yirmayah 30:1-24

  • bahaali aur changai ke vaade (1-24)

30  yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha,  “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main tujhse jo-jo kehne jaa raha hoon, woh sab ek kitab mein likh le.  kyonki yahova ailan karta hai, “dekh! woh din aa rahe hain, jab main bandhuai mein pade apne logon ko, israel aur yahooda ko ikattha karoonga.”+ yahova kehta hai, “main unhein vaapas us desh mein le jaaunga jo mainne unke purkhon ko diya tha aur woh dobara us par adhikar kareinge.”’”+  yahova ne israel aur yahooda ko jo sandesh sunaya woh yah hai.   yahova kehta hai, “hamne un logon ki aavaz suni hai jo dar ke maare cheekh rahe hain,har kahin aatank chhaaya hai, kahin shaanti nahin hai.   zara poochho, kya ek aadmi bachcha jan sakta hai? to fir, main kyon har taakatvar aadmi ko pet pakde huye dekh raha hoon,jaise bachcha jannevali aurat pakadti hai?+ kyon sabka chehra peela pad gaya hai?   haay! yah din kitna bhayanak hai!+ aaj tak aisa din nahin aaya. yakub ke liye sankat ka samay hai. magar use sankat se bacha liya jaayega.”  senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, “us din main unki gardan ka jua tod doonga aur bandhanon ke do tukde kar daaloonga. iske baad fir kabhi paraye log* unhein apne daas nahin banayenge.  woh apne parmeshvar yahova ki seva kareinge aur apne raja daavid ki seva kareinge jise main unke liye khada karoonga.”+ 10  yahova ailan karta hai, “mere sevak yakub, tu mat dar,israel, tu mat ghabra.+ kyonki main tujhe door desh se chhuda loonga,main tere vanshajon ko bandhuai ke desh se nikaal laaunga.+ yakub vaapas aayega, woh chain se rahega aur use koi khatra nahin hoga,use koi nahin darayega.”+ 11  yahova ailan karta hai, “kyonki main tujhe bachane ke liye tere saath hoon. main un sabhi raashtron ko mita doonga jahaan mainne tujhe titar-bitar kar diya tha,+magar tujhe nahin mitaunga.+ main tujhe sudhaarne ke liye utni fatkaar lagaunga jitni sahi hai,tujhe saza diye bina hargiz na chhodoonga.”+ 12  kyonki yahova kehta hai, “tujhe jo ghaav diya gaya hai uska koi ilaj nahin.+ tera zakhm kabhi theek nahin ho sakta. 13  tera mukadma ladnevala koi nahin hai,tere zakhm ko bharne ka koi upay nahin. tere liye koi ilaj nahin. 14  tujh par marnevale tere sabhi yaar tujhe bhool gaye hain.+ woh ab tujhe dhoondhne nahin aate. mainne ek dushman ki tarah tujh par vaar kiya hai,+ek bereham ki tarah tujhe maara hai,kyonki tera dosh bahot bada hai, tere paap behisab hain.+ 15  tu apne ghaav par kyon chilla rahi hai? tere dard ki koi dava nahin! tera dosh bahot bada hai, tere paap behisab hain,+isliye mainne tera yah haal kiya hai. 16  beshak tujhe nigalnevale sabhi nigal liye jaayenge,+tere saare dushman bhi bandhuai mein chale jaayenge.+ jo tujhe loot rahe hain, woh loot liye jaayenge,jo teri daulat chheen rahe hain, un sabki daulat main doosron se chhinvaunga.”+ 17  yahova ailan karta hai, “woh kehte hain ki tu thukrayi hui hai,‘siyyon ko poochhnevala koi nahin hai,’+ magar main teri sehat durust kar doonga, tere ghaav theek kar doonga.”+ 18  yahova kehta hai, “main yakub ke tambuon ke logon ko bandhuai se ikattha karne jaa raha hoon,+main uske deron par taras khaaunga. yah shehar apne teele par fir se basaya jaayega,+kileband meenar vahaan dobara khadi hogi jahaan use hona chahiye. 19  unke yahaan se shukriya ada karne aur khushiyaan manane ki aavazen sunayi deingi.+ main unki ginti badhaunga, woh kam nahin honge,+main unki taadad badhakar anginat kar doonga,*woh tuchh nahin samjhe jaayenge.+ 20  uske bete beete dinon ki tarah khushhal honge,mere saamne uski mandli mazbooti se kaayam hogi.+ us par atyachar karnevalon se main niptoonga.+ 21  uska gauravshali jan usi mein se niklega,uska shaasak uske beech se hi aayega. main use apne paas aane doonga aur woh mere paas aayega.” yahova ailan karta hai, “varna kaun mere paas aane ki himmat kar sakta hai?” 22  “tum mere log hoge aur main tumhara parmeshvar hounga.”+ 23  dekho! yahova ke krodh ki bhayanak aandhi chalegi,+tabahi machanevala toofan dushton ke sir par mandrayega. 24  yahova ke krodh ki aag tab tak nahin bujhegi,jab tak ki woh us kaam ko poora nahin kar leta, use anjam nahin de deta jo usne man mein thaana hai.+ aakhiri dinon mein tum log ise samjhoge.+

kai footnote

ya “pardesi.”
ya shaayad, “main unhein sammanit karoonga.”