yirmayah 34:1-22

  • sidkiyah ko nyay ka sandesh (1-7)

  • daason ko chhodne ka karar toda gaya (8-22)

34  jab baibilon ka raja nabookadnessar* aur uski poori sena aur uske raaj ke adheen rehnevale sab raajya aur desh, yarooshalem aur uske sabhi shehron se lad rahe the, tab yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:+  “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘tu yahooda ke raja sidkiyah+ ke paas jaa aur usse keh, “yahova kehta hai, ‘main yah shehar baibilon ke raja ke haath mein karne jaa raha hoon aur woh ise aag se jala dega.+  tu uske haath se nahin bachega, tujhe zaroor pakad liya jaayega aur uske haath mein kar diya jaayega.+ tu baibilon ke raja se aamne-saamne baat karega aur tu baibilon jaayega.’+  magar yahooda ke raja sidkiyah, yahova ka yah sandesh bhi sun: ‘yahova tere baare mein kehta hai, “tu talvar se nahin maara jaayega.  tu chain se marega+ aur log tere samman mein aag jalayenge, jaise unhonne tere purkhon ke liye yaani tujhse pehale ke raajaon ke liye kiya tha. woh yah kehkar tere liye maatam manayenge, ‘haay! mere maalik!’ aisa zaroor hoga kyonki ‘mainne yah kaha hai.’ yahova ka yah ailan hai.”’”’”  fir bhavishyavakta yirmayah ne yarooshalem mein yahooda ke raja sidkiyah ko ye saari baatein batayin.  us vakt baibilon ke raja ki senayen yarooshalem se aur yahooda ke bache huye sab shehron se,+ yaani laakeesh+ aur ajeka+ se lad rahi thi. yahooda ke shehron mein se sirf in kileband shehron par ab tak kabza nahin kiya gaya tha.  yahova ka yah sandesh is ghatna ke baad yirmayah ke paas pahuncha: raja sidkiyah ne yarooshalem ke sab logon ke saath ek karar kiya tha ki woh daason ke liye chhutkare ka ailan kareinge,+  har koi apne ibri daas aur daasi ko aazad kar dega. koi bhi apne saathi yahoodi ko daas banakar nahin rakhega. 10  sab haakimon aur sab logon ne is aagya ka paalan kiya. unhonne karar kiya ki har koi apne daas-daasiyon ko aazad kar dega aur unhein daas banakar nahin rakhega. unhonne is karar ke mutabik apne daason ko jaane diya. 11  magar baad mein woh un daas-daasiyon ko vaapas le aaye jinhein unhonne aazad kar diya tha. woh unhein dobara daas banakar unse zabardasti seva karvane lage. 12  isliye yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha. yahova ne kaha: 13  “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘jis din main tumhare purkhon ko gulami ke ghar se, misra se nikaal laaya tha,+ us din mainne unke saath ek karar kiya tha.+ mainne unse kaha tha, 14  “har saat saal ke aakhir mein tummein se harek ko chahiye ki woh apne us ibri bhaai ko aazad kar de jo use becha gaya tha. usne chhe saal teri seva ki hogi, isliye tu use aazad kar dena.”+ magar tumhare purkhon ne meri baat nahin suni, na hi meri aagya maani. 15  kuch samay pehale, tumne apne taur-tareeke badle aur apne bhaai-bandhuon ke liye chhutkare ka ailan karke meri nazar mein sahi kaam kiya. tumne us bhavan mein mere saath karar kiya jisse mera naam juda hai. 16  magar iske baad tumne apna man badal diya. tumne jin daas-daasiyon ko unki marzee ke mutabik aazad kiya tha, unhein tum vaapas le aaye aur unse zabardasti seva karvane lage. aisa karke tumne mere naam ka apman kiya.’+ 17  isliye yahova kehta hai, ‘tumne meri aagya nahin maani ki har koi apne bhaai-bandhu ke liye chhutkare ka ailan kare.+ isliye ab suno, main tumhein chhutkare ka ailan karta hoon. tum aazad ho jaaoge aur talvar, mahamari* aur akaal se maar daale jaaoge+ aur main tumhara aisa hashra kar doonga ki dharti ke sabhi raajya tumhein dekhkar dehal jaayenge.’+ yahova ka yah ailan hai. 18  ‘jin logon ne bachhde ke do bhaag kiye aur uske beech se guzarkar mere saamne karar kiya tha, magar us karar ke mutabik kaam nahin kiya aur use tod diya,+ 19  yaani yahooda ke woh haakim, yarooshalem ke haakim, darbari, yaajak aur desh ke sab log jo bachhde ke do bhaagon ke beech se guzre the, unka yah anjam hoga: 20  main unhein dushmanon ke havale aur un logon ke havale kar doonga jo unki jaan ke peechhe pade hain. unki laashein aakash ke pakshiyon aur dharti ke jaanvaron ka nivala ban jaayengi.+ 21  main yahooda ke raja sidkiyah aur uske haakimon ko unke dushmanon ke havale aur un logon ke havale kar doonga jo unki jaan ke peechhe pade hain aur baibilon ke raja ki senaon ke haath kar doonga+ jo tumse ladna chhodkar jaa rahi hain.’+ 22  yahova ailan karta hai, ‘main un senaon ko aadesh doonga aur vaapas is shehar mein le aaunga. woh isse ladeingi aur is par kabza kar leingi aur ise aag se jala deingi.+ main yahooda ke shehron ko aisa veeran kar doonga ki vahaan ek bhi nivasi nahin rahega.’”+

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “beemari.”