yirmayah 37:1-21

  • kasdiyon ne kuch vakt ke liye gherabandi hatayi (1-10)

  • yirmayah kaid mein (11-16)

  • sidkiyah yirmayah se mila (17-21)

    • yirmayah ko roti di gayi (21)

37  yoshiyah ka beta sidkiyah,+ yahoyakeem ke bete konyah*+ ki jagah raaj karne laga, kyonki baibilon ke raja nabookadnessar* ne sidkiyah ko yahooda desh ka raja bana diya.+  magar raja sidkiyah aur uske sevkon aur desh ke logon ne yahova ki woh baatein nahin maanin, jo usne bhavishyavakta yirmayah se kehalvayi thi.  raja sidkiyah ne shelemyah ke bete yahookal+ aur yaajak maanseyah ke bete sapanyah+ ko bhavishyavakta yirmayah ke paas yah kehne bheja: “meharbani karke hamari taraf se hamare parmeshvar yahova se prarthna kar.”  yirmayah ko ab tak kaid nahin kiya gaya tha,+ isliye woh logon ke beech aazad ghoomta tha.  us dauran, misra se firaun ki sena nikaal padi+ aur jab yah khabar yarooshalem ki gherabandi karnevale kasdiyon ko mili, to woh yarooshalem chhodkar chale gaye.+  tab yahova ka yah sandesh bhavishyavakta yirmayah ke paas pahuncha:  “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘yahooda ke raja se, jisne tumhein meri marzee jaanne ke liye bheja hai, kehna, “dekho! firaun ki jo sena tumhari madad karne aa rahi hai, use apne desh misra lautna padega.+  aur kasdi log vaapas is shehar mein aayenge aur is par hamla karke kabza kar leinge aur ise aag se foonk deinge.”+  yahova kehta hai, “tum yah kehkar khud ko dhokha mat do, ‘beshak, kasdi log hum par hamla karna chhodkar chale jaayenge,’ kyonki woh nahin jaayenge. 10  tum chahe hamla karnevale kasdiyon mein se sabko maar daalo to bhi unmein se jo ghaayal aadmi bach jaayenge, woh apne tambuon mein se uthkar aayenge aur is shehar ko aag se foonk deinge.”’”+ 11  jab kasdi sena firaun ki sena ki vajah se yarooshalem se gherabandi hatakar chali gayi,+ 12  to yirmayah yarooshalem se binyameen ke ilake mein+ jaane ke liye ravana hua taaki vahaan apne logon ke beech se apna bhaag le. 13  magar jab bhavishyavakta yirmayah binyameen faatak ke paas pahuncha to pehredaron ke adhikari yiriyah ne, jo shelemyah ka beta aur hananyah ka pota tha, use yah kehkar pakad liya, “tu hamara saath chhodkar kasdiyon ke paas bhaaga jaa raha hai!” 14  magar yirmayah ne kaha, “nahin, yah jhooth hai! main kasdiyon ka saath dene nahin bhaag raha hoon.” magar yiriyah ne uski baat nahin suni. usne yirmayah ko pakad liya aur use haakimon ke paas le gaya. 15  haakim yirmayah par aag-baboola ho gaye+ aur unhonne use peeta aur sachiv yahonatan ke ghar mein kaid kar diya.+ uska ghar kaidkhana bana diya gaya tha. 16  yirmayah ko us ghar ke tahkhane mein daal diya gaya jismein kai kaal-kothriyaan thi. woh bahot dinon tak vahin pada raha. 17  fir raja sidkiyah ne yirmayah ko apne mahal mein bulvaya aur chhipkar usse kuch saval poochhe.+ usne yirmayah se poochha, “kya yahova ki taraf se koi sandesh hai?” yirmayah ne kaha, “haan, hai! tujhe baibilon ke raja ke haath mein kar diya jaayega!”+ 18  yirmayah ne raja sidkiyah se yah bhi kaha, “mainne tere, tere sevkon aur in logon ke khilaf aisa kya paap kiya hai, jo tum logon ne mujhe kaid mein daal diya? 19  tumhare woh bhavishyavakta kahaan gaye jinhonne tumhein yah bhavishyavani sunayi thi, ‘baibilon ka raja tum par aur is desh par hamla karne nahin aayega’?+ 20  ab hey mere maalik raja, meharbani karke sun aur meri yah binti sweekar kar. mujhe vaapas sachiv yahonatan ke ghar mat bhej,+ agar main vahin raha to mar jaaunga.”+ 21  isliye raja sidkiyah ne aadesh diya ki yirmayah ko ‘pehredaron ke aangan’ mein band kiya jaaye.+ vahaan use har din ek gol roti di jaati thi, jo naanbaiyon ki gali se laayi jaati thi.+ jab tak shehar mein roti thi tab tak yirmayah ko roti milti rahi.+ yirmayah ‘pehredaron ke aangan’ mein hi raha.

kai footnote

yahoyakeen aur yakonyah bhi kehlata tha.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.