yirmayah 45:1-5

  • baarook ko yahova ka sandesh (1-5)

45  yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj ke chauthe saal,+ bhavishyavakta yirmayah ne neriyah ke bete baarook+ ko yah sandesh sunaya aur baarook ne vahi sandesh shabd-ba-shabd likha:+  “baarook, tere baare mein israel ka parmeshvar yahova kehta hai,  ‘tu kehta hai, “haay! mere saath yah kya hua. yahova ne mera dard badha diya hai! main karahte-karahte past ho gaya hoon, mujhe kahin chain nahin.”’  tu usse kehna, ‘yahova kehta hai, “dekh! is poore desh ko jise mainne banaya hai dhaa raha hoon, jise mainne lagaya hai jad se ukhaad raha hoon.+  magar tu badi-badi cheezon ki khvahish* kar raha hai. aisi khvahish karna band kar.”’ ‘kyonki main sab insanon par ek vipatti laanevala hoon.+ tu jahaan kahin jaayega, main teri jaan salamat rakhoonga.’* yahova ka yah ailan hai.”+

kai footnote

ya “ummeed.”
shaa., “loot mein tujhe apni jaan milegi.”