yirmayah 39:1-18

  • yarooshalem ka girna (1-10)

    • sidkiyah bhaaga, fir pakda gaya (4-7)

  • yirmayah ki hifazat (11-14)

  • ebed-melek bakhsha jaayega (15-18)

39  yahooda ke raja sidkiyah ke raaj ke nauvein saal ke dasvein maheene mein, baibilon ka raja nabookadnessar* apni poori sena ke saath yarooshalem aaya aur use gher liya.+  sidkiyah ke raaj ke 11vein saal ke chauthe maheene ke nauvein din, unhonne sheharpanah mein darar kar di.+  baibilon ke raja ke sabhi haakim shehar ke andar ghus gaye aur ‘beechvale faatak’ ke paas baith gaye.+ ye haakim the: nergal-shareser jo samgar tha, nabo-sar-sekeem jo rabsarees tha,* nergal-shareser jo rabmag* tha aur baibilon ke raja ke baaki sabhi haakim.  jab yahooda ke raja sidkiyah aur sabhi sainikon ne unhein dekha, to woh shehar se bhaag gaye.+ woh raat ke vakt us faatak se bhaag nikle jo raja ke baag ke paas do deevaron ke beech tha aur arba ke raaste se aage badhte gaye.+  magar kasdi sena ne unka peechha kiya aur yareeho ke veeranon+ mein sidkiyah ko pakad liya. woh use baibilon ke raja nabookadnessar* ke paas hamat desh+ ke ribla le gaye,+ jahaan nabookadnessar ne use saza sunayi.  ribla mein baibilon ke raja ne sidkiyah ki aankhon ke saamne uske beton ko marva daala aur yahooda ke sab rutbedar logon ko marva daala.+  fir usne sidkiyah ki aankhein fod di aur woh use tambe ki bediyon mein jakadkar baibilon le gaya.+  fir kasdiyon ne raajmahal aur yarooshalem ke sabhi ghar jalakar raakh kar diye+ aur yarooshalem ki sheharpanah dhaa di.+  shehar mein jo log bache the, saath hi jo log yahooda ke raja ka saath chhodkar baibilon ke raja ki taraf chale gaye the, un sabko pehredaron ka sardar naboojardan+ bandi banakar baibilon le gaya. unke alava, desh ke baaki logon ko bhi woh le gaya. 10  magar pehredaron ke sardar naboojardan ne yahooda desh ke kuch aise logon ko chhod diya jo bahot gareeb the aur jinke paas kuch nahin tha. us din usne unhein angooron ke baag aur khet diye taaki woh unmein kaam karein.*+ 11  fir baibilon ke raja nabookadnessar* ne pehredaron ke sardar naboojardan ko yirmayah ke baare mein yah aadesh diya: 12  “ise le jaa aur iski dekhbhal kar. iske saath kuch bura na karna aur yah tujhse jo bhi maange, de dena.”+ 13  isliye pehredaron ke sardar naboojardan, naboo-sajban jo rabsarees* tha, nergal-shareser jo rabmag* tha aur baibilon ke raja ke sab bade-bade adhikariyon ne apne aadmi bheje 14  aur yirmayah ko ‘pehredaron ke aangan’ se nikaalvaya+ aur use aheekam ke bete+ aur shaapan+ ke pote gadalyah+ ke havale kiya taaki use gadalyah ke ghar le jaaya jaaye. is tarah yirmayah logon ke beech rehne laga. 15  jab yirmayah ‘pehredaron ke aangan’ mein kaid tha,+ tab yahova ka yah sandesh uske paas pahuncha: 16  “ithiyopiyai ebed-melek+ ke paas jaa aur usse keh, ‘senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “mainne kaha tha ki main is shehar par vipatti laaunga, iske saath koi bhalai nahin karoonga. ab main apni baat poori karne jaa raha hoon. jis din main aisa karoonga us din tu yah dekhega.”’ 17  ‘magar tujhe main us din bachaunga. tu un logon ke haath mein nahin kiya jaayega jinse tu darta hai.’ yahova ka yah ailan hai. 18  ‘main zaroor teri hifazat karoonga, tu talvar se nahin maara jaayega. teri jaan salamat rahegi*+ kyonki toone mujh par bharosa kiya hai.’+ yahova ka yah ailan hai.”

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya ibrani paath mein in shabdon ko is tareeke se bhi alag kiya gaya hai: “nergal-shareser, samgar-nabo, sar-sekeem, rabsarees.”
ya “pradhan jaadoogar (ya jyotishi).”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya shaayad, “jabran mazdoori karein.”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “mukhya darbari.”
ya “pradhan jaadoogar (ya jyotishi).”
shaa., “tujhe loot mein apni jaan milegi.”