yirmayah 3:1-25

  • israel ki bagavat ki had (1-5)

  • woh aur yahooda, vyabhichari (6-11)

  • pashchatap karne ke liye kaha gaya (12-25)

3  log poochhte hain, “agar ek aadmi apni patni ko bhej de aur woh use chhodkar chali jaaye aur kisi doosre aadmi ki ho jaaye, to kya woh dobara us aurat ko apnayega?” kya yah desh poori tarah dooshit nahin ho chuka hai?+ yahova ailan karta hai, “toone bahot-se yaaron ke saath veshya ke kaam kiye hain+aur ab tu mere paas vaapas aana chahti hai?”   “apni nazrein uthakar un sooni pahadiyon ko dekh. kya aisi koi jagah hai jahaan tere saath balatkar na hua ho? tu unke intazar mein raaste kinare baitha karti thi,jaise koi khaanabadosh* veerane mein baithta hai. tu apne veshya ke kaamon se aur apni dushtata sedesh ko dooshit karti rehti hai.+   isliye baarish rok di gayi hai,+vasant mein paani nahin barasta. tu us patni ki tarah hai jo veshya ke kaam karti hai, magar maathe par shikan tak nahin hai,tujhmein sharm naam ki koi cheez nahin.+   magar ab tu mujhe pita pukarti haiaur yah bhi kehti hai, ‘tu mere bachpan se mera saathi raha hai!+   to fir kya yah sahi hai ki tu hamesha mujhse naaraz rahe,mere khilaf dushmani paalti rahe?’ tu yah kehti to hai,magar tu jitne bure kaam kar sakti hai woh sab karti rehti hai.”+  raja yoshiyah+ ke dinon mein yahova ne mujhse kaha, “‘kya toone dekha hai ki vishvasghati israel ne kya kiya hai? woh har unche pahad par chadhkar aur har ghane ped ke neeche jaakaar veshya ke kaam karti hai.+  haalanki usne yah sab kiya hai, fir bhi main usse kehta raha ki woh mere paas laut aaye.+ magar woh nahin lauti. aur yahooda apni dagabaz behen israel ko dekhti rahi.+  jab mainne yah dekha to mainne vishvasghati israel ko talaknama dekar bhej diya+ kyonki usne vyabhichar kiya.+ magar uski dagabaz behen yahooda nahin dari ki use bhi saza mil sakti hai. woh bhi jaakaar bedhadak veshya ke kaam karne lagi.+  usne apne veshya ke kaamon ko halka samjha aur desh ko dooshit karti rahi aur pattharon aur pedon ke saath vyabhichar karti rahi.+ 10  itna kuch hone par bhi uski dagabaz behen yahooda poore dil se mere paas nahin lauti, usne sirf lautne ka dhong kiya.’ yahova ka yah ailan hai.” 11  fir yahova ne mujhse kaha, “vishvasghati israel, dagabaz yahooda se kam doshi nikli hai.+ 12  tu uttar mein jaakaar yah sandesh suna:+ ‘yahova ailan karta hai, “hey baagi israel, mere paas laut aa.”’+ ‘yahova ailan karta hai, “main tujhe krodh-bhari nazron se nahin dekhoonga+ kyonki main vafadar hoon.”’ ‘“main tujhse sada naaraz nahin rahoonga. 13  bas tu apna dosh maan le kyonki toone apne parmeshvar yahova se bagavat ki hai. tu har ghane ped ke neeche paraye aadmiyon* ke saath sambandh rakhti aur meri baat nahin maanti.” yahova ka yah ailan hai.’” 14  yahova ailan karta hai, “hey bagavti beto, mere paas laut aao. main tumhara asli maalik* ban gaya hoon. main tum logon ko ikattha karoonga, har shehar mein se ek ko aur har parivar mein se do ko loonga aur siyyon vaapas le aaunga.+ 15  main apne man ke mutabik tumhein charvahe doonga+ aur woh tumhein gyaan aur androoni samajh ki khurak deinge. 16  tab tum ginti mein badh jaaoge aur foologe-faloge.” yahova ka yah ailan hai.+ “woh fir kabhi yah na kaheinge, ‘yahova ke karar ka sandook!’ yah baat unke dil mein kabhi nahin aayegi, woh na ise yaad kareinge aur na hi iski kami mehsoos kareinge aur yah dobara nahin banaya jaayega. 17  us samay woh yarooshalem ko yahova ki raajgaddi kaheinge+ aur saare raashtron ko yahova ke naam ki mahima karne ke liye yarooshalem laaya jaayega.+ woh fir kabhi dheeth hokar apne dusht man ki nahin suneinge.” 18  “un dinon yahooda ka gharana aur israel ka gharana saath-saath chaleinge+ aur woh milkar uttar ke desh se us desh mein aayenge jo mainne tumhare purkhon ko virasat mein diya tha.+ 19  mainne socha tha, ‘main tumhein apne beton mein ginoonga aur tumhein virasat mein woh badhiya desh doonga jo duniya ke raashtron ki nazron mein sabse khoobsoorat virasat hai.’+ mainne yah bhi socha tha ki tum mujhe ‘pita’ kahoge aur mere peechhe chalna nahin chhodoge. 20  yahova ailan karta hai, ‘magar hey israel ke gharane, toone mere saath vishvasghat kiya hai, theek jaise ek patni apne pati se vishvasghat karke use chhod deti hai.’”+ 21  sooni pahadiyon par shor sunayi de raha hai,israel ke logon ka rona aur gidgidana sunayi de raha hai,kyonki unhonne tedhi chaal chali hai,apne parmeshvar yahova ko bhool gaye hain.+ 22  “hey bagavti beto, mere paas laut aao. main tumhein changa kar doonga, tumhari bhatakne ki aadat chhuda doonga.”+ “dekh, hum aa gaye hain! hum tere paas aa gaye hain,kyonki hey yahova, tu hamara parmeshvar hai.+ 23  pahadiyon aur pahadon par hohalla machakar hamne vaakai khud ko dhokha diya.+ hamara parmeshvar yahova hi israel ka sachcha uddharkarta hai.+ 24  us sharmnak cheez* ne hamare bachpan se hamare purkhon ke khoon-paseene ki kamai khaa li hai,+unke bhed-bakriyon aur gaay-bailon,unke bete-betiyonn ko nigal liya hai. 25  aao hum sharm ke maare let jaayen,apman ka odhna odh lein,kyonki hamne apne parmeshvar yahova ke khilaf paap kiya hai,+bachpan se lekar aaj tak hamne aur hamare pitaon ne paap kiya hai,+hamne apne parmeshvar yahova ki baat nahin maani.”

kai footnote

shaa., “arbi .”
ya “paraye devtaon.”
ya shaayad, “tumhara pati.”
ya “sharmnak devta.”