yirmayah 43:1-13

  • log nahin maane aur misra gaye (1-7)

  • yahova ka sandesh yirmayah ko misra mein mila (8-13)

43  yirmayah ne sab logon ko ye saari baatein batayin jo unke parmeshvar yahova ne kahi thi. usne unhein har woh baat batayi jo unke parmeshvar yahova ne use batane ke liye bheja tha. jab woh yah keh chuka,  to hoshayah ke bete ajaryah, kaareh ke bete yohanan+ aur sabhi gustakh aadmiyon ne yirmayah se kaha, “tu jhooth bol raha hai! hamare parmeshvar yahova ne tujhe yah kehne ke liye nahin bheja, ‘misra mat jaao, vahaan mat baso.’  woh neriyah ka beta baarook+ tujhe hamare khilaf bhadka raha hai taaki hum kasdiyon ke havale kar diye jaayen, woh hamein maar daalein ya bandi banakar baibilon le jaayen.”+  kaareh ke bete yohanan aur sab senapatiyon aur logon ne yahova ki yah aagya nahin maani ki woh yahooda mein hi rahein.  iske bajay, kaareh ke bete yohanan aur sab senapatiyon ne bache huye logon ko liya. ye woh log the jo un deshon se yahooda mein basne ke liye laut aaye the, jahaan unhein titar-bitar kiya gaya tha.+  unhonne aadmiyon, aurton, bachchon, raja ki betiyonn aur aise har kisi ko liya jise pehredaron ke sardar naboojardan+ ne aheekam ke bete+ aur shaapan+ ke pote gadalyah ki nigrani mein chhoda tha.+ unhonne bhavishyavakta yirmayah aur neriyah ke bete baarook ko bhi liya.  aur woh yahova ki aagya todkar misra chale gaye. woh door tahapnahes tak chale gaye.+  fir tahapnahes mein yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha:  “tu apne haath mein bade-bade patthar le aur unhein tahapnahes mein firaun ke ghar ke pravesh ke paas inton ke chabootre mein chhipa de aur un par gaara laga de. tu yahoodi aadmiyon ke dekhte aisa karna. 10  fir tu unse kehna, ‘senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “ab main apne sevak baibilon ke raja nabookadnessar* ko bulva raha hoon.+ main uski raajgaddi inhin pattharon ke oopar rakhoonga jo mainne chhipaye hain aur woh un par apna shaahi tamboo taanega.+ 11  woh aayega aur misra par vaar karega.+ jinke liye jaanleva mahamari tay hai woh mahamari ke havale kiye jaayenge, jinke liye bandhuai tay hai woh bandhuai mein bhej diye jaayenge aur jinke liye talvar tay hai woh talvar ke havale kiye jaayenge.+ 12  main misra ke devtaon ke mandiron ko aag laga doonga.+ woh un mandiron ko jala dega aur devtaon ko bandi banakar le jaayega. woh misra desh ko khud par aise odh lega jaise koi charvaha apna kapda odh leta hai aur woh sahi-salamat* vahaan se nikaal jaayega. 13  woh misra ke bet-shemesh* ke khambhon ko choor-choor kar dega aur misra ke devtaon ke mandiron ko aag se jala dega.”’”

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
shaa., “shaanti se.”
ya “sooraj ka bhavan (ya mandir)” yaani heelio-polis.