova ka bheja hua bhavishyavakta maana jaata jab uski baat sach nikaalti.” 10  jab bhavishyavakta hananyah ne yah suna to usne bhavishyavakta yirmayah ki gardan se jua utaarkar tod diya.+ 11  fir hananyah ne sab logon ke saamne kaha, “yahova kehta hai, ‘do saal ke andar main isi tarah sab raashtron ki gardan se baibilon ke raja nabookadnessar ka jua utaarkar tod doonga.’”+ tab bhavishyavakta yirmayah vahaan se chala gaya. 12  jab bhavishyavakta hananyah ne bhavishyavakta yirmayah ki gardan se jua utaarkar tod diya, to uske baad yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha: 13  “jaakaar hananyah se keh, ‘yahova kehta hai, “toone lakdi ke juye tod diye hain,+ magar inki jagah lohe ke juye rakhe jaayenge.” 14  kyonki senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “main in sab raashtron ki gardan par ek lohe ka jua rakhoonga taaki woh baibilon ke raja nabookadnessar ki gulami karein. unhein uski gulami karni hi padegi.+ main maidan ke jangli jaanvaron ko bhi uske haath mein kar doonga.”’”+ 15  fir bhavishyavakta yirmayah ne bhavishyavakta hananyah+ se kaha, “hey hananyah, meharbani karke sun! tujhe yahova ne nahin bheja hai. toone in logon ko ek jhoothi baat par yakeen dilaya hai.+ 16  isliye yahova kehta hai, ‘dekh! main tujhe dharti se mita doonga. isi saal tu mar jaayega kyonki toone yahova ke khilaf bagavat bhadkayi hai.’”+ 17  bhavishyavakta hananyah usi saal ke saatvein maheene mein mar gaya.

kai footnote

ya “aisa hi ho!”
ya “beemari.”