yirmayah 48:1-47

  • moab ke khilaf bhavishyavani (1-47)

48  moab+ ke baare mein senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “haay, nabo+ ka kitna bura hua hai! use naash kiya gaya hai! kiryataim+ ko sharminda kiya gaya hai, us par kabza kar liya gaya hai. unche gadh ko sharminda kiya gaya hai, use choor-choor kiya gaya hai.+   moab ki ab aur badai nahin hoti. heshbon+ mein dushmanon ne use girane ki saazish rachi hai: ‘aao, hum us raashtra ko mita dein.’ hey madmen, tu bhi chup rehkyonki talvar tera peechha kar rahi hai.   horonaim+ se cheekh-pukar sunayi de rahi hai,naash aur badi tabahi ka shor sunayi de raha hai.   moab naash kar di gayi hai. uske bachche chilla rahe hain.   woh rote huye looheet ki chadhai chadh rahe hain. horonaim se neeche utarte vakt unhein vinash ka haahakar sunayi de raha hai.+   bhaago! apni jaan bachakar bhaago! tum veerane ke sanovar jaise ban jaaoge.   tum apne kaamon aur khazanon par bharosa rakhte ho,isliye tum par bhi kabza kar liya jaayega. kamosh+ bandhuai mein chala jaayega,uske saath-saath uske pujari aur haakim bhi jaayenge.   naash karnevala har shehar par hamla karega,ek bhi shehar nahin bachega.+ ghaati naash ho jaayegi,pathari ilaka mit jaayega, theek jaise yahova ne kaha hai.   moab ko raasta dikhanevali nishani khadi karo,kyonki jab woh naash hokar khandhar ban jaayegi to uske log bhaageinge,uske shehron ka aisa hashra hoga ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega,unmein ek bhi nivasi nahin rahega.+ 10  shaapit hai woh jo yahova ka diya kaam karne mein dhilai baratta hai! shaapit hai woh jo apni talvar ko khoon bahane se rokta hai! 11  moabee logon ko unke bachpan se kisi ne haath nahin lagaya hai,us daakh-madira ki tarah jiske neeche mail jam gaya hai. unhein ek bartan se doosre bartan mein nahin undela gayaaur woh kabhi bandhuai mein nahin gaye. isliye unka swad vaise-ka-vaisa hi haiaur unki gandh nahin badli hai. 12  yahova ailan karta hai, ‘isliye dekh! woh din aa rahe hain jab main unhein palatne ke liye aadmi bhejoonga. woh unhein palat deinge aur unke bartan khaali kar deinge aur bade-bade matke choor-choor kar deinge. 13  moabiyon ko kamosh ki vajah se sharminda hona padega, jaise israel ka gharana betel ki vajah se sharminda hai, jis par use bharosa tha.+ 14  tumne yah kehne ki himmat kaise ki, “hum veer yoddha hain, yuddh ke liye taiyar hain”?’+ 15  woh raja, jiska naam senaon ka parmeshvar yahova hai, ailan karta hai,+‘moab naash kar diya gaya hai,dushman uske shehron mein ghus gaye hain,+ uske sabse kaabil javanon ka katla kar diya gaya hai.’+ 16  moabiyon par bahot jald museebat aanevali hai,unke girne ka samay tezee se paas aa raha hai.+ 17  unke aas-paasvalon aur unka naam jaannevalon kounke saath hamdardi jatani hogi. unse kaho, ‘haay, yah taakatvar chhadi, gauravshali laathi kaise tod di gayi hai!’ 18  deebon+ mein rehnevali beti,tu shohrat ki bulandiyon se neeche aa, pyasi* baithi reh,kyonki moab ko naash karnevala tujh par hamla karne aa gaya hai,woh teri kileband jagahon ko naash kar dega.+ 19  aroer+ ke rehnevale, sadak kinare khade hokar nazar rakh, bhaagnevale aadmi aur bachkar nikaalnevali aurat se poochh, ‘kya hua?’ 20  moab ko sharminda kiya gaya hai, us par khauf chhaa gaya hai. zor-zor se ro-o aur chillao. arnon+ mein ailan karo ki moab ko naash kar diya gaya hai. 21  pathari ilake ki in jagahon ko saza sunayi gayi hai:+ holon, yahas+ aur mepat,+ 22  deebon,+ nabo+ aur bet-diblataim, 23  kiryataim,+ bet-gaamool aur bet-mon,+ 24  kariyot+ aur bosra aur moab desh ke sabhi shehar, fir chahe woh paas ke hon ya door ke. 25  yahova ailan karta hai, ‘moab ka sing* kaat diya gaya hai,uska baazoo tod diya gaya hai.’ 26  ‘use khoob madira pilakar madhosh kar do+ kyonki usne yahova ke khilaf jaakaar khud ko uncha kiya hai.+ moab apni ulti mein lotta hai,uski khilli udayi jaa rahi hai. 27  kya toone israel ki khilli nahin udayi thi?