yirmayah 36:1-32

  • yirmayah ne kharra shabd-ba-shabd likhvaya (1-7)

  • baarook ne kharra padhkar sunaya (8-19)

  • yahoyakeem ne kharra jala diya (20-26)

  • sandesh dobara likha gaya (27-32)

36  yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj ke chauthe saal,+ yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:  “ek kharra le aur usmein woh saari baatein likh jo mainne israel, yahooda+ aur sab raashtron ke khilaf kahi hain.+ yoshiyah ke dinon se yaani jis din mainne tujhse baat karni shuroo ki thi, tab se lekar aaj tak mainne tujhe jo-jo bataya woh sab us par likh.+  ho sakta hai yahooda ke gharane ke log un saari vipattiyon ke baare mein sunkar, jo mainne un par laane ki thaani hai, apne bure raaste se palatkar laut aayen aur main unka gunah aur paap maaf kar doon.”+  tab yirmayah ne neriyah ke bete baarook ko bulaya.+ woh use yahova ki kahi saari baatein shabd-ba-shabd batata gaya aur baarook kharre mein likhta gaya.+  fir yirmayah ne baarook ko yah aagya di: “mujh par bandish lagi hai, main yahova ke bhavan mein nahin jaa sakta.  isliye tujhe bhavan mein jaana hoga aur mere kehne par toone kharre mein yahova ki jo baatein shabd-ba-shabd likhi hain woh sab vahaan padhkar sunana. tu yahova ke bhavan mein upvas ke din logon ko padhkar sunana. tu yahooda ke sab logon ko padhkar sunana jo apne-apne shehron se vahaan aayenge.  ho sakta hai woh yahova se reham ki bheekh maangein aur woh unki sune aur woh sab apne bure raaste se palatkar laut aayen, kyonki yahova ne in logon par gussa aur krodh bhadkane ka jo ailan kiya hai woh bahot bhayanak hai.”  tab neriyah ke bete baarook ne woh sab kiya jo bhavishyavakta yirmayah ne use aagya di thi. baarook ne yahova ke bhavan mein logon ko kharre* se yahova ki saari baatein padhkar sunayin.+  yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj+ ke paanchvein saal ke nauvein maheene mein, yarooshalem ke sab logon ne aur yahooda ke shehron se yarooshalem aaye sab logon ne yahova ke saamne upvas rakhne ka ailan kiya.+ 10  tab baarook ne yahova ke bhavan mein kharre* se yirmayah ki saari baatein padhkar sunayin. usne yah sab nakaal-navees* shaapan+ ke bete gamaryah+ ke khaane* mein padhkar sunaya, jo yahova ke bhavan ke naye faatak ke pravesh ke paas oopri aangan mein tha.+ 11  jab meekayah ne, jo gamaryah ka beta aur shaapan ka pota tha, kharre* mein likhi yahova ki saari baatein sunin 12  to woh raajmahal mein raaj-sachiv ke kamre mein gaya jahaan saare haakim* baithe huye the: raaj-sachiv eleeshama,+ shamayah ka beta dalayah, akbor ka beta+ elnatan,+ shaapan ka beta gamaryah, hananyah ka beta sidkiyah aur baaki sabhi haakim. 13  meekayah ne unhein woh saari baatein batayin jo usne tab suni thi jab baarook ne logon ke saamne kharra* padhkar sunaya tha. 14  tab sab haakimon ne yahoodi ke haath, jo natanyah ka beta, shelemyah ka pota aur kooshi ka parpota tha, baarook ke paas yah sandesh bheja: “tu woh kharra lekar yahaan aa jo toone logon ke saamne padhkar sunaya tha.” tab neriyah ka beta baarook haath mein kharra liye haakimon ke paas aaya. 15  unhonne baarook se kaha, “meharbani karke baith jaa aur hamein kharra padhkar suna.” baarook ne unhein kharra padhkar sunaya. 