yirmayah 46:1-28

  • misra ke khilaf bhavishyavani (1-26)

    • use nabookadnessar jeet lega (13, 26)

  • israel se kiye vaade (27, 28)

46  yahova ka yah sandesh bhavishyavakta yirmayah ke paas pahuncha, jo raashtron ke baare mein hai:+  yah sandesh misra ke liye hai.+ yoshiyah ke bete aur yahooda ke raja yahoyakeem ke raaj ke chauthe saal,+ misra ke raja firaun niko+ ki sena farat nadi ke kinare thi aur baibilon ke raja nabookadnessar* ne use karkmeesh mein hara diya tha. yah sandesh usi sena ke baare mein hai:   “tum apni chhoti dhaalein* aur badi dhaalein taiyar karo,yuddh ke liye aage badho.   ghudsavaaro, ghodon par saaj daalo, un par chadh jaao. top pehankar apni-apni jagah tainat ho jaao. barchhe paine karo, bakhtar pehan lo.   yahova ailan karta hai, ‘woh log dare-sehme kyon dikh rahe hain? woh maidan chhodkar bhaag rahe hain, unke yoddha kuchal diye gaye hain. woh dar ke maare bhaag gaye hain, unke yoddha mudkar bhi nahin dekhte. chaaron taraf aatank-hi-aatank hai.’   ‘na tez daudnevale bhaag paayenge, na yoddha bach sakeinge. uttar mein, farat nadi ke kinarewoh thokar khaakaar gir pade hain.’+   yah kaun hai jo neel nadi ki tarah umadta hua aa raha hai,ufanti nadiyon ki tarah badha aa raha hai?   yah misra hai jo neel nadi ki tarah umadta hua aa raha hai,+ufanti nadiyon ki tarah badha aa raha haiaur kehta hai, ‘main umad padoonga, saari dharti dhaanp doonga. is shehar aur ismein rehnevalon ko naash kar doonga.’   ghodo, aage badho! ratho, tezee se daudo! yoddhaon ko aage badhne do,koosh aur put ko aage badhne do, jo dhaal pakde huye hain,+loodiyon+ ko aage badhne do, jo kaman chadhate aur kushalta se teer chalate hain.+ 10  woh din saare jahan ke maalik, senaon ke parmeshvar yahova ka din hai, jab woh apne dushmanon se badla lega. talvar unhein ji-bharkar khaayegi aur unke khoon se apni pyas bujhayegi, kyonki saare jahan ke maalik, senaon ke parmeshvar yahova ne uttar ke desh mein farat nadi+ ke kinare ek balidan taiyar kiya hai. 11  hey misra ki kunvari beti,oopar gilad jaakaar balsan le aa.+ tu bekar mein itne ilaj kara rahi hai,kyonki teri beemari ki koi dava nahin.+ 12  raashtron ne suna hai ki teri kitni beizzati hui hai,+teri cheekh-pukar desh-bhar mein goonj rahi hai. yoddha, yoddha se thokar khaata haiaur donon saath gir padte hain.” 13  yahova ne bhavishyavakta yirmayah ko sandesh diya ki baibilon ka raja nabookadnessar* misra desh par hamla karne aa raha hai:+ 14  “misra mein iska ailan karo, migdol mein sunao.+ nop* aur tahapnahes mein sunao.+ kaho, ‘apni-apni jagah tainat ho jaao, taiyar ho jaao,kyonki ek talvar tumhare chaaron taraf sabko khaa jaayegi. 15  tere taakatvar aadmi kyon mit gaye? woh apni jagah tik nahin paaye,kyonki yahova ne unhein dhakelkar gira diya. 16  unki bheed-ki-bheed thokar khaakaar gir rahi hai. woh ek-doosre se keh rahe hain,“utho! aao hum apne logon ke paas, apne desh laut jaayenkyonki yah talvar bahot bhayanak hai.”’ 17  unhonne vahaan ailan kiya hai,‘misra ka raja firaun bas badbola hai,usne mauka* haath se ganva diya hai.’+ 18  woh raja, jiska naam senaon ka parmeshvar yahova hai, ailan karta hai,‘main apne jeevan ki shapath khaakaar kehta hoon,uska* aana aisa hoga, jaise pahadon ke beech taabor hai,+samundar kinare karmel hai.+ 19  hey misra mein rehnevali beti,bandhuai mein jaane ke liye apna saaman baandh le. kyonki nop* ka aisa hashra hoga ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega,ise aag laga di jaayegi,* yahaan koi nivasi nahin bachega.+ 20  misra ek sundar kalor jaisi hai,magar uttar se kaatnevale keede aakaar us par toot padeinge. 21  uske kiraye ke sainik bhi mote kiye bachhdon jaise hain,magar woh bhi peeth dikhakar bhaag gaye. woh apni jagah tik nahin paaye,+kyonki un par sankat ka din aa pada hai,unse hisab lene ka samay aa gaya hai.’ 22  ‘uski aavaz sarsarate huye saanp ki aavaz jaisi hai,kyonki woh kulhadi liye poore damkham ke saath aa rahe hain,ped kaatnevalon* ki tarah aa rahe hain.’ 23  yahova ailan karta hai, ‘woh uska jangal kaat daaleinge,fir chahe woh kitna hi ghana kyon na ho. kyonki woh beshumar hain, unki taadad tiddiyon se kahin zyada hai. 24  misra ki beti sharminda ki jaayegi. use uttar ke logon ke havale kar diya jaayega.’+ 25  senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘ab main no* shehar+ ke aamon devta par,+ firaun par, misra par, uske devtaon+ aur raajaon par, haan, firaun aur us par bharosa karnevale sab logon par dhyan doonga.’+ 26  yahova ailan karta hai, ‘main unhein un logon ke havale kar doonga jo unki jaan ke peechhe pade hain. main unhein baibilon ke raja nabookadnessar* aur uske sevkon ke havale kar doonga.+ magar baad mein woh fir se aabad hogi, jaise guzre vakt mein thi.’+ 27  ‘magar mere sevak yakub, tu mat dar,israel, tu mat ghabra.+ kyonki main tujhe door desh se chhuda loonga,tere vansh ko bandhuai ke desh se nikaal laaunga.+ yakub vaapas aayega, woh chain se rahega aur use koi khatra nahin hoga,use koi nahin darayega.’+ 28  yahova ailan karta hai, ‘isliye mere sevak yakub, tu mat dar, main tere saath hoon. main un sabhi raashtron ko mita doonga jahaan mainne tujhe titar-bitar kar diya tha,+magar tujhe nahin mitaunga.+ main tujhe sudhaarne ke liye utni fatkaar lagaunga jitni sahi hai,+magar tujhe saza diye bina hargiz na chhodoonga.’”

kai footnote

shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
ya “memfis.”
shaa., “tay samay.”
yaani misra ko jeetnevale ka.
ya “memfis.”
ya shaayad, “yah banjar zameen ban jaayegi.”
ya “lakdiyaan ikatthi karnevalon.”
yaani theebeez.
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.