yirmayah 32:1-44

  • yirmayah ne khet khareeda (1-15)

  • yirmayah ki prarthna (16-25)

  • yahova ka javab (26-44)

32  yahooda ke raja sidkiyah ke raaj ke 10vein saal mein, jo nabookadnessar* ke raaj ka 18vaan saal tha, yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha.+  us vakt baibilon ke raja ki senayen yarooshalem ko ghere hui thi aur bhavishyavakta yirmayah, yahooda ke raajmahal ke ‘pehredaron ke aangan’ mein kaid tha.+  yahooda ke raja sidkiyah ne yah kehkar use vahaan band kar diya tha,+ “tu kyon aisi bhavishyavani karta hai? tu kehta hai, ‘yahova ne kaha hai, “main yah shehar baibilon ke raja ke haath mein kar doonga aur woh is par kabza kar lega.+  yahooda ka raja sidkiyah kasdiyon ke haath se nahin bachega, use zaroor baibilon ke raja ke havale kar diya jaayega. aur sidkiyah ko us raja se aamne-saamne baat karni hogi.”’+  yahova ailan karta hai, ‘woh sidkiyah ko baibilon le jaayega aur jab tak main us par dhyan na doon woh vahin rahega. tum log kasdiyon se chahe kitna bhi lado, tum jeet nahin paaoge.’”+  yirmayah ne kaha, “yahova ka yah sandesh mere paas pahuncha:  ‘tere pita ke bhaai shalloom ka beta hanmel tere paas aayega aur kahega, “tu mera anatotvala khet+ apne liye khareed le, kyonki use vaapas khareedne ka pehala hak tera hai.”’”+  jaise yahova ne kaha tha, mera chachera bhaai hanmel ‘pehredaron ke aangan’ mein mere paas aaya aur usne mujhse kaha, “meharbani karke tu mera anatotvala khet khareed le jo binyameen ke ilake mein hai, kyonki use vaapas khareedne aur adhikar mein karne ka hak tera hai. tu use apne liye khareed le.” tab main jaan gaya ki yah yahova ki marzee se hua hai.  isliye mainne apne chachere bhaai hanmel se anatotvala khet khareed liya. mainne use saat shekel* aur chaandi ke das tukde taulkar de diye.+ 10  fir mainne is zameen ka patta likhvaya,+ us par muhar lagayi, gavahon ko bulaya+ aur paise tarazoo mein taulkar use de diye. 11  mainne woh patta liya jo aagya aur kaanoon ki maangon ke mutabik muharband kiya gaya tha, saath hi woh patta bhi liya jo muharband nahin tha. 12  mainne woh patta apne chachere bhaai hanmel aur dastakhat karnevale gavahon aur ‘pehredaron ke aangan’ mein baithe sabhi yahoodiyon ke saamne baarook+ ko diya.+ baarook, neriyah ka beta+ aur mahseyah ka pota tha. 13  fir mainne un sabke saamne baarook ko aagya di, 14  “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘tu ye patte le. jo muharband hai aur jis par muhar nahin hai, donon ko lekar mitti ke ek bartan mein rakh de taaki ye lambe samay tak surakshit rahein.’ 15  kyonki senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘is desh mein gharon, kheton aur angooron ke baagon ka khareedna fir se shuroo hoga.’”+ 16  neriyah ke bete baarook ko woh patta dene ke baad mainne yahova se yah prarthna ki, 17  “hey saare jahan ke maalik yahova, dekh! toone apna haath badhakar apni mahashakti se aakash aur dharti ko banaya.+ tere liye koi bhi kaam naamumkin nahin. 18  tu aisa parmeshvar hai jo hazaron peedhiyon se pyar* karta hai, magar pitaon ke gunah ki saza unke baad ke vanshajon tak ko deta hai.+ tu sachcha parmeshvar hai, mahan aur shaktishali parmeshvar hai jiska naam senaon ka parmeshvar yahova hai. 19  tu shaandar maksad thehrata hai* aur shaktishali kaam karta hai.+ teri aankhein insanon ke sabhi taur-tareeke dhyan se dekhti hain+ taaki harek ko uske kaamon aur chaalchalan ke mutabik fal de.+ 20  toone misra mein aise chinh aur chamatkar kiye jo aaj tak jaane jaate hain. aisa karke toone israel mein aur poori duniya mein bada naam kamaya,+ jo aaj bhi kaayam hai. 21  tu chinh aur chamatkar karke, apna shaktishali haath badhakar aur dil dehlanevale bade-bade kaam karke apni praja israel ko misra se nikaal laaya.+ 22  vakt aane par toone unhein yah desh diya jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain+ aur jiske baare mein toone unke purkhon se shapath khaayi thi.+ 23  unhonne is desh mein aakaar ise apne adhikar mein kar liya, magar na teri aagya maani, na hi tere kaanoon ka paalan kiya. toone unhein jo aagyayen di thi unmein se ek bhi nahin maani, iseeliye tu un par ye saari vipattiyaan le aaya.+ 24  dekh! us sena ne shehar par kabza karne ke liye gherabandi ki dhalan khadi ki hai.