16  jaise hi unhonne saari baatein sunin, woh dar gaye aur ek-doosre ko dekhne lage. unhonne baarook se kaha, “hamein raja ko ye saari baatein batani hongi.” 17  unhonne baarook se poochha, “meharbani karke hamein bata, toone yah sab kaise likha? kya yirmayah ne tujhse shabd-ba-shabd likhvaya tha?” 18  baarook ne kaha, “haan, yirmayah mujhe batata gaya aur main syahi se kharre* par shabd-ba-shabd likhta gaya.” 19  tab haakimon ne baarook se kaha, “tu aur yirmayah jaakaar kahin chhip jaa. kisi ko mat batana ki tum kahaan chhipe ho.”+ 20  fir haakim raja ke paas aangan mein gaye aur unhonne woh kharra raaj-sachiv eleeshama ke kamre mein rakha. unhonne raja ko woh saari baatein batayin jo unhonne suni thi. 21  tab raja ne yahoodi ko woh kharra laane bheja+ aur woh use raaj-sachiv eleeshama ke kamre se le aaya. yahoodi ne raja aur uske paas khade sab haakimon ke saamne kharra padhna shuroo kiya. 22  woh nauvaan maheena* tha aur raja us bhavan mein baitha tha jahaan woh sardiyaan guzarta tha. uske saamne angeethi jal rahi thi. 23  jaise-jaise yahoodi kharre ke teen-chaar stambh padhta, raja us hisse ko raaj-sachiv ki chhuri se kaat deta aur angeethi mein feink deta. woh aisa tab tak karta raha jab tak poora kharra angeethi mein jalkar raakh nahin ho gaya. 24  raja aur uske sab sevkon ne kharre ki saari baatein sunin, magar woh bilkul nahin dare, na hi unhonne apne kapde faade. 25  elnatan,+ dalayah+ aur gamaryah+ ne raja se minnat ki thi ki woh kharre ko na jalaye, magar usne unki nahin suni. 26  itna hi nahin, raja ne yarhamel ko, jo raja ka beta tha, ajriel ke bete sarayah ko aur abdel ke bete shelemyah ko hukm diya ki woh sachiv baarook aur bhavishyavakta yirmayah ko pakad lein. magar yahova ne un donon ko chhipaye rakha.+ 27  jab raja ne woh kharra jala diya jismein baarook ne yirmayah ki kahi baatein shabd-ba-shabd likhi thi, to iske baad yahova ka sandesh ek baar fir yirmayah ke paas pahuncha.+ usne yirmayah se kaha, 28  “tu ek aur kharra le aur us par pehale kharre ki saari baatein likh jise yahooda ke raja yahoyakeem ne jala diya hai.+ 29  aur tu yahooda ke raja yahoyakeem ko yah saza sunana: ‘yahova kehta hai, “toone woh kharra jala diya aur kaha, ‘toone is par aisa kyon likha: “baibilon ka raja zaroor aayega aur is desh ka naash kar dega, ise aisa soona kar dega ki yahaan ek insan ya jaanvar tak nahin rahega”?’+ 30  isliye yahova ne yahooda ke raja yahoyakeem ko yah saza sunayi hai, ‘uska koi beta daavid ki raajgaddi par nahin baithega.+ uski laash baahar chhod di jaayegi taaki din ko dhoop mein aur raat ko paale mein padi rahe.+ 31  main usse, uske vanshajon aur sevkon se unke gunah ka hisab maangoonga. main un par aur yarooshalem ke nivasiyon aur yahooda ke logon par woh saari vipattiyaan le aaunga jo mainne batayin,+ magar unhonne nahin sunin.’”’”+ 32  fir yirmayah ne ek aur kharra liya aur use neriyah ke bete, sachiv baarook ko diya.+ baarook ne yirmayah ki kahi baatein kharre* par shabd-ba-shabd likhin. usne us kharre ki saari baatein likhin jise yahooda ke raja yahoyakeem ne aag mein jala diya tha.+ kharre mein is tarah ki aur bhi kai baatein jodi gayin.

kai footnote

ya “kitab.”
ya “kitab.”
ya “shaastri.”
ya “bhojan ke kamre.”
ya “kitab.”
ya “darbari.”
ya “kitab.”
ya “kitab.”
navambar ke beech se lekar disambar ke beech tak. ati. kh15 dekhein.
ya “kitab.”