yirmayah 41:1-18

  • ishmael ne gadalyah ko maar daala (1-10)

  • yohanan ki vajah se ishmael bhaaga (11-18)

41  magar saatvein maheene mein natanyah ka beta aur eleeshama ka pota ishmael,+ aheekam ke bete gadalyah ke paas mispa aaya.+ ishmael shaahi khaandan se tha* aur raja ke khaas aadmiyon mein se tha. woh apne saath das aur aadmiyon ko laaya. jab woh sab milkar mispa mein khaana khaa rahe the,  to natanyah ka beta ishmael aur uske saath aaye das aadmi uthe aur unhonne aheekam ke bete aur shaapan ke pote gadalyah ko talvar se maar daala. is tarah ishmael ne us aadmi ko maar daala jise baibilon ke raja ne desh ka adhikari thehraya tha.  ishmael ne un saare yahoodiyon ko bhi maar daala jo mispa mein gadalyah ke saath the aur un kasdi sainikon ko bhi jo vahaan the.  gadalyah ke katla ke doosre din, jab kisi ko iski khabar nahin thi,  shekem,+ sheelo+ aur saamriya+ se 80 aadmi aaye. unhonne apni daadhi munda li thi,+ apne kapde faade the aur shareer par ghaav kiye the. woh apne haath mein anaj ke chadhave aur loban liye huye the+ taaki yahova ke bhavan mein chadhayen.  tab natanyah ka beta ishmael rota hua mispa se nikaalkar unse milne gaya. jab ishmael unse mila to usne kaha, “tum aheekam ke bete gadalyah ke paas chalo.”  magar jab woh shehar mein aaye to natanyah ke bete ishmael aur uske aadmiyon ne unhein maar daala aur unki laashein kund mein feink di.  magar vahaan aaye aadmiyon mein se das ne ishmael se kaha tha, “hamein mat maaro, kyonki hamare paas dher saara gehoon, jau, tel aur shehad hai. hamne yah sab kheton mein chhipa rakha hai.” isliye ishmael ne unhein aur unke bhaaiyon ko nahin maar daala.  ishmael ne jitne aadmiyon ko maar daala tha, unki laashein ek bade kund mein feink di. yah vahi kund tha jo raja aasa ne israel ke raja baasha ki vajah se banaya tha.+ us kund ko natanyah ke bete ishmael ne maare gaye aadmiyon ki laashon se bhar diya. 10  ishmael ne mispa mein bache huye logon ko bandi bana liya.+ unmein raja ki betiyaan aur mispa ke bache huye log bhi the jinhein pehredaron ke sardar naboojardan ne aheekam ke bete gadalyah ke haath mein saunpa tha.+ natanyah ka beta ishmael un sab bandiyon ko us paar ammoniyon ke yahaan le jaane ke liye nikaal pada.+ 11  jab kaareh ke bete yohanan+ aur uske saathvale sabhi senapatiyon ne un saare dusht kaamon ke baare mein suna jo natanyah ke bete ishmael ne kiye the, 12  to woh sab apne aadmiyon ko lekar natanyah ke bete ishmael se ladne nikaal pade. unhonne ishmael ko gibon mein us jagah paaya jahaan bahot paani* tha. 13  ishmael ke saath jo log the, unhonne jab kaareh ke bete yohanan aur uske saathvale saare senapatiyon ko dekha, to woh bahot khush huye. 14  tab ye sab log, jinhein ishmael bandi banakar mispa se laaya tha,+ palatkar kaareh ke bete yohanan ke paas chale gaye. 15  magar natanyah ka beta ishmael aur uske aadmiyon mein se aath jan yohanan ke haath se bach nikle aur ammoniyon ke paas bhaag gaye. 16  jab natanyah ke bete ishmael ne aheekam ke bete gadalyah ko maar daala,+ to uske baad kaareh ke bete yohanan aur uske saathvale saare senapatiyon ne mispa ke un sabhi logon ko liya, jinhein unhonne ishmael ke haath se bachaya tha. woh un sainikon, aadmiyon, aurton, bachchon aur darbaariyon ko gibon se vaapas le aaye. 17  woh betlehem+ ke paas kimham ki saray mein ruke. unhonne misra jaane ka irada kar liya tha+ 18  kyonki woh kasdiyon se dar gaye the. woh isliye dar gaye the kyonki natanyah ke bete ishmael ne aheekam ke bete gadalyah ko maar daala, jise baibilon ke raja ne desh ka adhikari thehraya tha.+

kai footnote

shaa., “raaj ka beej tha.”
ya shaayad, “bada taalab.”