+ talvar,+ akaal aur mahamari*+ ki vajah se yah shehar zaroor kasdiyon ke haath mein chala jaayega jo isse lad rahe hain. toone jo-jo kaha woh sab ho raha hai, jaisa ki tu dekh raha hai. 25  hey saare jahan ke maalik yahova, yah shehar zaroor kasdiyon ke haath mein kar diya jaayega. fir tu kyon mujhse kehta hai ki tu paisa dekar woh khet khareed le aur gavahon ko bula?” 26  tab yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha: 27  “main yahova hoon, sabhi insanon ka parmeshvar. kya mere liye koi bhi kaam naamumkin hai? 28  isliye main yahova kehta hoon, ‘main yah shehar kasdiyon ke havale karne jaa raha hoon, baibilon ke raja nabookadnessar* ke haath mein karne jaa raha hoon aur woh is par kabza kar lega.+ 29  is shehar se ladnevale kasdi ismein ghus aayenge aur ise aag laga deinge. woh shehar ke saath-saath yahaan ke ghar foonk deinge+ jinki chhaton par logon ne baal devta ke liye balidan chadhaye aur doosre devtaon ke liye argh chadhaya aur aisa karke mera krodh bhadkaya.’+ 30  yahova ailan karta hai, ‘israel aur yahooda ke logon ne bachpan se sirf aise kaam kiye jo meri nazar mein bure hain.+ israel ke log apne kaamon se baar-baar mera krodh bhadkate rahe hain. 31  jab se yah shehar bana hai tab se lekar aaj tak isne sirf mera gussa aur krodh bhadkaya hai,+ isliye ise zaroor mere saamne se door kar diya jaayega.+ 32  israel aur yahooda ke logon ne bure kaam karke mera krodh bhadkaya hai. un logon ne, unke raajaon,+ haakimon,+ yaajkon, bhavishyavaktaon+ aur yahooda aur yarooshalem ke nivasiyon ne mera krodh bhadkaya hai. 33  woh meri taraf munh karne ke bajay mujhe peeth dikhate rahe.+ mainne unhein sikhane ki baar-baar koshish ki,* magar unmein se kisi ne bhi meri nahin suni, meri shiksha sweekar nahin ki.+ 34  unhonne apni ghinauni moortein us bhavan mein rakh di jisse mera naam juda hai aur use dooshit kar diya.+ 35  itna hi nahin, unhonne “hinnom ke vanshajon ki ghaati”*+ mein baal ke liye unchi jagah banayin taaki vahaan molek ke liye apne bete-betiyonn ko aag mein hom kar dein.+ yah aisa kaam hai jiski na to mainne kabhi aagya di thi+ aur na hi kabhi yah khayal mere man mein aaya. aisa neech kaam karke unhonne yahooda se paap karvaya.’ 36  isliye yah shehar jiske baare mein tum kehte ho ki yah talvar, akaal aur mahamari ki vajah se baibilon ke raja ke haath mein kar diya jaayega, usi ke baare mein israel ka parmeshvar yahova kehta hai, 37  ‘main unhein un sabhi deshon se ikattha karoonga jahaan mainne unhein gusse, bade krodh aur jaljalahat mein aakaar titar-bitar kar diya tha.+ main unhein vaapas is jagah le aaunga aur yahaan mehfooz base rehne doonga.+ 38  tab woh mere log honge aur main unka parmeshvar hounga.+ 39  main un sabko ek man doonga+ aur ek hi raah par chalaunga taaki woh hamesha mera dar maanein. isse unka aur unke baad unke bachchon ka bhala hoga.+ 40  main unke saath sada ka yah karar karoonga+ ki main unki bhalai karna kabhi nahin chhodoonga.+ main unke dilon mein apna dar bithaunga isliye woh mujhse munh nahin modeinge.+ 41  main khushi-khushi unke saath bhalai karoonga+ aur poore dil aur poori jaan se unhein is desh mein mazbooti se lagaunga.’”+ 42  “kyonki yahova kehta hai, ‘jaise main in logon par itni badi vipatti le aaya tha, vaise hi main unke saath woh saare bhale kaam karoonga* jinka main unse vaada karta hoon.+ 43  is desh mein fir se kheton ka khareedna shuroo hoga,+ iske baavjood ki tum kehte ho, “yah aisa veeran ho gaya hai ki yahaan na insan hain na jaanvar aur yah kasdiyon ke havale kar diya gaya hai.”’ 44  yahova ailan karta hai, ‘binyameen ke ilake mein, yarooshalem ke aas-paas ke ilakon mein, yahooda ke shehron mein,+ pahadi pradesh ke shehron mein, nichle ilake ke shehron mein+ aur dakshin ke shehron mein log paise dekar khet khareedeinge, patte likheinge aur unhein muharband kareinge aur gavahon ko bulayenge,+ kyonki main bandi banaye gaye logon ko vaapas yahaan le aaunga.’”+

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kh14 dekhein.
ya “atal pyar.”
ya “tu apne maksadon ke maamle mein mahan hai.”
ya “beemari.”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “main tadke uthkar unhein sikhata raha.”
shabdavli mein “gehennaa” dekhein.
ya “unhein achhi cheezen doonga.”