+ kya woh choron ke beech pakda gaya tha,jo toone use neecha dikhate huye sir hilaya aur uske khilaf baatein kin? 28  moab ke nivasiyo, uske shehar chhod do aur chattan par jaakaar raho,faakhte ki tarah ban jaao jo tang ghaati ke kinaron par ghonsla banati hai.’” 29  “hamne moab ke ghamand ke baare mein suna hai, woh kitna magroor hai,woh hekdeebaz, ghamandi aur magroor hai, uska man ghamand se fool gaya hai.”+ 30  “yahova ailan karta hai, ‘main uska krodh jaanta hoon,magar uski khokhli baatein bekar saabit hongi. woh kuch nahin kareinge. 31  iseeliye main moab ke liye bilakh-bilakhkar rounga,poore moab ke liye chilla-chillakar rounga,keer-heres ke logon ke liye maatam manaunga.+ 32  hey sibma+ ke angoor ki bel, main yaajer+ ke liye jitna roya,usse kahin zyada tere liye rounga. teri falti-foolti daaliyaan samundar paar tak fail gayi hain,samundar tak, yaajer tak pahunch gayi hain. naash karnevala tere garmiyon ke falon aurtere angoor ki faslon par toot pada hai.+ 33  tere baag aur moab desh se khushiyaan chheen li gayi hain,vahaan jashna manana band kar diya gaya hai.+ mainne tere angoor raundne ke haud se daakh-madira ka behena band kara diya hai. ab se koi khushi se chillata hua angoor nahin raundega. ab unka chillana kuch aur hi chillana hoga.’”+ 34  “‘heshbon+ se elale+ tak cheekh-pukar sunayi de rahi hai. woh itni zor se chillate hain ki yahas+ tak sunayi deta hai,soar se horonaim+ aur eglat-shalisheeyah tak sunayi deta hai. nimreem ki dhaarayen bhi sookh jaayengi.’+ 35  yahova ailan karta hai, ‘main moab ka aisa haal kar doongaki vahaan na to unchi jagah par chadhava arpit karnevala koi hoga,na hi apne devta ke liye balidan chadhanevala koi hoga. 36  isliye mera dil ek baansuri* ki tarah moab ke liye royega,*+mera dil ek baansuri* ki tarah keer-heres ke logon ke liye royega.* kyonki unki paida ki hui daulat naash ho jaayegi. 37  har kisi ka sir munda hua hai,+daadhi kati hui hai. har kisi ka haath chira hua hai+aur unki kamar par taat bandha hua hai!’”+ 38  “yahova ailan karta hai, ‘moab ki sabhi chhaton par,uske sabhi chaukon par, rone-bilakhne ke siva kuch nahin hai. kyonki mainne moab ko aise ghade ki tarah choor-choor kar diya hai,jo kisi kaam ka nahin.’ 39  ‘dekho, woh kitna ghabraya hua hai! zor-zor se ro-o! moab ne sharm se apni peeth fer li hai! moab mazak ban gaya hai,uska aisa hashra hua ki aas-paas ke dekhnevale dar gaye hain.’” 40  “yahova kehta hai, ‘dekho! jaise ek ukab shikar par jhapatta hai,+vaise hi woh apna pankh failakar moab par toot padega.+ 41  uske nagron ko jeet liya jaayega,uske mazboot gadhon par kabza kar liya jaayega. us din moab ke yoddhaon ka dil dar se aise kaanpega,jaise bachcha jannevali aurat ka dil kaanpta hai.’” 42  “‘moab ko aise naash kar diya jaayega ki woh ek raashtra nahin rahega,+kyonki usne yahova ke khilaf jaakaar khud ko uncha kiya.’+ 43  yahova ailan karta hai, ‘hey moab ke nivasi,tere aage khauf, gaddha aur fanda hai.’ 44  yahova ailan karta hai, ‘jo koi khauf se bhaagega woh gaddhe mein jaa girega,gaddhe se nikaalkar jo oopar aayega woh fande mein fans jaayega. kyonki woh saal aa raha hai jab main moab ke logon ko saza doonga.’ 45  ‘bhaagnevale, heshbon ki parchhain mein laachar khade raheinge. kyonki heshbon se aag niklegi,seehon ke beech se jvala bhadkegi.+ yah aag moab ka maatha jala degi,hullad machanevalon ki khopdi jala degi.’+ 46  ‘hey moab, tera kitna bura hua! kamosh ke log naash ho gaye.+ tere bete bandi bana liye gayeaur teri betiyaan bandhuai mein chali gayin.+ 47  magar main aakhiri dinon mein moab ke bandi logon ko ikattha karoonga.’ yahova ka yah ailan hai. ‘isi se moab ke liye nyay ka sandesh khatm hota hai.’”+

kai footnote

ya shaayad, “sookhi zameen par.”
ya “taakat.”
yaani kisi ki maut par maatam mein bajayi jaanevali baansuri.
ya “hohalla machayega.”
yaani kisi ki maut par maatam mein bajayi jaanevali baansuri.
ya “hohalla machayega.”