yirmayah 42:1-22

  • log yirmayah se guzarish karte hain ki woh maargdarshan ke liye prarthna kare (1-6)

  • yahova kehta hai, “misra mat jaao” (7-22)

42  fir saare senapati aur kaareh ka beta yohanan,+ hoshayah ka beta yaajanyah aur chhote-bade, sab log  bhavishyavakta yirmayah ke paas gaye aur usse kehne lage, “meharbani karke hamari taraf se, hum bache huye sab logon ki taraf se apne parmeshvar yahova se prarthna kar. jaisa ki tu dekh sakta hai, hum thode hi log bache hain.+  tera parmeshvar yahova hamein bataye ki hamein kya karna chahiye, kaun-saa raasta apnana chahiye.”  bhavishyavakta yirmayah ne unse kaha, “theek hai, jaisa tumne kaha, main tumhare parmeshvar yahova se prarthna karoonga. aur yahova jo-jo kahega, woh sab main tumhein bataunga. ek bhi baat nahin chhipaunga.”  unhonne yirmayah se kaha, “tera parmeshvar yahova tere zariye hamein jo hidayat dega, hum theek vaisa hi kareinge. agar hamne aisa nahin kiya, to yahova is baat ka sachcha aur bharosemand gavah thehre aur hamein saza de.  hum apne parmeshvar yahova ki baat zaroor maaneinge, jiske paas hum tujhe bhej rahe hain, fir chahe uski aagya hamein pasand aaye ya na aaye taaki apne parmeshvar yahova ki baat maanne se hamara bhala ho.”  das din baad yahova ka sandesh yirmayah ke paas pahuncha.  tab yirmayah ne kaareh ke bete yohanan, uske saathvale saare senapatiyon aur chhote-bade, sab logon ko apne paas bulvaya.+  usne unse kaha, “israel ka parmeshvar yahova, jiske paas tumne mujhe isliye bheja ki main tumhari khaatir usse binti karoon, kehta hai, 10  ‘agar tum is desh mein hi rahoge, to main tumhein banaunga aur nahin dhaaunga, tumhein lagaunga aur jad se nahin ukhaadoonga kyonki main tum par jo vipatti le aaya tha us par mujhe dukh hoga.*+ 11  tum jo baibilon ke raja se darte ho, mat daro.’+ yahova ailan karta hai, ‘tum uski vajah se mat daro, kyonki main tumhein bachane aur uske haath se chhudane ke liye tumhare saath hoon. 12  main tum par daya karoonga+ aur woh bhi tum par daya karega aur tumhein tumhare desh mein vaapas bhej dega. 13  lekin agar tum kahoge, “nahin, hum is desh mein nahin raheinge!” aur yah kehkar apne parmeshvar yahova ki aagya todoge: 14  “hum misra hi jaayenge,+ jahaan hamein na ladai dekhni padegi, na narsinge ki aavaz sunnai padegi, na hi hum roti ke liye tarseinge. hum vahin jaakaar raheinge,” 15  to hey yahooda ke bache huye logo, yahova ka sandesh suno. senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “agar tumne misra jaane ka pakka irada kar liya hai aur tum vahin jaakaar bas jaaoge,* 16  to jis talvar se tum darte ho, woh misra mein tum par aa padegi aur jis akaal se tum darte ho, woh tumhara peechha karta hua misra tak pahunch jaayega aur tum vahaan mar jaaoge.+ 17  jitne logon ne misra jaakaar rehne ki thaan li hai woh sab talvar, akaal aur mahamari* se maare jaayenge. main un par vipatti le aaunga aur aisa koi na hoga jo us vipatti ka shikar na ho ya usse zinda bach nikle.”’ 18  kyonki senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘agar tum misra gaye to tum par mere krodh ka pyala undela jaayega, theek jaise mere gusse aur krodh ka pyala yarooshalem ke nivasiyon par undela gaya tha.+ tum shaapit thehroge, tumhara aisa hashra hoga ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega, tumhein baddua di jaayegi, tumhari badnami hogi+ aur tum fir kabhi yah jagah nahin dekh paaoge.’ 19  hey yahooda ke bache huye logo, yahova ne kaha hai ki tum misra mat jaao. jaan lo ki aaj mainne tumhein khabardar kiya hai 20  ki agar tumne vahaan jaane ki galti ki to tumhein bhaari keemat chukani padegi, tum jaan se haath dho baithoge. tumne mujhe yah kehkar apne parmeshvar yahova ke paas bheja tha, ‘hamari taraf se hamare parmeshvar yahova se prarthna kar. hum vahi kareinge jo hamara parmeshvar yahova hamse kahega.’+ 21  aur aaj mainne tumhein bata diya hai, magar tum apne parmeshvar yahova ki aagya nahin maanoge, usne mere zariye tumse jo-jo kaha hai unmein se ek bhi baat nahin maanoge.+ 22  isliye tum yah pakke taur par jaan lo ki tum jis jagah jaakaar bas jaana chahte ho, vahaan talvar, akaal aur mahamari se maare jaaoge.”+

kai footnote

shaa., “mujhe pachhtava mehsoos hoga.”
ya “kuch samay ke liye rahoge.”
ya “beemari.”