yirmayah 33:1-26

  • bahaali ka vaada (1-13)

  • “nek ankur” ke raaj mein suraksha (14-16)

  • daavid aur yaajkon ke saath karar (17-26)

    • din aur raat ke baare mein karar (20)

33  yahova ka sandesh doosri baar yirmayah ke paas pahuncha. woh ab bhi ‘pehredaron ke aangan’ mein kaid tha.+ parmeshvar ne yirmayah se kaha,  “yah dharti ke bananevale yahova ka sandesh hai. yahova ka sandesh jisne dharti ko racha aur mazbooti se kaayam kiya hai, haan, jiska naam yahova hai, woh kehta hai:  ‘tu mujhe pukar aur main tujhe javab doonga aur tujhe aisi baatein zaroor bataunga jo teri samajh se pare hain aur jinhein tu nahin jaanta.’”+  “israel ke parmeshvar yahova ka yah sandesh is shehar ke gharon aur yahooda ke raajaon ke mahlon ke baare mein hai jo gherabandi ki dhalanon aur talvar ki vajah se dhaa diye gaye hain.+  yah sandesh un logon ke baare mein bhi hai jo kasdiyon se ladne aa rahe hain aur un jagahon ke baare mein bhi hai jahaan un logon ki laashein bhari hain jinhein mainne gusse aur krodh mein aakaar maar daala tha. woh itne dusht the ki unki vajah se mainne is shehar se munh fer liya tha.  parmeshvar ka sandesh yah hai: ‘ab main is nagri ko durust karne jaa raha hoon taaki yah dobara sehatmand ho jaaye.+ main unhein changa kar doonga aur bharpoor shaanti aur sachchai ki aasheesh doonga.+  main yahooda aur israel ke un logon ko vaapas le aaunga jo bandi banaye gaye hain+ aur unhein dobara banaunga aur woh pehale jaise ho jaayenge.+  unhonne mere khilaf jo paap kiye the unka saara dosh door karke main unhein shuddh kar doonga.+ main unke saare paap aur apradh maaf kar doonga jo unhonne mere khilaf kiye the.+  is nagri ka naam mujhe bahot khushi dega. duniya ke un sab raashtron mein meri taareef aur mahima hogi jo suneinge ki mainne unke saath kitni bhalai ki hai.+ main is nagri ke saath jo bhalai karoonga aur ise jo shaanti doonga+ use dekhkar sab raashtra dar jaayenge aur thar-thar kaanpeinge.’”+ 10  “yahova kehta hai, ‘is jagah ke baare mein tum kahoge ki yah bilkul veerana hai, yahaan ek insan ya jaanvar tak nahin hai. yahooda ke shehar aur yarooshalem ki galiyaan sooni padi hain, yahaan koi nahin rehta, ek insan ya jaanvar tak nahin hai. magar ye sabhi jagah ek baar fir 11  khushiyaan aur jashna manane ki aavazon se aur doolha-dulhan ke saath aanand manane ki aavazon se goonj utheingi.+ aur logon ki yah jayjaykar sunayi degi: “senaon ke parmeshvar yahova ka shukriya ada karo, kyonki yahova bhala hai.+ uska atal pyar sada bana rehta hai!”’+ yahova kehta hai, ‘woh dhanyavad-baliyaan lekar yahova ke bhavan mein aayenge,+ kyonki main is desh ke un logon ko vaapas le aaunga jo bandi banaye gaye hain aur unke haalaat pehale jaise ho jaayenge.’” 12  “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘is veerane mein, jahaan ek insan ya jaanvar tak nahin hai aur iske sabhi shehron mein fir se charagah nazar aayenge jahaan charvahe apne jhundon ko bithaya kareinge.’+ 13  yahova kehta hai, ‘pahadi pradesh ke shehron mein, nichle ilake ke shehron mein, dakshin ke shehron mein, binyameen ke ilake mein, yarooshalem ke aas-paas ke ilakon mein+ aur yahooda ke shehron mein+ fir se charvahe ke haath ke neeche se jhund jaaya kareinge aur woh unki ginti karega.’” 14  “yahova ailan karta hai, ‘dekh! woh din aa rahe hain jab main israel ke gharane aur yahooda ke gharane ke saath bhalai karne ka apna vaada poora karoonga.+ 15  un dinon aur us samay main daavid ke vansh se ek nek ankur* ugaunga+ aur woh desh mein nyay karega.+ 16  us vakt yahooda bachaya jaayega+ aur yarooshalem nagri mehfooz basi rahegi.+ aur woh is naam se kehlayi jaayegi, “yahova hamari neki hai.”’”+ 17  “yahova kehta hai, ‘aisa kabhi nahin hoga ki israel ke gharane ki raajgaddi par baithne ke liye daavid ke vansh ka koi aadmi na ho+ 18  ya mere saamne haazir hokar poori hom-bali chadhane, anaj ke chadhave arpit karne aur balidan chadhane ke liye levi yaajkon mein se koi na ho.’” 19  yahova ka sandesh ek baar fir yirmayah ke paas pahuncha. usne yirmayah se kaha, 20  “yahova kehta hai, ‘mainne din aur raat ke baare mein jo karar kiya hai use agar tum tod sako taaki din aur raat apne-apne samay par na hon,+ 21  to hi apne sevak daavid se kiya mera karar toot sakega+ taaki uski raajgaddi par baithne ke liye uska koi beta na rahe+ aur un levi yaajkon se kiya karar bhi toot sakega jo mere sevak hain.+ 22  jaise yah baat pakki hai ki aakash ki sena nahin gini jaa sakti aur samundar ki ret tauli nahin jaa sakti, vaise hi yah baat pakki hai ki main apne sevak daavid ke vansh ki aur meri seva karnevale leviyon ki ginti badhaunga.’” 23  yahova ka sandesh ek baar fir yirmayah ke paas pahuncha. usne yirmayah se kaha, 24  “kya toone gaur kiya ki ye log kya keh rahe hain? ye keh rahe hain, ‘yahova in donon gharanon ko thukra dega jinhein usne chuna tha.’ dushman mere apne logon ki beizzati karte hain aur unhein ek raashtra nahin maante. 25  yahova kehta hai, ‘jis tarah din aur raat ke baare mein mera karar pakka hai+ aur aakash aur dharti ke liye mere niyam pakke* hain,+ 26  usi tarah yah tay hai ki main yakub aur apne sevak daavid ke vansh ko kabhi nahin thukraunga aur uske vansh se aanevale raajaon ko abraham, ishaak aur yakub ke vanshajon par raaj karne ke liye thehraunga. kyonki main unke logon ko ikattha karke bandhuai se lauta le aaunga+ aur un par taras khaaunga.’”+

kai footnote

ya “vaaris.”
ya “meri vidhiyaan pakki.”