yirmayah 35:1-19

  • rekabee log aagya maanne mein ek achhi misal (1-19)

35  yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke dinon+ mein yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:  “rekabiyon+ ke gharane ke paas jaa aur unse baat kar. unhein yahova ke bhavan mein bhojan ke ek kamre* mein le aa. fir unhein peene ke liye daakh-madira de.”  isliye main yirmayah ke bete aur habsinyah ke pote yaajanyah ko, uske bhaaiyon, sab beton aur rekabiyon ke poore gharane ko  yahova ke bhavan mein le gaya. vahaan main unhein yig-dalyah ke bete haanan ke beton ke bhojan ke kamre mein le gaya. (haanan sachche parmeshvar ka sevak tha.) yah kamra, haakimon ke bhojan ke kamre ke paas tha aur haakimon ka kamra, darban shalloom ke bete maanseyah ke bhojan ke kamre ke oopar tha.  fir mainne rekabee gharane ke aadmiyon ko daakh-madira se bhare pyale aur katoriyaan pesh kin aur unse kaha, “lo, daakh-madira peeo.”  magar unhonne kaha, “nahin, hum daakh-madira nahin peeyenge kyonki hamare purkhe yahonadab*+ ne, jo rekab ka beta tha, hamein yah aagya di thi: ‘tum kabhi daakh-madira mat peena, na hi tumhare vanshaj kabhi peeyen.  aur tum ghar mat banana, beej mat bona, na angooron ke baag lagana ya uske adhikari hona. tum sada tambuon mein hi rehna taaki tum is desh mein lambe samay tak ji sako, jahaan tum pardesi bankar rehte ho.’  isliye hum hamesha apne purkhe rekab ke bete yahonadab ki aagya maante hain. hum aur hamari patniyaan aur hamare bete-betiyaan kabhi daakh-madira nahin peete.  hum na rehne ke liye ghar banate hain, na hi hamare paas angooron ke baag ya khet ya beej hain. 10  hum hamesha tambuon mein rehte hain aur hamare purkhe yahonadab* ne jo-jo aagya di thi, woh sab maante hain. 11  magar jab baibilon ke raja nabookadnessar* ne is desh par hamla kiya to hamne kaha,+ ‘chalo, hum yarooshalem jaate hain taaki kasdiyon aur seeriya ke logon ki sena se bach sakein.’ yahi vajah hai ki ab hum yarooshalem mein rehte hain.” 12  yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha: 13  “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘tu jaakaar yahooda ke logon aur yarooshalem ke nivasiyon se kehna: yahova ailan karta hai, “kya mainne tumhein meri aagyaon ka paalan karne ke liye baar-baar nahin udhaara tha?+ 14  rekab ke bete yahonadab ne apne vanshajon ko aagya di thi ki woh daakh-madira na peeyen aur woh aaj tak uski aagya maante hain aur daakh-madira nahin peete. is tarah unhonne apne purkhe ke aadesh ka paalan kiya hai.+ magar tum ho ki meri aagya kabhi nahin maante, iske baavjood ki mainne baar-baar tumhein bataya hai.*+ 15  mainne apne sab sevkon ko, bhavishyavaktaon ko tumhare paas bheja tha, baar-baar bheja tha*+ aur tumse guzarish karta raha, ‘tum sab apne bure raaston se palatkar laut aao+ aur sahi kaam karo! doosre devtaon ke peechhe mat jaao, unki seva mat karo. tab tum is desh mein base rahoge jo mainne tumhein aur tumhare purkhon ko diya tha.’+ magar tumne meri baaton par kaan nahin lagaya aur mera kaha nahin maana. 16  rekab ke bete yahonadab ke vanshaj apne purkhe ke aadesh ka paalan karte aaye hain,+ magar tum meri baat nahin maante.”’” 17  “isliye senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main yahooda par aur yarooshalem ke sab nivasiyon par woh saari vipattiyaan laane jaa raha hoon jinke baare mein mainne unhein chetavni di thi.+ main unhein samjhata raha magar unhonne kabhi meri baat nahin maani, main unhein pukarta raha magar unhonne koi javab nahin diya.’”+ 18  yirmayah ne rekabiyon ke gharane se kaha, “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘tumne apne purkhe yahonadab ki aagya ka paalan kiya hai aur tum uske sab aadeshon ko maante aaye ho aur theek vaisa hi karte ho jaisa usne tumse kaha tha. 19  isliye senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “aisa kabhi nahin hoga ki rekab ke bete yahonadab* ke vanshajon mein se koi meri seva ke liye mere saamne haazir na ho.”’”

kai footnote

ya “khaane.”
shaa., “yonadab.” yah yahonadab naam ka chhota roop hai.
shaa., “yonadab.” yah yahonadab naam ka chhota roop hai.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “main tadke uthkar tumse baatein karta raha.”
shaa., “tadke uthkar tumhare paas bhejta raha.”
shaa., “yonadab.” yah yahonadab naam ka chhota roop hai.